Pakistan Ki Khani
(muhammad muzzammil, karachi)
Choudhary Rehmat Ali Ka Kirdar
Pakistan Ka Lafz Aik Alehda Muslim Watan Key Leay Sab Sey Pehley Choudhary
Rehmat Ali Ney 1933 Mein Istemal Keya. Iss Waqt Choudhary Rehmat Ali Cambridge
University Key Aik Tallib Ilm They. Choudhary Rehmat Ali Ney 28 January 1933 Ko
“Ab Ya Kabhi Nahi”(Now Or Never) Key Nam Sey Aik Ketabcha Shaya Keya Jis Mein Na
Sirf Aik Alehda Muslim Watan Key Qayam Ki Tajweej Pesh Ki Gaye Balkey Majuza
Muslim Watan Ko Pakiktan Key Nam Say Mousom Kiya Geya.
Choudhary Rehmat Ali Nay Apni Tajweej Mein Punjab Sey “P” Suba Sarhad Key
Afghanon Sey “A” Kashmir Sey “K” Sindh Sey “S” Aur Balochistan Sey “Tan” Ley Ker
Unko Apas Mein Jor Ker “Pakistan” Banaya. Iss Key Bad Ye Lafz Taizi Sey Maqbol
Hota Chala Gaya. Hindustan Key Mukhtalif Alaqon Mein Na Sirf Pakistan Key Nam
Sey Tanzemein Qaim Huein Balkey “Pakistan” Key Nam Sey Akhbarat O Jaraed Bhi
Jari Kiya Gaya Pehla Resala 1933 Mein Choudhary Rehmat Ali Ney Cambridge (
Britania) Sey Jari Kiya Jo Pakistan Qaumi Movement Ka Terjuman Tha.