Some Questions & There Answers About Men & Women

(junaid Ellahi, Multan)

ASSLAM O ALAIKUM Respected Members.... Kuch Sawaal Jo Kabi Na Kabi Har Zehan K Dareechey Mein Aa Bethtey Hain... Or Kabi Kabi In Sawalaat K Jawaabat Jan'na Bohat Zaroori Hota... Mein Bhi Kuch Sawaal Or Un K Jawaab Layaaa Hoon... Agar Kisi Ko Jawaab Behtar Ptaa Ho Tou Meri Rehnumai Zaroor Kariye Ga. Shukriyaaaaaa......

1. Aurat Kay Akhrajat Ki Zimmedari Mard Par Hai......?
Sawal: Kiya Islam Orton Ko Is Bat Ki Ijazat Daita Hai Kay Wo Daftaron Mein Mardon Kay Dosh Badosh Kam Karain? Halankay Islam Kehta Hai Ka In Ka Isal Ghar Aur Kam Ghar Mein Hai Jahan In Ko Reh Kar Zimmedariyan Puri Karni Hain Akhir Yeh Bat Kahan Tak Durust Hai?
Aljawab: Kama Kar Khilanay Ki Zimmedari Islam Nay Mard Par Dali Hai Ortain Is Bojh Ko Uthar Kar Apnay Liye Khud Hi Mushkilat Paida Kar Rahi Hain. Islam Mein Kamaee Kay Liye Bay Pardah Honey Ki Ijazat Nahin Hai.

2. Mard Aur Aurat Ki Haisiyat Mein Farq
Sawal: Kiya Allah Tala Nay Aurat Ko Mard Kay Gham Kam Karnay Kay Liye Paida Kiya Hai. Jaisay Mard Hazrat Ka Dawa Hai Kayo Rat Ki Koee Haisiyat Nahin Isay Allah Tala Nay Mard Kay Liye Paida Kiya Hai?
Aljawab: Allah Tala Nay Nasal Insani Ki Baqa Kay Liya Insani Jora Banaya Hai Aur Donon Kay Din Mein Aik Dusray Ka Anas Dala Hai Aur Donon Ko Aik Dusray Ka Mohtaj Banaya Hai. Miyan Biwi Aik Dusray Kay Behtarin Monis-O-Gham Khowar Bhi Hain Rafiq-O-Ham Safar Bhi Hain,Baro Madar Gar Bhi Hai.

Aurat Mazhar Jamal Hai Aur Mard Mazhar Jalal Aur Jamal Aur Jalal Ka Yeh Amerza Kainat Ki Bahar Hai Duniya Mein Musaraton Kay Phul Bhi Khilata Hai Aik Dusray Kay Dukh Dard Bhi Banata Hai Aur Donon Ko Akhrat Ki Tayari Mein Madad Bhi Daita Hai.

Fitrat Nay Aik Kay Nuqs Ko Dusray Kay Zariye Pura Kiya Hai Aik Ko Dusray Ka Moawin Banaya Hai Aurat Kay Baghair Mard Ki Zat Ki Takmil Nahin Hoti Aur Mard Kay Baghair Aurat Ka Husn Zindagi Bhar Nahin Nikharta.

Is Liye Yak Tarfator Par Yeh Kehna Kayo Rat Ko Sirf Mard Kay Liye Paida Kiya Warna Is Ki Koee Haisiyat Nahin Bilkul Ghalat Hai Haan Yeh Kehna Sahih Hai Kay Donon Ko Aik Dusray Ka Gham Khowar Madar Gar Banaya Hai.

3. Mard Ka Achi Aurat Muntakhib Karna
Sawal: Mein Nay Aksar Jagha Parha Hai Kay Mard Achi Aurat Ki Talab Kartay Hain Aur Naik Biwi Chahtay Hain Aksar Apni Pasand Ki Shadi Bhi Kartay Hain Kiyunkay Woh Mard Hain. Kiya Yeh Theek Kartay Hain?
Aljawab: Naik Aur Achay Joray Ki Khowahish Donon Ko Hai Aur Pasand Ki Shadi Bhi Donon Kartay Hain. Mein To Is Ka Qail Hoon Kay Apnay Buzurgon Ki Pasand Ki Shadi Ki Jai.

