Assalamu Alaikum To All
Insaan Itna Aage Nikal Chuka Hai K Use Ab Kisi Ka Bhi Khuaf Nahi Hota Yaha Tak K
Uske Banane Wale Ka Bhi Nahi... Hum Din O Raat Gunaah K Kaamo Me Lage Rehte Hai
Ye Jante Hue Bhi K Maut Ka Koi Waqt Mukarrar Nahi, Hum Jante Hai K Allahh Humein
Dekh Raha Hai Phor Bhi Uska Khauf Humare Dil Me Nhi Utarta... Aakhir Q? Kya Hum
Apne Allah Ki Baato Par Bharosa Nahi Krte ? Nauzubillahh. Hadis Me Aata Hain K
Jab Banda Sab Se Chup Kar Koi Gunahh Karta Hai To Allah Farmata Hai K A Bande
Kya Tujhe Sab Rishte Naaato Me Me Hi Sab Se Kamtar Laga Jo Tu Duniya Se Chup Kar
Gunaah Krna Gawara Smjha Lekin Mujh Se Nahi... To Sochiye K Hum Itne Kaise Gir
Sakte Hainn. Nabi K Zamane Me Ek Sahaba Bhagte Hue Nabi (S.A.W) K Pass Aaye Or
Bole K Me Munafiq Ho Gaya Puchne Pr Bole K Jab Me Apke Samne Hota Hu To Goya
Jahannum Or Jannat Mere Aankho K Samne Hote Haii Lekin Jaise Hi Me Ghar Jata Hu
To Biwi Bacho Me Masroof Ho Jata Hu To Kahi Me Munafiq To Nhi Ho Gyaa.. Zara
Sochiye Sahaba Jin Par Allah Ne Jannat Farz Kar Di Thi Wo Bhi Itna Darte The Or
Ek Hum Hai Jo Itne Gunaho K Baad Bhi Nhi Darte.
Duniya Me Agar Hum Kisi Chizz Se Darte Hai To Usse Dur Ho Jate Hain Lekin Agar
Hum Allahh Se Darte Hai To Uske Or Bhi Qareeb Ho Jate Hain. Allahh Apne Bando Se
Bohot Zyada Pyar Karta Hai Or Wo Nahi Chahta K Hume Azaab Ho Isiliye Usne Hume
Momin Banaya Deen Ki Samajh Di. Ab Ye Hum Par Hai K Hum Apni Mohabbat Ka Izhaar
Allahh Se Kaise Karte Hai...
Allahh Hum Sab Ummati Ko Hidayat Or Sahi Raste Par Chalne Ki Taufiq Ata Farmaye
Aameen