Qaza Ada Karo

(Saba Tariq, Karachi)

ALLAH Tala Jab Jis Ko Cahata Hai Hidayat De Deta Hai, Koi Be-Namazi Namzi Ho Jata Hai, Koi Gunhagar Insan, Shariat Ka Panband Ho Jata Hai. Gunaho K Rasto Par Chalny Wala Muttaqi-O-Parhezgar Ho Jata Hai. Lekin Yad Rakhye.......... ! Namazi Ban Jany Say, Gunaho Say Toba Karny K Bad Bhi. Jo Hamary Pechlay "FARAIZ" "WAJIBAT'' ''ZAKAT'' ''HOQOQ-UL-EBAD'' Ye Sub Ada Karny Hongy, Jitni Farz Namaz Qaza Ki Thi Wo Ada Karni Hongi, Jo Farz Rozy Qaza Kiye Hai Un Ko Rakhna Ho Ga, Kisi Ka Qarz Hai Tu Dena Ho Ga, Dil Dukhya Ho Ga Tu Mafi Mangni Ho Gi.

Lekin Afsos Tu Is Bat Ka Hai K Hamara Is Taraf Dehan Hi Nahi Jata, Hamay Deen Ka Elm Hi Nahi Hai. Hamara Zehan Bus Dunyawi Mamlat Ma Tu Khub Chalta Hai.....Bulky Dorta Hai.Kash K Hum Apny Dunyia Ma Anay Ka Maqsad Yad Rakhain. Khulos-E-Dil Say Apny Rab Ki Ebadat Or Apny RASOOL (Sallallaho Alihi Wasallam) Ki Atat Ma Zindagi Guzarain. Apni Zindagi Ko ALLAH Or Us K HABIB(Sallallaho Alihi Wasallam) Ki Zindagi Mubarak K Usool K
Mutabiq Guzarny Ki Tufiq Ata Farma. Kash K Har Fard Apni Apni Zimadari Ko Mehsos Kary. Ek Mashara Or Mulk Kabhi Sahi Nahi Ho Sakty Jab Tak Ek Ek Fard Theak Nahi Ho Ga. Q K..............Fard Say Mashra Banta Hai.

Hum Tu Kush Qismat Ummat-E-Muhammadi Hain K Hamary Deen Ma Har Har Aml Ka Tariqa, Har Maslay Ka Hal Bataya Gaya Hai, Leki Kabhi Hum Ne Is "ELM" Ko Sekhnay Ki Kosish Hi Nahi Ki Kabhi Is Ko Zarori Hi Nahi Samjha, Apny Ap Par Jitna Bhi Afsos Karain Kam Hai. Dunyia Ka Har Elm Hum Sekhnay Ki Kosish Karty Hain. Koei Khany Pakany Ki Achi C Takeeb Batay Us Ko Zaror Try Karty Hai, Dairy Ma Likh Bhi Letay Hai. Kabhi Koei Deeni 'Masaala'
Hum Ne Note Kiya. Or Ager Koei Deen Ki Bat Bataey Tu Bhi Bor Ho Jaty Hai. Hamary Kan Bor Hojaty Hai, Lekin Is K Bar-Aks Ager Koei Gana Laga Ho, Kisi Ki Burai Sunni Ho, Tu Hum Mazay Le Le Kar Suntay Hain. Afsos Hai Hamari Halat Par.

Zindagi Tu Wo Hi Hai Jo Shariat K Mutabiq Ho. Hamay Cahiye K Hum Deen Ka Elm Sekhain. Ham Is Had Tak Jahalate Ki Had Ko Cho Chukay Hain K........TALEEM YAFTA Hum Sirf Us Shakhs  Ko Samajhty Hain Jo Dunyawi Taleem K Lehaz Say Agay Hain. Lekin Ek Bat Yad Rakhye K Elm Ki Bunyad Hi DEEN Hai. Hamay Cahiye K Deen -O-Dunya Ki Taleem Dono Ko Ehmiat Dain Or Dono Ko Sekhain Or Amal Karain.Z indagi Sanwar Jaey Gi, Akhrat Nikhar Jaey Gi. Rab Razi Ho Ga, Azab-E-Qabar Dor Ho Ga. ALLAH Pak Hamain Naik Banay Or Jo Faraiz Hum Say Reh Gaye Hain Un Ki Qaza Ko Ada Karna Qobol Farmay Or Deen Par Chalnay Par Isteqamat De. (Ameen)

Saba Tariq
About the Author: Saba Tariq Read More Articles by Saba Tariq: 17 Articles with 56876 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.