Eid K Teesry Din Hamary Gaao
(Village) Main 6,7 Saal Ki Umar K Bachay Ko Current Laga, Gaaon K Tamam Log Usky
Ird-Gird Jama Ho Gae, Bacha Abi Zinda Thaa, Sab Ne Apney Apney Mashwaron Se
Nawazna Shuru Kr Diya, Mashwaron K Mutabiq Bachay Ko Aik Gandi Naali Main Daal
Diya Gaya Taakey Current Usky Jism Se Nikal Jae, Pani Ki Waja Se Chunky
Conduction Mazeed Strong Ho Jati Hai Isliye Bachay Ki Haalat Mazeed Kharab Ho
Gai, Main Ne Kahin Pe Suna Thaa K Agar Current Lagay Shakhs Ko Matti Main
Dhansaa Diya Jae Ya Matti Main Ragarh Diya Jae Tou Current Khatam Ho Jata Hai,
Kuch Aur Log Bi Pehle Se Ye Mashwara Dey Rahey Thay Lkn Rush Itna Thaa K Aik
Doosry Ki Baaten Sunaai Ni Dey Rhi Thi, Naali K Tajarbey K Baad Usy Saaf Pani Se
Nehla Kar Aik Ground Main Le Aae Jahan Par Khaddaaa(Ghaar) Khodaaa Gaya Aur Pani
Mila Matti Main Usy Aadhaaa Dhansaa Diya, Kuch Farq Iss Sey Bi Na Parraa Tou
Kisi Ne Mashwara Diya K Dekho Bhai Motorcar Tayar Khari Hai,Hospital Bi 5,10
Mint K Faasly Par Hai,Mazeed Waqt Zaya Kiye Binaa Bachay Ko Foran Hospital
Ponchao, Abb Bachy Ko Uss Khadday Se Nikal Kr Car Me Lejaya Gaya Lkn Aadhay
Ghanty Baad Wapis Le Aakar Gao Main Elan Kr Diya Gaya K Bacha Fott Ho Gaya Hai
Aur Falaan Waqt Pe Janaza Ho Ga, Bachay Ko Jab Gandi Naali Main Daala Gaya Thaa
Tou Usi Waqt Logon Ko Shak Ho Gaya Thaa K Bacha Fott Ho Gaya Hai Q K Usney Aik
Lambi Saans Bhari Aur Usky Baad Phir Koi Harqat Zahir Na Hui Lkn Bachy K Waliden
K Darr Se Kisi Ne Bolney Ki Jurat Ni Ki, Iss Qisam K Waqiyat Mulk Bharr Main
Laa-Shaoori Ki Bina Par Rozana K Hisab Sey Ronumaa Hotey Hain, Usdin Mujey Apna
Aap Bht Be-Bas Dikhai Diya, Main Sochney Laga K Is Main Qasoor Kis Ka Hai, Sab
Se Pehley Mujey Electrical,Medical,Media,Govt.Aur Phir Apna Aap Aur Baqi Log
Qasoorwaar Dikhai Diye, Hamary Muashry Main Wo Ijtimaai Shaoor Ni Hai K Hum
First Aid Ko Jaan Saken,Kisi Tarapty Jism Ko Taskeen Dey Saken,Karaahty Hue
Badan Ko Aaram Muhayya Kr Sken,Hum Kbi Ye Krna B Ni Chahty,Q K Hamari Tarjeehaat
Kuch Aur Hain.
