Aj Hamary Mashray Main Hum Apny
Ird-Gird Dekhty Hai Tu Kiya Hamay Kuch Mehsos Nahi Hota, Kahi Kuch Kami Hai.?
Kuch Adhora Hai. Ek Awaz Apny Waqat Par Ati Hai. Din Main Pach(5) Bar.
Lekin Chand Log Is Taraf Mutawajja Hoty Hai. Or Esa Lagta Hai Ha Baqi Log Tu
Janty Hi Nahi K Ye Awaz Q A Rahi Hai, Kuch Log Janty Hai Tu Us Ki Parwha Nahi
Hoti Un Ko. Lekin Han Phir Bhi Ye Bat Hum Bary Fakhar Say Khety Hain K. Hum
Musalman Hain.? Hamara Deen Islam Hai.? Hum Hazrat Muhammad P. B. U. H K Ummati
Hain.? Ager Hum Main Thori C Bhi Sharam-O-Haya Baqi Hai Tu Ham Aj Apnay Zahiri
Or Batani Amal Ko Dekhy. Kiya Musalman Esa Hota Hai.? Kiya Hamaray Piyaray
NABI ( Sallallho Alihi Wasallam) Ka Ummati Esa Hota Hai. Ap Ko Malom Hai K
Musalman Or Kafir Ma Jo Farq Hai Wo "NAMAZ" Say Hai.
Lekin Afsos Hai K Aj Hum Khud Say Puchay K. . . . . . . Kiya Is Farq Ko Hum Ne
Mitta To Nahi Diya. . . . . ? Bohat Acha Jawab Mila Ho Ga Ap Ko, Sir Sharam Say
Jhuk Gaya Ho Ga. ALLAH Pak Hum Ko Tufiq De. Aj Mashray Ma Jitni Bay-Hayai
Pheli Hai Wo Sub Namaz Ko Chornay Say Hi Pheli Hai. Kash K Namaz Mashray
Main Aam Ho Jaye, Har Chota Bara Ortain Or Bhoray Namaz K Panband Ho Jaey.
Q K. . . . . . . . ''Namaz Bay-Hayai Or Buri Bato Say Rokti Hai"
Quran-E-Kareem Ma Jaga Jaga NAMAZ Ki Takid Ki Gaei Hai. AHADITHS Say Bhi Namaz
Ki Ehmaiyat Ka Pata Chalta. SAHABA KARAM(Razi ALLAH Tala Anha ) Bhi Namaz Ko Dil-O-Jan
Say Parhty Thy. Phir Hum Kis Ki Taqlid Kar Rahay Hai. Hum Ne Kia Koi Zindagi Ka
Masad Banaya Hai. Zara Sochye. . . . . . . . . . . . . . !K Sheitan Q
Mardud Howa Q ALLAH Ki Lanat Us Par Barasti Hai. . . . . . . Sub Ko Pata Hai K
Us Ne"HAZRAT ADAM ALIHI SALAM " Ko Sajda Karny Say Inkar Kiy Atha.
Tu Hum Kiya Kar Rahay Hain. Hum Tu Ek Dafa Nahi Balky Din-O-Rat Ma Panch(5)Bar
Apny Amal Say Zahir Karty Hain K Hum Bhi Sajda Nahi Kar Rahy. Hum Tu Dunya
Ki Fani Lazzato Ma Har Dam Sajda-Rez Hain. Ab Bhi Waqat Hai Sanbhal Jaey. Namaz
Ko Ada Karny Wala Ban Jaey Is Say Phelay Hamari Namaz Ada Ki Jaey. . . . .
. . Us Waqat Say Phelay Hi Apny Rab Ko Mana Lijay.
Hum Kitnay By-His Ho Gaey Hain K Sub Kuch Pata Rakh Kar Bhi Ajan Bany Howay Hai
Lekin Is Ka Nuqsan Kisi Or Ko Nahi Sirf Or Sirf Hum Apny Ap Ko Hi Puhoncha Rahay
Hai, Hamay Malom Hai K Marny K Bad Phela Sawal NAMAZ Ka Hi Hona Hai. Phir
Q Is Say Ghafil Hai, Q In Gunaho Say Bachnay Ki Kosish Nahi Karty.
Zindagi Kitni Badal Gaei Hai, Har Chiz Nay Kitni Taraqi Kar Li Hai, Balkay Hamay
Yun Kehna Chahiye K. . . . . . . . . . Zindagi Kitni Bad-Amal Ho Gaei Hai, Har
Chaiz Ma Kitni Bay-Hayai Phel Gaei Hai. Hum Dunya Ki Mohobat Ma Kitnay
Anday-Behray Ho Gaey Hain. Hamay Achai Or Burai Main Farq Hi Mehsos Nahi Hota.
Ye Q Nahi Hota Itna Bhi Hamary Pas Sochny Ka Time Nahi. Esay Hum Kiya Name Dain
Ap Khud Say Hi Is Ka Jawab Pochay. . . . . . . . . . . . . ? Yad Rakhye NAMAZ Hi
Tamam Ebadat Ka Juz Hai. Bunyad Hai. Is K Baghar Tamam Ebadat Na Mukammal Hai.
Namaz Hamary Piyaray NABI (Sallallho Alihi Wasallam) Ki Ankho Ki Thandak Hai. Aj
Bhi Hamara RAB-E-KAREEM Intezar Ma Hai K Kab Mera Banda Meray Agay Sajda Rez
Hota Hai Ma Us K Tamam Gunha Maf Kar Donga. Phir Q Hum Agay Nahi Barhty. Ek Dafa
Kosish Tu Kijy.
Yaqinan Jeet Hamari Ho Gi. Or Shitan Nakam-O-Namurad Ho Ga. Namaz Ki Panbandi
Kar K Tu Dekho Kesa Qalb Ko Sukon Milta Hai, Roh Ko Tazgi Milti Hai. Yad Rakhye
Qayamat Ma Jis Ki Namaz Sahi Nikli Wo Nijat Pa Gaya. Or Jis Ki Namaz Hi
Namukammal Nikli Us Ko Kiya Kahain. . . . . . . . . . . . . . Soch Kar Hi Khuf
Ata Hai. Zaban Laraz Jati Hai, Hath Tar-Thara Jatay Hai ALLAH Pak Hum Sub Ko
Sacha Pakka Namazi Bana De, Or Esa Namazi Bana K Hamara Dil Masjid Ma Hi Atka
Rahay. Thori C Kosish Kijay Har Bara Apny Choto Ko Sath Le Kar Namaz Parhay.
Apny Dosto Ko Namaz Ki Talqin Kijay Ortain Ghar Hi Main Meri Ap Sab Say Ek
Request Ha K . . . . . . ! ( Kisi Achi Bat Ko Sirf Parhnay Ki Tarhan Hi
Nahi Parhna Chahiye. . . . . Balky Parh Kar Amal Karny Ki Niyat Honi Chahiye. Or
Jo Parh Le Us Par Khud Amal Karna Chahiye, Us Bat Ko Dosro Ko Bhi Batana Chahiye)