Rishwat Khour Ki Majbori

(Abdulaziz Syed Ali Shah, K.s.a Makkah )

Islam Mein Rishwat Ko Haram Qarar Dia Gaya Hai. Aap S.A.W Ka Farman Hai

( Rishwat Deynay Wala Or Rishwat Laynay Wala Dono Aag Mein Hai ).

Or Hum Kitni Aasani Say Kehtay Hai K Hamaray Mulk Mein Rishwat He Barbadi Ka Jarr Hai. Agr Koi Rishwat Wala Miljai To Ussay Kharri Kharri Suna Nay Mein Hum Koi Qasar Nhi Chorrty.

Kabhi Humnay Socha Hai Ye Police Constables Ya Dosray Qanoni Idaray Walay Kyo Rishwat Laytay Hai.

Is Ki Wajha Ye Hai K 10 Hazaar Ya 15 Hazaar K Liye Koun Apni Jaan Khatray Mein Dalay Ga.

Sara Din Ye Constables Apnay Senior Say Lantan Hotay Hai.In Ki Zindagi Hum Ek Din Nhi Guzar Saktay. Ye Apni Salary Say Apna Ghr Chalai Ya Apna Bachay Parhai Ya Phir Roze Marra Ki Hajaat Puri Kray. Aaj Kal To 10/15 Hazaar Rupees To Ek Haftay Ka Bari Mushkil Say Khrcha Nikalta Hai.

Ye Gareeb Kisi Ko Bilawajhay Rok K Paisay Esliye Laytay Hai K Un K Ek Din Ka Kharch Nikal Aai. 100 ,200 Rupees Jitnay Nikal Patay Hai Nikal Laytay Hai Or Media Bhi In He Gareeb Constables Ko Pakr K Tv Pay Lantan Krtay Hai.

Agr Hum Apnay Rishtay Daroa,Parosio, Azeez Wa Aqarib, Sailoa Or Khass Toar Pr Gareeb Qanon K Rakhwaloa Ko Puri Puri Zakaat Ada Kray, In K Khanay Penay Ka Khyal Rakhay, Jha Tak Hosgay To Un Ka Qarz Ada Kray Ya Un K Kisi Bachay Ki Fees Ada Kray Ya Books Dilwai Jha Tak Mumkin Ho Un Ki Imdad Kray To Rishwat Ka Khaatma Hojai .

Yaad Rakhay Jab Rishwat Khatam Hojai Gi To Na Insaafi Khud Ba Khud Khatam Hojai Gi Or Jurm Ka Qafi Had Tak Khaatma Hojai Ga.

Moral ( Akhlaqi Sabaq ).

Meray Kehnay Ka Maqasad Sirif Yahi Hai K Rishwat Ka Khaatma Kia Jai Or Zakaat Ko Pura Pura Ada Kia Jai.

Shayed Esiliye Islam Mein Zaakaat Pr Bhut Zoar Dia Gaya Hai Or Rishwat Ki Mamaniat Ki Gai Hai.

Jazak Allah Khair Thanks For Reading

Abdulaziz Syed Ali Shah
About the Author: Abdulaziz Syed Ali Shah Read More Articles by Abdulaziz Syed Ali Shah: 14 Articles with 34874 views Writing stories and poetries its not only my hobby but its my profession.My aim is to join F.I.A.. View More