Aap Europe,America,Aur Japan Chaley Jaen,Wahan Bachay Bachay Ko Maloom Hai K
Aesi Haalat Main Kya Krna Parhta Hai,Unky Gharon Main Iss Qisam K Hangami Halaat
Sey Nimatney K Lye Pehley Se Precaution Mojood Hoti Hain,Unko Basics Aur First
Aid Kaa Pura Pura Ilm Hota Hai Q K Wo Dunyawi Ilm K Aetebar Se Ba-Shaoor Hain,
Hamara M.A English Aik Letter Tak Ni Likh Sakta,M.S.C Chemistry,Physics Etc Ko
Equipment K Naam Tak Ni Aatey,Hamaray PHD Scholors Aik Sui Tak Aejad Ni Kr
Paae,Q? Q K Kbi Hamary Text Books Main Wo Cheez Rakhi Hi Ni Gai Jo Waqt Ki
Zaroorat Hai,Jo Practical Dunya Se Taluq Rakhi Hai,Jo Insaniyat K Kaam Aaney K
Qabil Banaa Skey,Blky Hamary Text Books Main Apko Hamesha Abstract Aur Khayali
Cheezen Milen Gi Ya Phir Bakwas Aur Behooda Ya Tark Shudaa Cheezain Hi Parhney
Ko Milen Gi,Main Puchta Hu Ap 1st Year Ki Eng Ki Kitab Utha Kr Dekhain Usmain Jo
Asbaaq Ki Fehrist Hai Dekh Kr Hi Sharam Aajae Gi K Kitney Ghatya Aur Be-Kaar
Asbaaq Ko Shamil Kiya Gaya Hai,Usmain Kutta,Machli,Haar,Jootey,Aur Kuch Mazeed
Bekaar Cheezain Shamil Hain,Aesay Main Kya Koi Qom Bashaoor Banny Ka Ya Kuch
Seekhney Ka Soch Skti Hai Jis K Text Books Banany Walon Ko Dunya K Aur Topics
Kam Parh Gaye Hon?
Baat Ye Hai K Jaan Boojh Kr Aesa Kiya Jata Hai,Hamary Moroosi Politician Ni
Chahty K Iss Qom Main Jaan Peda Ho,Wo Hamain Khud Hi Dabana Chahty Hain,
Media K Be-Shumar Channels Hain Lkn Kbi Aap Ko Aesa Channel Ni Miley Ga Jo Apko
Practical Knowledge Se Nawazay,Har Taraf Filmain,Ganay,Siyasat,Aur Choti Choti
Baaton Ko Hawa Dena Hi Nazar Aae Ga,Ap Ko Koi Channel Ni Batae Ga K Agar Insan
Ko Current Lag Jae Tou Ap Ko Uskey Bachaao K Liye Kya Krna Hai,Ya Agar Kisi
Bandy Ka Blood Pressure Low Ya High Ho Jae Tou Apko Konsi First Aid Istimal Krni
Hai,Wagera Wagera,Kya Ap Janty Hain Aesa Q Hai?Aesa Islye Hai K Wo Hamain Aik
Nakaam Qom Banana Chahten Hain,Wo Ni Chahty Hamari Tarjeehaat Badlain,Hum
Serious Hon Ya Faiday K Kaam Sochain.
Govt Ne B Kabi Ye Koshish Ni Ki K Kbi Apni Qom Ko Apney Paaoon Par Kharaa
Arain,Hamesha Pasmandgi Hi Main Rakha,Lkn Inko Muntakhab B Tou Ham Hi Krte Hain
Na,Istarha Se Indirectly Ungli Phir Se Hum Par Hi Uthey Gi,Ye Govt Ka Kaam Hai K
Wo Is Qisam K Waqiyat Ki Rok Thaam K Lye Shaoori Muhim Chalay Khwa Sarkari Tv K
Zariye Ho,Schools,Colleges Aur Universities K Zariye Ho Ya Kisi B Tareeqay Se
Ho,
Aakhri Baat Jiss K Lye Main Ne Ye Sab Likha Hai Wo Ye Hai K Jab Tak Mutaliqa
Idaraa Apney Kaam Ko Sahi Tarha Se Anjaam Ni Dey Ga Tab Tak Hum Issiii Daldal
Main Phansain Rhen Gai Aur Infiradi-O-Ijtimai Torr Par Jab Tak Ham Apney Faraaiz
Ko Pehchanaey Ge Ni,Tab Tak Issi Aag Main Jalna Parrey Ga,Agar Electric Section
Ishtiharaat K Zariye Ghar Ghar Aur Mohaley Mohaley Main Precautions Sikha Dain
Tou Aesy Waqiyat Dobara Ronuma Na Hon,Issi Tarha Jo Electrician Ya Electrical
Engeneer Ya Koi B Shakhs Jo Bijli Ki Samajh Rakhta Ho Agar Precautions Share
Krna Shuru Kr Dega Tou Umeed Hai Aesey Masaail Par Qaboo Paya Ja Skta Hai.
Ye Meri Taraf Se Shaoori Muhim Chalanay Ka Aik Chota Sa Hissa Hai,Thnx For
Reading.