A Day at Manhoos Examination Hall.
(Abdulaziz Syed Ali Shah, K.s.a Makkah )
H.S.S.C Ki Date Sheet Aagai Thi
Or Mera Pehla Paper English Ka Tha Meinay 5saal K Paper Or 13 Chapter Yaad Kiye
Howay Thay. Raat Ko Sotay Waqt Allah, Allah Kr K Soya K Subha Paper Aasan Ho
Phir Khyal Aaya K Tyari To Hai Sanno Ki. Jab Subha Centre Pr Phunchnay Wala Tha
To Khyal Aaya K Overseas Waloa K Paper To Mushkil Aatay Hai. Meinay Kha Khear
Hai Jo Hoga Dekha Jaiga. Centre Pr Phunchtay He Saray Sathi Naaj Gaa Rhay Thay
Mein Ek Pal K Liye Heraan Hogya K Aaj Board Exam He Hai Na Khi Mein Galat Date
Pr To Nhi Aagya Laikin Jab ROLL NO SLIP Pr Date Dekhi To Jaan Mein Jaan
Aai.Dostoa Say Poucha To Jawab Yhi Mila K Alhamdulillah Tyari To Bari Achi
Hai,Abhi Exam Mein 5min Baqi Thay To Saray Sathi Kehnay Lag Gai K Yaar To Thorra
Sa Dekha Dena,Ek Nay Kha Sirif MCQ'S,Ek Nay Kha Sirif SECTION B, Meinay Sab Ko
Kha Phelay Mujhay To Aai Phir Mein Baqio Ko Batao Ga.
Class Mein Dakhil Hotay He Saray Apni Apni Marzi Say Chairs Pr Beth Rhay Thay
Meinay Kha Kya Class Hai Laikin Phir Supredant Nay Apna Rang Dikha Dia.
MCQ'S Miltay He Meray To Hosh Urr Gai Or Mein Nay Jhat Say Dekha Ye
ENGLISH COMP Ka He Paper Hai Na. ALLAH ,ALLAH, Kr K MCQS To Day Dia Laikin Jab
Subjective Mila To Kouch Jaan Mein Jaan Aai Sirif 2 Jaga Problem Darpeash Hoi Or
Wo Question Tha,
" In The Story "The Piece Of String" Guy De Maupssant Brings Home The Point That
By Trying To Prove Innocence. Comment In The Light Of Story "
Mein To Yahi Keh Rha Tha K Agr Is Sawal Ko Examiner Sada Alfaz Mein Likh Dey Ta
To Kounsa Us Ka Baap Marr Jata.
Aakhir Is Ko Mein Nay Rafa Dafa Krdia Itnay Mein Meray Ek Dost Nay Mujhay Sada
Lagai Or Pouchnay. To Examiner Nay Uski Khoab Gandi Ki Is Doran Meray Ek Or Dost
Nay Muhjay Sada Di To Mein Nay Kha Agr Meinay Is Na Laiq Ko Jawab Dia To Jo
Likha Hai Wo Bhi Pani Mein Chala Jaiga. Lihaza Mein Nay Choudry Sahib Ki Baat Ko
Ansuna Krdia . Agla Sawal Unhonay Na Insafi Kr K Humsay Ye Poucha K
Q " Describe The Element Of Irony In The Play 'Heat Lightning'.
Is Sawal Ko Phartay He Foran Meray Dimagh Mein Khyal Aagya K Ye To Koi Chapter
Say Sawal Lia Gaya Hai Or Ye Exercise Mein Shamil Bhi Nhi. Meray Dimagh Mein
Yahi Khyal Aaya K Story Mein Jo Larki K Pass Torch Hoti Hai Wahi Element Of
Irony Ka Jawab Hai Aaisay Waisay Kr K Shuru Say Aakhir Tak Meinay Is Ka Jawab
Likhdia.
Nazar Ghumai To Sab Ja Chukay Thay Paper Dey K Mein Akela Class Mein Tha. Or
Paper Hal Kr K Is Manhoos Class Say Chala Gaya.