4. Aurat Ka Waldain Kay Zariye Shadi Karna Behtar Hai
Sawal: Kiya Aurat Apnay Liye Achay Naik Shohar Ki Khowahish Na Karay? Aurat Kisi Aisay Shakhs Ko Pasand Karti Hai Aur Is Say Izzat Say Shadi Karnay Ki Khowahish Rakhti Hain To Is Baray Mein Aap Kiya Kehtay Hain? Kiyunkay Hamaray Mashray Mein Aisi Harkat Aurat Ko Zaib Nahin Daiti Jabkay Mard Apni Khowahish Puri Karsakta Hai.
Aljawab: Upper Likh Chukka Hoon, Aksar Larkiyan Kisi Shakhs Ko Pasand Karnay Mein Dhoka Kha Laiti Hain Apnay Khandan Aur Kumbay Say Pehlay Cut Jati Hain In Ki Mohabbat Ka Malma Chand Dinon Mein Utar Jata Hai Phir Woh Na Ghar Ki Rehti Hain Na Ghaat Ki. Is Liye Mein Tamam Bachiyon Ko Mashwarah Daita Hoon Kay Shadi Dastur Kay Mutabiq Apnay Waldain Kay Zariye Kiya Karain.

5. Nabi Karim Mohd Mustafa Ka Nikah Ka Paigham Hazrat Khadija Ki Taraf Say Aya Tha
Sawal: Mein Nay Aksar Jagha Kitabon Min Parha Hai Kay Hazrat Khadija Razi Allah Tala Anho Nay Hazoore Akram Mohd Mustafa Say Nikkah Ki Khowahish Ki Thi Jo Kay Hazoore Akram Mohd Mustafa Nay Qabool Karli Thi?
Aljawab: Sahih Hai.

6. Mojudah Dor Ki Aurat Kisi Ko Nikah Ka Paigham Kaisay Day
Sawal: Agar Aaj Aik Naik Momin Aurat Kisi Naik Shakhs Say Shadi Ki Khowahish Karay To Is Mein Koee Buraee To Nahin Hai Jabkay Aurat Apni Khowahish Bayan Na Karsakti Ho To Kiya Karay. Kiyunkay Agar Bayan Karti Hain To Waldain Ki Bhayon Ki Izzat Ka Masla Ban Jata Hai Agar Waldain Ki Bat Manay To Apnay Aap Ko Azab Mein Mubtala Karna Hoga?
Aljawab: Is Ki Surat Yeh Hai Kay Khud Ya Apni Sahailiyon Kay Zadiye Apni Waldah Tak Apni Khowahish Pohonchaday Aur Yeh Bhi Kah Day Ka Mein Kisi Bay Deen Say Shadi Karnay Kay Bajai Shadi Na Karnay Ko Tarjih Doon Gi Aur Allah Tala Say Dua Bhi Karti Rahay.

7. Pasand Ki Shadi Par Mardon Kay Tanay....?
Sawal: Agar Aurat Apni Khowahish Say Shadi Kar Bhi Lay To Yeh Mard Hazrat Tana Daina Apna Farz Samajhtay Hain Jabkay Aurat Kam Hi Aisa Karti Hogi Aisay Hazrat Kay Baray Mein Aap Kiya Jawab Dain Gah?
Aljawab: Ji Nahin. Sharfif Mard Kabhi Apni Biwi Ko Tana Nahin Day Ga Isi Liye To Mein Nay Upper Arz Kiya Kay Aaj Kal Kachi Umar Aur Kachi Aqal Ki Larkiyan Mohabbat Kay Jaal Mein Phans Kar Apni Zindagi Barbad Kar Laiti Hain.

