Tanz

(Arosa hya, Daska)

Tanz Hmary Muashry Ka Aik Ahm Rukan Hai Jis K Baghair Raha Hi Nhi Ja Skta Bilkul Jese Ap Oxygen K Baghair Nhi Reh Skty.

Wese To Ye Kesa B Ho Dosry K Moun Pr Thappar Lgany K E Mutradif Hai Magar Iski Khobi Hai K Ap Bina Hath Uthaye Mukhalif Ko Halkan Kr Skty Hain Q K Is Se Zehn Ki Androni Chot Lgti Hai.

Khair Ab Thappar (Slap) Ki B To Kuch Iqsam Hain Na Kbi Pyar Se Halka Sa , Kbi Zra Zor Ka Or Kbi Itni Zor Ka K Apky Rukhsar Per Nishan Chor Jaye So Isi Tra Tanz Ki B Kuch Iqsam Hoti Hain.

=> Tanz Ki Pehli Qisam Halki Phulki C Hai Jise Ap Bkhushi Seh Jaty Hain Ye Hai Mazaq Main Kia Jany Wala Tanz .... Aisa Tanz Aam Tor Per Ap K Dost Krty Hain Apki Masomiyat Ya Shrarat Ka Koi Waqaya Yad Dilany Ko.
=> Dosri Kisam Ka Tanz Thora Karhwa Hota Hai .... Ye Apki Kisi Ghalti Per Kia Jata Hai. Jise Sun Kr Apko Boht Gussa Ata Hai, Bura Lagta Hai Magar Ap Kuch Der Guzarny K Bad Bhol Jaty Hain Ya Nazar-Andaz Kr Dety Hain.
=> Magar Teesri Qisam Ka Tanz Na Hi Apki Bardasht Main Ata Hai Na Hi Apki Yad-Dasht Se Jata Hai Q K Ye Tanz Apki Tehqeer K Liye Ya Apko Neecha Dikhany K Liye Kia Jata Hai Or Apni Tehqeer Koi Kbi Nhi Bholta Chahy Maaf B Kr De....

Badqismati Se Tanz Ki Ye Teesri Qisam Hmary Maushry Ko Pori Tra Apny Hasar Mai Liye Hai Jis Se Ikhtalafat Khatam E Nhi Ho Paty Or Ye Hmari Aadat Hi Nhi Balky Fitrat Ban Chuka Hai. Adab O Shafqat Or Sila Rehmi Ki Shikast Main Iska Boht Ahm Kirdar Hai. Jis K Tuhfy Main Hmain Muntashir Zehn Mily Hain Jo Hmain Aik Dosry Se Bezar Kr Dety Hain.

Arosa hya
About the Author: Arosa hya Read More Articles by Arosa hya: 4 Articles with 12454 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.