Umeed e Sahar (part 1)

(Shahrukh khan baloch , Sahiwal)

Sehra Main Ek Lalkaar Buland Hui
La Ilaha Ilalah !
Aur Allah Kay Sheron Ne Zulm O Jahalat Ki Tareek Raat Ka Seena Cheer Dala Aur Haq Ki Shama Raushan Ki.

Maghrib Ki Wadiaan Cheen O Arab Aur Hindustan Naara E Taqbeer Se Laraz Uthe Aur Ummat E Mohammadi Tauheed Ki Amanat Seenon Main Liye Chal Pari Poori Dunya Ko Paihghaam E Haq Sunane. Waqt Guzarta Raha Aur Aik Marde Mujahid Ne Hindustan Main Haq Ka Parcham Garh Dia Aur Mohammad Bin Qasim Ne Yahan Per Woh Bunyaad Rakhi Jo Mustaqbil Main Deen Islam Kay Liye Ahm Kirdaar Aada Karne Wali Thi. Phir Allah Kay Wali Aye Jo Daman Nichorte To Farishte Wazu Karte Jinki Nigahon Ne Taqdeeren Badal Jatin Jin Kay Ikhlaq Se Mutasir Hokar Ho Kar Beshumaar Kafir Ashiq E Rasool Ban Gaye Aur Ishq E Ilahi Ki Khushboo Hindustan Main Har Soo Pail Gayi.
Phir Farangi Ne Humain Azmaya Brahman Ne Hamain Azmaya.

Per Shaid Hum Ne Aur Zaleel Hona Tha Ekdusre Ke Dushman Ban Gaye Koi Shia Koi Sunni To Wahabi Koi Mirza Koi Syed Koi Baloch To Koi Pathan Waqt Bara Sakht Tha Haqiqat Rawayat Main Kho Rahi Thi Magar Khuda Kuch Aur Manzoor Tha Maqsad Jo Pura Nahin Hua Tha Kese Dab Jate Musalman
Aur Phir Se Aik Qalander Hi Ne Awaaz Buland Ki Kay

Batil Se Mitne Walay Ae Asmaan Nahin Hum
Asan Nahin Mitana Naam O Nishan Humara !

Iqbal Us Waqt Janab Data Sahab Kay Darbar Main Maujood Thay Jab Unhen Ek Alehda Mulk Ka Khayal Aya Aur Kuch Riwayat Yoon Bhi Hain Dauran E Kashf Al Kaboor Sahib E Darbaar Ne Khud Iqbal Ko Aik Alehda Watan Per Ghauro Fikr Ki Dawat Di .

Dr Allama Mohammad Iqbal Aur Mohammad Ali Jinnah Ne Woh Kar Dikhaya Kay Maghrib Ko Gumaan Hua Kay Sher E Arab Phir Se Hoshyaar Ho Gaya Hai Magar Abhi Tou Shuruaat Thi Bedar Tou Ho Chuka Tha Magar Hoshyari Abhi Baqi Hai...

14 August 1947 Ko Mera Mulk Mera Pyaara Watan Wajood Main Aaya Aur Kabe Ko Sanam Khanay Se Pasbaan Mil Gaye

Dunya But Kadon Main Pehla Woh Ghar Khuda Ka
Hum Pasban Iske Woh Pasban Humara....

You Can Contact Me At Facebook.Com/Srkb007

Shahrukh khan baloch
About the Author: Shahrukh khan baloch Read More Articles by Shahrukh khan baloch: 16 Articles with 22437 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.