Na Kisi Ka Hasb O Nasib Daikhti Hain Na Akhlaq O Sharafat Ka Imtehan Karti Hain Jabkay Larki Kay Waldain Zindagi Kay Nashaib-O-Faraz Say Bhi Waqif Hotay Hain Aur Yeh Bhi Aksar Jantay Hain Kay Larki Aisay Shakhs Kay Sath Nibha Kar Sakti Hai Ya Nahin. Is Liye Larki Ko Chahiye Kay Waldain Ki Tajwiz Par Aitemad Karay Apni Na Tajarba Kari Kay Hathon Dhoka Na Khai.

8. Shohar Ki Taskhir Kay Liye Aik Ajib Amal
Sawal: Meri Shadi Ko Do Sal Huway Hain. Mujhe Shadi Say Pehali Kuch Surtain, Kuch Duain, Aur Ayat Waghairah Parhnay Ki Aadat Thi. Ab Wo Aisi Adat Hogaee Hai Kay Paki,Napaki Ka Kuch Khayal Nahin Rehta Aur Woh Zaban Par Hoti Hain. Khayal Anay Par Ruk Jati Hoon Magar Phir Wohi. Is Liya Aap Say Yeh Bat Puch Rahi Hoon Kay Agar Kisi Gunah Ki Murtakib Horahi Hoon To Agahi Hojai Is Kay Alawah Mein Apnay Shohar Ki Taraf Say Bohot Paraishan Hoon. Mujhay Bohot Paraishan Kartay Hain Koee Tawajoh Nahin Daiti Ham Donon Mein Apas Mein Zehni Ham Ahangi Kisi Tor Nahin Hai. Bohot Koshish Karti Hoon Lakin Bay Inteha Shakki Hain.....?
Aljawab: Napaki Ki Halat Mein Qurani Duain To Yad Hain Magar Tilawat Jaiz Nahin Agar Bhool Kar Parh Lain To Koee Gunah Nahin, Yad Anay Par Foran Band Kardain. Shohar Kay Sath Na Mowaqifat Bara Azab Hai Laikin Yeh Azab Admi Khud Apnay Upper Musallat Karlaita Hai. Khilaf Tabah Chizain To Paish Ati Hi Rehti Hain Laikin Admi Ko Chahiye Kay Sabar-O-Tahammul Kay Sath Khilaf Taba Baton Ko Bardasht Karay.

Sab Say Acha Wazifa Yeh Hai Kay Khidmat Ko Apna Nasbul Ain Banaya Jai Shokar Ki Bat Ka Lot Kar Jawab Na Diya Jai Na Koee Chubhti Huee Bat Ki Jai. Agar Apni Ghalati Ho Ti Is Ka Aitraf Karkay Mafi Mang Li Jai. Algharaz Khidmat, Iat, Sabar-O-Tahammul Aur Khush Akhlaqi Say Barh Kar Koee Wazifa Nahin Yehi Amal Taskhir Hai Jis Kay Zariye Shohar Ko Behtar Banaya Kiya Ja Sakta Hai.

Iss Say Barh Kar Koee Amal Taskhir Mujhay Maloom Nahin Agar Bilfarz Shohar Sari Umar Bi Sidha Ho Kar Na Chalay To Bhi Aurat Ko Duniya-O-Akhrat Mein Apni Naiki Ka Badla Dair Sawair Zarur Milay Ga Aur Is Kay Waqiyat Maray Samnay Hain Aur Jo Ortain Shohar Kay Samnay Tar Tar Bolti Hain In Ki Zindagi Duniya Mein Bhi Jahannam Hai Akhrat Ka Azab To Abhi Anewala Hai. Behan Bhayon Kay Liye Rozana Salat Alhajat Parh Kar Dua Kiya Kijay.

