(Een iman, D G Khan)
Quran Pak 1400 Sal Pehly Nazil Hoa Lekin Ajkal Ky Halat Ko Dekhty Hoey Lagta Hay Rat Hi Nazil Hoa Hy ALLAH Taala Nay Frma Diya Jis Ka Mafhom Hy Kafir Aur Gheer Muslim Chahy Kitny Hi Dosti K Dawy Kar Len Lekin Haqeeqat Mein Kabhi Musalmanon K Dost Aur Kher Khawa Nahi Ho Saktay Hain Wo Apas Mein Ek Dosry K Dost Aur Madadgar Hein.Ab Is Tanazur Mein Aj Kal Ky Halat Ko Rakh Kr Dekhen, Pakistan K Kai Hukmaran America K Sath Dosti K Dawe Karty Rahy Lekin Badly Mein Is Nam Nihad Dost Nay Pakistan Ko Tohfee Mein Ilzamat Ki Bochar, Darone Hamly, Imdad Ky Liye Sharmnak Sharait, Aur Black Water K Siwa Kuch Na Dy Saka, Jabky India K Sath Taawon Aur Madad Sb K Samny Hy. Hameen Shikwa In Gheir Muslimon Sy Nahi Balky Apny Musilman Hukmaranon Sy Hay Jo Quran Sy Eraaz Karty Hoey Dosti Ki Peengen Barhaty Hein, Shikwa Un No-Umer Bhaiyon Sy Hay Jo Tariq Bin Ziyad, Muhammad Bin Qasim, Allama Iqbal Ky Waris Hoty Hoey Hero Kisi Gheir Muslim Ko Btaty Hein, Jo Apna Qeemti Waqt Fazul Movies Dekhney Aur Apni Zindagi Mein Apply Karney My Sarf Kartay Hein,Muje Shikwa Un Behnon Say Hay K Jin Ka Khameer Hi Sharm O Haya Sy Gundha Hoa Tha Sab Lihaz Khatam Kar K Nai Tehzeeb Ki Bhol Bhalyon Mein Kho Gae Heyn, Muje Shikwa Pori Qoom Say Hay K Jis Quran O Hadees Ko Taqoon Mein Saja Rakha Hay Jo Shaer E Mashriq Ka Pegham Bhi Bhol Chuky Hen; Apni Milat Py Qayas Aqwame Magrib Sy Na Kar Khas Hy Tarkeeb Mein Qoom E Rasool E HASHMI. ALLAH Taala Sy Dua Hay Hm Sb Ko Hidayat, Apni Rooshan Tareekh Sy Muhabbat, Aur Mojoda Fitna O Fasadat Sy Aafiyat Ata Farmaey. Ameen