Larkun Ki Maa'ain

(Kiran Sultan, Karachi)

Aj Ghar Mein Subha Sy Hi Sub Masroof Thy, Konay Konay Ki Safae Ho Rahi The, Farsh Ki Dhulai Horahi The Aur Saeeda Bagum Itni Safae K Bad Bhi Ab Tak Mutmaeen Nazar Nahi Aa Rahi Then…

Ye Itni Safaiyan Aj Bari Behan K Anay Walay Rishtay Walun K Liye Ki Ja Rahi The Jinho Ny Ana Tu Sham Ma 5 Bajay Tha Magar Saeeda Begum Ny Subha Sy Hi Apni Betiyun Ko Safae Ma Laga Rakha Tha Q K Wo Nahin Chahti Then K Anay Walay Rishtay Walay Wapas Jain.

Ye Taqreeban Aj Kal Har Dosray Ghar Ki Kahani Hy Jahan Betiyan Ghar Ma Bethi Hun. Aisay Hi Main Apni Betiyun K Anay Walay Rishtay Walun K Liye Ghar Saaf Honay K Bawajood Saaf Karwati Hen.. Achay Sy Acha Intezam Kiya Jata Hy Ta K Anay Walun Per Acha Asar Paray Lykin Hota Is K Baraks Hy.

Larkay Walay Kisi Bhi Larki Ko Dekhnay Jatay Hen Tu Wahan Refreshment Khana Apna HAQ Samajhtay Hen, Larki Ko Sar Sy Lay Paun Tak Aisi Nazrun Sy Dekha Jata Hy Jesay Qurbani Ka Bakra Ya Gaay Laynay Sy Pehlay Janwar Ko Dekha Jata Hy.

Hamara Mazhab Itna Mushkil Nahi Hy Jitna Usko Bana Diya Gaya Hy. Hamaray Mashray Ki In Hi Farsooda Riwayat Ny Shadi Aur Nikkah Jesi Saada Rasoomat Ko Mushkil Tareen Bana Diya Hy. Larkoon Ko Aur Larkay Walun Ko Larki Khubsorat, Lambi, Smart, Ghar Dari Wali, Khush Shakal, Khush Ikhlaq, Choti Family Ki, Parhi Likhi, Kam Umar Aur Goori (Fair Complexion) Ki Chahye Aur Buhat Mazrat K Sath, Khud K Beta Nazar Nahi Ata.

Main Bhi Aik Larki Hun, Main Larky Walun Sy Pochti Hun K Bataye Ma Yehi Sub Ap K Betay Ma Dekhon, Ap K Betay Ko REJECT Karun. Usko Sar Sy Lay Kar Paun K Nakhun Tak Ko Dekhun Tu Ap Ko Kesa Lagay Ga.

Larki Bhi Insan Hy Aur Khuda Ny Aurat Ko Buhat Nazuk Banaya Hy. Ap Larkay Ki Ma’ain, Khubsorat Larkiyan Dhondti Hen Aur Chahti Hen K Wo Larki Apki Bahu Ban Kar Apko Rotiyan Aur Khana Paka Kar Dy Aur Jub Wohi Apki Khubsorat Bahu Apko Ye Sub Kam Na Kar K Dy Tu Wo Sub Sy Buri Aur Manhos Hy.

Muhtarm Larkay Ki Walda Sahiba, Khubsorat Bahu Jo Ap Lae Hen Wo Khubsorat Is Liye Hy QK Wo Ye Kam Nahi Karti Jis Sy Uski Khubsorti Pe Farq Paray.

Akhir Ma Bus Itna Kehna Chahun Gi K Khubsorti K Peechay Nahi Bhagiye Q K Agar Kisi Insan K Ikhtiyar Main Hota Agar Khud Ko Khubsorat Banana Tu Aj Duniya Ma Koi Kala Na Hota, Koi Badsurat Na Hota.

Kisi Larki Ko Sirf Us Bat Per Reject Karna Jis Per Uska Khud Ka Koi Ikhtiyar Nahi Hy, Ye Sirf Aur Sirf Allah Ki Banae Hue Makhlooq Ma Nuqs Nikalna Hy..
Khuda Sy Dariye Aur Un Larkiyun Ka Sochiye Jo Kam Shakal O Sorat Ki Hen Aur Ap Logoon Ki Waja Sy Aj Gharun Ma Bethi Hen.

Kiran Sultan
About the Author: Kiran Sultan Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.