9. Khawatin Ka Ghar Say Bahar Nikalna
Sawal: Aurton Kay Ghar Say Nikalnay Ya Na Na Nikalnay Par Shariyat Islamiya Mein Kis Hat Tak Pabandi Hai?
Aljawab: Aurton Kay Liye Asal Kam To Yeh Hai Kay Baghair Zarurat Kay Ghar Say Bahar Qadam Na Rakhain. Chunanchay Surat Alahzab Ki Ayat Number 33 Mein Azwaj Mutahrat Ko Hukam Hai “Tum Apnay Gharon Mein Qarar Say Raho.”
Murad Is Say Yeh Kay Mahaz Kapra Orh Kar Pardah Karlainay Par Kifayat Mat Karo Balkay Pardah Is Tariqay Say Karo Kay Badan Mah Libas Nazar Na Aaey Jaisa Aaj Kal Sharfa Mein Pardah Ka Tariqa Mutarif Hai Kay Ortain Gharon Say Hi Nahin Nikaltin Albatt Mowaqeh Zarurat Dusri Dalil Say Mustashna Hain Aur Isi Hukam Ki Takis Kay Liyd Irshad Hai Kay Qadim Zamana Jahliyat Kay Dastoor Kay Mawafiq Mat Phiro Jin Mein Bay Pardagi Raij Thi Go Bila Fahash Hi Kiyun Na Ho Aur Qasdim Haliyat Say Murad Woh Jahliyat Hai Kay Bad Talim-O-Tabligh Ahkam Islam Kay In Par Amal Na Kiya Jai Pas Jo Tabraj Bad Islam Hoga Woh Jahliyat Akhri Hai.

Is Par Shayad Kisi Ko Yeh Khayal Ho Kay Yeh Hukam To Sirf Azwaj Mutahrat Riwanaullah Alhain Kay Sath Khas Hai. Magar Yeh Khayal Sahih Nahin. Hazrat Mufti Mohd Shafi Sahib Ahkamul Quran Mein Likhtay Hain Kay Is Ayate Karima Mein Panch Hukam Diye Gai Hain.

1. Ajnabi Lognon Kay Sath Nazakat Say Bat Karna
2. Gharon Mein Jam Kar Baithna.
3. Namaz Ki Pabandi Karna.
4. Zakat Ada Karna.
5. Allah Tala Aur Rasul Mohd Mustafa Ki Itat Karna.

Zahir Hai Kay Yeh Tamam Ahkam Aam Hain. Sirf Azwaj Mutehrat Razi Allah Anhon Kay Sath Mukhsus Nahin. Chunan Chay Tamam Aima Mufasarin Is Par Muttafiq Hain Kay Yeh Ahkam Sab Musalman Khowatin Kay Liye Hain. Hafiz Ibne Kasir Kehtay Hain Kay Yeh Chand Adab Hain Jin Ka Allah Tala Nay Anhazarat Mohd Mustafa Ki Azwaje Mutehrat Ko Hukam Farmaya Hai Aur Ahle Iman Ortain In Ahkam Mein Azwat Mutehrat Kay Tabeh Hain.

Albatta Zarurat Kay Moqon Par Orton Kay Chand Sharait Ki Pabandi Kay Sath Ghar Say Nikalnay Ki Ijazat Hai. Hazrat Mufti Sahib Nay Ahkamulquran Mein Is Silsilay Ki Ayat O Ahadis Ko Tafsil Say Likhnay Kay Doran Sharait Ka Khulasa Hasbe Zail Naqal Kiya Hai.

