Humesha Allah Se Mangte Raho (Dua)

(fiza shaikh, india)

 Dua Ek Aisa Lafz Hai Jo Insaan Ki Zindagi Badal Deta Hain. ALLAH Ko Dua Mange Wala Banda Bohot Azizi Hota Hai Qk Wo Apni Pareshani ALLAH K Sath Share Karta Hai. Hadis Me Aya Hai K Jis Shaks Ki Dua Qabool Nahi Hoti Jaldi ALLAH Ko Uski Pukaar Bohot Achi Lagti Hai ALLAH Chahta Hai K Wo Banda Bar Bar Uske Samne Aaye Use Apni Hajat Btaye. To Duao Ka Der Se Qabool Hona Bhi ALLAHH Hi Ki Taraf Se Hota Hai Humein Kabhi Mayus Nahi Hona Chahiye... ALLAH Farmata Hai ' Jab Banda Mere Samne Hath Phehlata Hai To Mujhe Sharm Aati Hai Us Hatho Ko Khali Haath Lautane..' To Hum Soch Sakte Hai K ALLAH Hum Bando Se Kitni Zyada Mohabbat Karta Hai...

DUA Karne Wala Kabhi Khali Hath Nahi Rehta Kuch Na Kuch To ALLAH Se Le K Hi Jata Hai. Agar Dua Qabool Hui To Usski Khwahish Puri Ho Jati Hai Or Nahi Hui To Bhi Usme Koi Bhalai Chupi Hoti Hai Jo Humein Nazar Nhi Aati Lekin Wo Dua Radd Nahi Jati Balke Uska Bohot Zyada Sawaab Bande K Liye Aakhirat Me Jama Hota Rehta Hain. Hadis Me Aata Hai K Jab Bande Ko Aakhirat Me Uske Sawaab Ginaye Jayenge To Usme Uski Qabool Na Hone Wali Duaein Bhi Hongi ALLAH Ek Ek Dua Yaad Kra K Uska Badla Denge Jab Banda Khwahish Krega K A! Kashh! K Meri Koi Bhi Dua Duniya Me Qabool Na Hui Hoti :) So Always Make DUA N Remeber All Muslims In Ur DUA
 

fiza shaikh
About the Author: fiza shaikh Read More Articles by fiza shaikh: 3 Articles with 6701 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.