Bilashuba Shahid Khan Afridi Ek
Telented Player Hai Lekin Usey Apne Telent Ko Zaroorat Ke Waqt Istemal Karne Ka
Hunar Nahin Aata.Baqol Shoaib Akhtar Aur Jawed Miandad Ke Ground Mein Jane Se
Qabl Wo Coach Aur Captain Ko Tasalli Aur Yaqeen Dilata Hai Ke Oonche Oonche Shot
Laga Ke Her Ball Pe Chakka Marne Ki Koshish Nahin Kare Ga Balke Crease Per
Theher Ker Team Ki Zaroorat Ke Mutabiq Khele Ga Lekin Phir Wo Khud Kehta Hai Ke
1,2 Ball Ke Baad Usey Tez Tez Khelne Ki Be Chaini Hojati Hai Aur Lo Ji Us Ke
Baad 'Janab SHAHID Sahab' Bare Maze Se Out Hoker Team Ko Beech Manjdhar Mein
Chor Ker Sar Jhukaey Pavillion Ke Taraf Wapas Tashreef Le Jate Hain.Jab T 20
Pakistan Mein Pehli Baar Muta'arif Karwaya Gaya Tou Sab Se Pehle Afridi Ka Bayan
Samne Aaya Ke"Is Tarz Ke Matches Ab Khele Jaenge Jabke Aesi Cricket Tou Main
Pichle 10 Saal Se Khel Raha Hoon"Sab Ka Aur Mahereen Ka Bhi Yehi Khayal Ke Is
Tez Tareen Tarz Ki Cricket Mein Shahid Zaroor Bohat Kamyab Hoga Lekin Baqol Khud
Us Ke"Pathan Hoon Na.Bas Baller Ko Dekh Ker Khud Per Qaboo Nahin Rakh Pata Aur
Bina Soche Samjhe Bat Ghumana Shuroo Ker Deta Hoon.Kia Karoon Khud Ko Tabdeel
Nahin Karpata" Ab Koi Pooche Ke Banda-E-Khuda Pathan Hi Ho Na Koi Jangjoo Sipahi
Tou Nahin Khel Ke Maidan Mein Hote Ho Koi Mahaz-E-Jang Per Tou Nahin Hote Ke
Dushman Ko Dekhte Hi Andha Dhund Talwar Chala Ker Gajar,Mooli Ki Tarha Kat Ke
Rakh Do Ge.Waqt Ki Nazakat Aur Team Ki Zaroorat Ko Bhi Dekh Lia Karo.Darasal
Shahid Khan Afridi Out Of Balance Hai Isi Liey Out Of Farm Hai Ab Tou Fans Bhi
Us Se Mayoos Hone Lage Hain Jald Hi Koi Senior Player Jaise Imran Nazeer Ya
Junior Player Jaise Umer Ameen Us Ki Jaga Le Le Ga.