1. Nikaltay Wat Khush Bon A Lagain Aur Zenat Ka Libas Na Pehnain Balkay Mailay Kuchailay Kapron Mein Nilain.
2. Aisa Zever Pehan Kar Na Niklain Jis Mein Awaz Ho.
3. Zamin Par Is Terha Paon Na Marain Kay In Kay Khufia Zevrat Ki Awaz Kisi Kay Kan Mein Paray.
4. Apni Chal Mein Itranay Aur Mataknay Ka Andaz Ikhtiyar Na Karain Jo Kisi Kay Liye Kashish Ka Bais Ho.
5. Rastay Kay Darmiyan Mein Na Chaplain Balkay Kanaron Par Chaplain.
6. Nikaltay Waqt Bari Chadar Orh Lain Jis Say Sar Say Paon Tak Pura Badan Dhak Jai Sirf Aik Ankh Khuli Rahai.
7. Apnay Shohron Ki Ijazat Kay Baghair Ghar Say Bahar Na Nilain.
8. Kisi Ajnabi Say Bat Karnay Ki Zarurat Paish Aaey To In Kay Lab O Lehjay Mein Narmi Aur Nazakat Nahin Hona Chahiye Jis Say Aisay Sheikhs Ko Tamah Ho Jis Kay Din Mein Shehwat Ka Marz Hai.
9. Apni Nazrain Past Rakhain Hatta Alwaseh Na Mehram Par In Ki Nazar Nahin Parti Chahiye.
10. Mardon Kay Majmah Mein Na Ghusain.

Iss Say Yeh Bhi Wazeh Hojata Hai Kay Parliament Waghairah Ki Rukniyat Qabool Karna Aur Mardana Majmon Mein Taqrir Karna Orton Ki Niswaniyat Kay Khilaf Hai Kiyunkay In Surton Mein Islami Satar O Hijat Ka Malhuz Rakhna Mumkin Nahin.

10. Aurton Ka Tanha Safar Karna
Sawal: Aurat Kay Tanha Safar Kay Baray Mein Shariyat Ka Kiya Hukam Hai?
Aljawab: Aurat Kay Baghair Mahram Kay Safar Karna Jaiz Nahin. Hadis Mein Is Ki Mumaniyat Aaee Hai. Chunanchay Sahah Sata, Mota Imam Malik, Masnad Ahmed Aur Hadis Kay Tamam Matad Awal Majmon Mein Mutadid Sahaba Karam Rizwanaullah Alaihim Ajmaeen Ki Riwayat Say Anhazrat Mohd Mustafa Ka Yeh Irshad Maqqul Hai Kay Kisi Aurat Kay Liye Jo Allah Tala Par Aur Akhrat Par Iman Rakhti Ho Halal Nahin Kay Baghair Mahram Kay Tin Din Ka Sar Karay Jis Say Maloom Hota Hai Kay Baghair Mahram Kay Safar Na Karna Aurat Ki Niswaniyat Ka Imani Taqaza Hai. Jo Aurat Is Taqazai Imani Ki Khilaf Wazir Karti Hai Woh Fal Haram Ki Murtakin Hai. Kiyun Kay Is Fal Ko Anhazrat Mohd Mustafa La Yahal Far Fama Rahay Hain.

11. Aurton Ka Judge Banna
Sawal: Islami Shariat Mein Aurat Ka Judge Banana Jaiz Hai Ya Nahi?
Aljawab: Aisay Tamam Manasib Jin Mein Hark As O Nakas Kay Sath Ikhtelat Aur Mail Jol Ki Zarurat Pesh Ati Hai Shariyat Islami Nay In Ki Zemmedari Mardon Par Aid Ki Hai Aur Orton Ko Is Say Subukdosh Rakha Hai Inhi Zimmedariyon Mein Say Aik Judge Aur Qazi Bannay Ki Zimmedari Hai. Aan Hazrat Mohammad Mustafa Aur Hazrat Khulfa Rashedin Rizwan Allah Alaihim Kay Zamanay Mein Bari Fazil Khowatin Mojud Theen Magar Kabhi Kisi Khatoon Ko Judge Aur Qazi Bannay Ki Zehmat Nahin Di Gaee. Chunan Chay Is Par Aima Arba Ka Ittefrraq Hai Kayo Rat Ko Qzi Aur Judge Banana Jaiz Nahin. Aima Salasa Kay Nazdik To Kisi Mamlay Mein Is Ka Faisla Nafiz Hi Nahin Hoga. Imam Abu Hanifa Kay Nazdik Hadud O Qasas Kay Ma Siwa Mein Is Kai Faisla Nafiz Hojaiga. Is Ko Qazi Banan Gunah Hai. Fiqa Hanafi Ki Mashoor Kitat Dar Mukhtar Mein Hai.

