Hamare Masjide

(Sayyeda Aariba, Latur)

Baqar Eid Ko Gao Gye The Vaha Par Har Muhalle May Char Se Panch Masjid Hain Har Vaqt Ki Azan Keliye Adha Ghanta Yaksa Azan Hote Hain Fajar Ke Bad Naat Ka Silsila Isha Ke Bad Darud O Salam Ka Dur Ab Aap He Soche Char Masjid Me Ek Sath Ye Sab Hoga To Kaisa Shor Hoga. Har Masjid K Log(Emam O Degar)Ki Ye Koshish K Un K Pas Log Namaz Parhne Zeyada Aye Bache Arbe Parhne Zeyada Aye Or Ha Chanda Zakat Ki Masjid K Kam Ki Rasede Pharne Bhi Ramzan Ki Eftare Baqar Ki Khas Davat Ye Sabhi Mai Ek Dosre Me Sabqat Lejane Ko Kosha Rahte Hain Ye Sabhi Apni Apni Kargardage Mai Masrof Rahte Hain Or Es K Liye Ek Dosre Mai Nuqs Nikalna Tana Zani Burai Jhagra Vagera Se Bhi Baz Nahi Ate. Hazur Aqdas S.A.W.Ne Farmaya Ek Muslman Dosre Muslman Ka Bhai Hai Phir Bhai Hi Bhai Ka Dushman Kiyo?Phir Itne Sare Masjide Itne Alhadge Ek He Qome K Muslmano Mai Kiyo? Ham Ne Masjide To Tamer Kar Le Magr Ibadat Ko Tejart Bana Lea Bhai Ko Dushman Shaitan Ko Dost Bana Liya. Abhi Bhi Bahot Se Muslman Aise Hain Jo Jamat K Kam Me Rukavate Dalte Hain Jamat K Kam Islam Ko Farogh Dene Vale Muslmano Se Dor Bhagte Hain Or Ankhe Band Karke Ye Sochte Hain Vo Jaise Hain Vo Theek Hain Inhe Badlne Ki Apnay Or Apnay Khandan Ki Qome Ki Soch Ko Islam Kai Sahi Tareko Par Dhalne Ki Koi Zarorat Nahi Hai. Kuch Log Masjido Me Bila Zarorat Quran Karem K Pare Pore Quran Pak Jabran Sadqa K Tor Par Rakh Jate Hain Is Ke Bajai Sadqa Or Isale Sawab K Liye Masjid K Band Balb K Jagha Naya Balb Begde Fan Ki Marmat Namaz Parhne K Liye Jaenamaz Topi Tahart O Gussul Khane Ki Marmat Vazu Khane K Liye Pani Ka Intezam Karle To Ye Bhi Isale Sawab He Hai.

Sayyeda Aribaa
About the Author: Sayyeda Aribaa Read More Articles by Sayyeda Aribaa: 17 Articles with 24533 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.