Majooda Taleemi Aur Mazhabi
Nazam Py Nazar Dalnay Sy Yeh Zaroor Pata Chalta Hai K Hum Ny Itnay Arsay Main
Khud Ko Kahan Laa Kr Kharra Kr Dia Hai..Mazhabi Taleem Ki Dorr Pakroo Tu Duniya
Chotati Nazar Aati Hai..Aasari Taleem Ki Tarf Jao Tu Pata Nae Mazhab Kahan Gum
Ho Jata Hai Hum Iss Kashmakash Ka Shikar Hain Jahan Sy Khud Hum Ko Apni Khabar
Nae..Jb K Humara Deen Tou Sarasar Kamyabi Ka Deen Hai Ayesi Rah K Jis Py Chalnay
Sy Falah Iss Duniya Main B Aur Uss 'Jahan"Jahaan Per Yh Duniya Ki Kamyabi Aur
Degrees Kuch Ma'nay Nae Rekhti...Tou Phir Yh Nakami Kyun??Asari Taleem Hasil
Karain Tou Mazhabi Aaqaid Ko Roodaty Chaly Jaty..Khair Baat Nikali Hai Tou Buhat
Dour Tk Jaye Ge.Qaisa Muktasir Jab Ap Mu'ashi Aur Zehni Tour Per Kisi K Mahkoom
Ho Jayain Aur Jb Ap Ki Kutab Per Kisi Aur Ka Pehra Ho Tou Halat Kuch Ayesay Hee
Hotay Hain
Allah Kare K Humari Soch Mootadil Ho Jaye Hum Mazhab Aur Aasari Taleem Ko Aik
Hee Palaray Main Rakhain Aur Mazhab Ko Sath Letay Howe Duniya Ki Rahoun Py
Kamyabi Sy Chalain.