Tarjumah:
“Aur Aurat Had O Qasas Kay Ma Siwa Mein Faisla Kar Sakti Hai. Agar Chay Is Ko Faisla Kay Liye Muqarar Karnay Wala Gunar Gar Hoga Kiyunkay Sahih Bukhari Ki Hadis Hai Kay Woh Qom Kabhi Falah Nahin Paigi Jis Nay Apna Mamla Aurat Kay Supurd Kardiya.”

12. Aurat Ko Sabarah Mumlikat Banana
Sawal: Kiya Aurat Sabarah Mumlikat Ya Intezami Sarbarah Ban Sakti Hai?
Aljawab: Islami Mashray Mein Aurat Ko Sarbarah Mumlikat Bananay Ka Koee Tasawur Nahin. Hadis Mein Hai Kay Aan Hazrat Mohd Mustafa Ko Ittela Mili Kay Ahle Faris Nay Kara Ki Beti Ko Badshah Bana Liya Hai To Aap Hazarat Mohammad Mustafa Nay Farmaya.
“Woh Qom Kabhi Falah Yab Nahin Hogi Jis Nay Apna Mamla Aurat Kay Supurad Kardiya.
Aik Aur Hadis Hai.”

Jab Tumharay Hukam Tom Mein Sab Say Achay Log Hon Tumharay Maldar Sab Say Sakhi Aur Kushadah Dast Hon Aur Tumharay Mamlat Apas Kay Mashwaray Say Tay Hon To Tumharay Liye Zamin Ki Pusht Is Kay Pait Say Behtar Hai Aur Jab Tumharay Hukam Buray Log Hon Tumharay Maldar Bakhil Hona Ur Tumharay Mamlat Aurton Kay Supurd Hon To Tumharay Liye Zamin Ka Pait Is Ki Pusht Say Behatar Hai (Yani Aisi Surat Mein Jinay Say Marna Acha Hai) Chunacnay Ummat Ka Is Par Ittefaq O Ajmah Hai Kayo Rat Ko Sarbarah Mumlikat Bnana Jaiz Nahin.
Shah Wali Ullah Mahdis Delvi Azala Alkhafa Mein Sharait Khilafat Par Behass Kartay Huway Likhtay Hain.
Tarjumah
Aur Aik Shart Yeh Hai Kay Sarbarah Mumlikat Mard Ho Aurat Na Ho Kiyunkay Sahih Bukhari Mein Aan Hazrat Mohd Mustafa Ka Irshad Hai Ma Aflah Qom Walwa Amar Ham Amrah Jab Aan Hazarat Mohd Mustafa Ko Yeh Ittelah Pohonchi Kay Ahlay Faris Nay Kasra Ki Beti Ko Badshah Banaliya Hai To Farmaya Kay Woh Qom Kabhi Falah Nahin Paigi Jis Nay Apni Badshahi Ka Mamla Aurat Kay Supurd Kardiya Naiz Is Liye Kayo Raat Fitratan Naris Ul Aqal Waldain Hai Jang O Paikar Mein Bekar Hai Aur Mehfilon Aur Mujlison Mein Hazir Honay Kay Qabil Nahin Hain Is Say Maqasid Matluba Puray Nahin Hosaktay.
.
Agar Koi Galti Kotahi Ho Gai Tou Muaaf Ki Jiye Ga N Meri Rehnumai Zaroor Kariye Ga...

junaid Ellahi
About the Author: junaid Ellahi Read More Articles by junaid Ellahi: 13 Articles with 63142 views I am junaid Ellahi from Multan Pakistan. I am a DAE DIPLOMA Holder.. I am Shy. BY Nature,
a True pers0n. N its My Passi0n. Inn0cent By Mistake. Well
.. View More