Sans ki Wafa

(M junaid iqbal, Lahore)

Sanson Ki Wafa.
Sans Ki Wafa Jisam Se Abhi Jari Hai.
Sans Ki Wafa Rooh Se Bhi Jari Hai.
Or Jab Ye Sans Wafa Karna Chor Dy Yani Ke Sans Apsy Jafa Ya By Wafai Kar Jay To Insan Murda Ho Jata Hai
In Sanson Ka Taluq Rooh Sy Bhi Hai Or Jisam Sy Bhi, Sans Zinda Rehny Ki Gawahi Dyta Hai.
Jab Apny Upar Khud Zulam Kar Le Magar Sans Zulam Nahi Karta.
Sans To Sathy Dyta Hai.
Sab Sy Zyda Mazy Ki Bat Ye Hai Ke Sans Bhi Khuda Ka Ata Karda Hai.Agar Ye Khuda Ke Siwa Kisi Ke Bas Main Ho
To Kitnon Ka Sans Ik Wakt Main Hi Rook Lia Jay.
Sans Jab Ruk Raha Ho To Insan Ko Takleef Hoti Hai.
Ik Ajab Uljhan Ka Ahsas Hota Hai.
Jab Boht Zaida Ruk Jay To Zuban Ka Mur Jana Bhi Ik Nishani Hai.
Insan By Bas Hai Ke Sans Ny Wafa Na Ki.
Aksar Log Ik Jumly Ka Istmal Karty Hain Ke
(Zaror Milyn Gy Agar Sanson Ny Wafa Ki)
Is Bat Ka Maqsad Yehi Hai Ke Sans Zindagi Ka Sathi Hai.Zinda Hony Ki Ilamat Hai.
Khuda Ki Di Gai Nemat Hai. Khuda Ki Taraf Sy Ap Par Kia Gaya Ahsan Hai.
Jis Tarhan Dunia Ki Har Makhloq Har Cheez Us Khuda Wand Ky Zikar Main Mashgool Hai
Isi Tarha Har Sans Khuda Ke Zikar Main Mashgool Hai.Jo Iski Chal Pehchan Ly So Jan Ly.
Iski Ik Misal Ye Bhi Hai Ke Aksar Ulma E Karam Bayan Karty Hain Ke
Allah Rab Ul Izzat Sheh Rag Se Bhi Qareeb Hai.
To Isi Bat Ka Jalwa Sans Bhi Dikhlata Hai
Ke Sans Bhi Ik Hi Zikar O Fikar Main Mashgool Hai Jo Ke Har Dam Rab Ul Izzat Ko Pukarta Rehta Hai.
Sans Andar Ki Taraf Khyncho To Allah.
Bahar Ki Taraf Nikalo To Hoo.
Ki Sada Buland Karta Hai.
Ye Khuda Ki Hi Kudrat Hai Koi Chahy Ya Na Chahy Zikar To Zarori Hai Jo Nahi Karna Chahy So Apni Sans Bhi Rook Ly.
Ik Or Misal Pysh Karta Chalon.
Jab Insan Mushkil Main Ho.Paryshan Ho.Hajat Mand Ho.
To Usi Ko Pukarta Hai Jo Uski Talab Suny.
Jab Tyzi Sy Chala Jay To Ye Sans Bhi Tyzi Pakar Lyta Hai Or Zikar Ko Tyzi Se Buland Karta Hai.
Sans Ki Tyzi To Ik Kharabi Hai Ukahrta Hai Jan Jany Ka Khadsha Bhi Hota Hai Zikar Sy Jan Nahi Jani Chahye?
G Zikar Sy Jan Nahi Jani Chahye Allah Ny To Zikar Ko Sakon Talbi Main Passand Kia Hai.
Uska Zikar Sakoon Main Kia Jay.Ther Ther Ke Kia Jay Na Ke Tyzi Main Ky Koi Galti Sarzad Ho Jay
Jo Nagawar Guzry
To Isi Tarhan Ahista Ahista Jab Mazboti A Jati Hai To Zikar Bhi Apny Agly Mukam Ki Janib Barhta Hai.
Isi Tarhan Jab Sans Ko Mazbot Kar Lia Jay To Phir Sans Bhi Tang Nahi Karta.
Sans Ki Mazbooti Ke Bohat Sary Tareeqy Bhi Hain.
Bohat Sary Uloom Hain Jo Sans Ki Mazbooti Par Zoor Syty Hain.
Jiska Iman Aqeeda Toheed Pe Ho Yani Jo Allah Or Usky Habib Saw Ko Aik Man Ly To Sans Ki Mazboti
Khud Ba Khud Shuru Ho Jati Hai.
Sanson Ki Wafa To Jari Hai.

M junaid iqbal
About the Author: M junaid iqbal Read More Articles by M junaid iqbal: 2 Articles with 1916 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.