Khuda Yaad Gaya

(Shahrukh khan baloch, Sahiwal)

Barish Kay Baad Halki Halki Hawa Chal Rahi Thi Sehr Ka Waqt Tha Asmaan Per Badal Chamak Chamak Apni Maujoodgi Jata Raha Tha Aur Nanhe Nanhe Badal Ke Tukre Hawa Kay Dosh Per Maho Parwaz The .

Main Ghar Se Bahar Nikal Aya Aur Sochne Laga Kay Kitna Acha Mausam Qiun Na Thora Ghoom Phir Lia Jaye Per Yeh Dar Bhi Tha Kay Abba Huzoor Agar Jaag Gaye Aur Hum Ghar Per Maujood Na Hue Aur Woh Bhi Raat Kay Is Pehr To Thukai Bamushaqat Ki Saza Ho Sakti Hai Khaer Main Ne Sub Nazar Andaaz Kia Aur Gate Ko Band Kia Aur Sarak Kay Side Per Chalne Laga Barish Ki Geeli Geeli Khushboo Bari Bhali Lag Rahi Thi Masjid Ko Cross Kar Raha Tha Aur Achanak Khayaal Kisi Ki Taraf Chala Gaya Koi Jo Mujh Se Mohabbat Karta Hai Meri Har Buri Adat Ko Nazar Andaaz Karta Hai Mere Har Waday Har Qasam Per Sabse Pehle Yaqeen Karta Hai Meri Her Khata Maaf Karta Hai Mere Sath Sath Rehta Hai Muhafiz Ki Tarha Jub Akela Aur Toota Hua Mehsoos Karta Hoon Tou Khamosh Zabaan Tasalli Deta Hai Dost Ki Tarha Yaar Ki Tarha. Us Lamhe Main Khud Ko Bohat Bewafa Mehsoos Kar Raha Tha Itna Khudgarz Mehsoos Kar Raha Tha Kay Jhuki Hui Gardan Aur Jhuk Gayi Main Ruk Gaya Aur Sunsaan Sarak Kay Footpath Per Baith Gaya Uski Mohabbat Main Aise Log Bhi Guzre Thay Kay Behte Darya Per Chal Guzre They Uska Naam Leker Jhoomte To Sara Jungle Jhoom Uthta Uski Yaad Main Is Daqr Gharq Hote Kay Teer Jism Kay Aarpaar Hojata Aur Unhen Khabar Tak Na Hoti Aur Main Tha Jisne Kabhi Shukria Kehne Ki Zehmat Bhi Nahin Ki Thi.

Ankhon Main Halki Jalan Si Hui Aur Badal Kay Yeh Bhi Beh Nikleen Door Kisi Masjid Se Fajr Ki Pehli Aazaan Goonji Aur Main Khara Ho Gaya Mere Qadam Khud Ba Khud Uthte Ja Rahay Thay Kuch Dair Baad Khud Ko Masjid Main Paya
Wazu Kia
Aur Sajde Main Gir Gaya Namaz Ada Ki Aur Imaam Sahab Ko Hairat Se Apni Taraf Dekhte Paya Unki Ankhon Main Ek Sawal Tha
Hairat Hai Tum Ko Dekh Masjid Main Ae Ghalib
Kya Baat Ho Gayi Jo Khuda Yaad Gaya...

You Can Contact Me At Facbook.Com/Srkb00

Shahrukh khan baloch
About the Author: Shahrukh khan baloch Read More Articles by Shahrukh khan baloch: 16 Articles with 22440 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.