Islami Nazariyati Council Ka Faisla
(مفتی محمد مدنی رضا, Karachi)
Kuch Arsa Qabl Islami
Nazariyati Council Ki Taraf Se Yeh Faisla Sunaya Gaya K 3 Talaqen Bayak Waqt
Dena Gair Qanooni Hai Or Is Kay Murtakib Ko Saza Deni Chahiye. Baaz Log Is
Hawalay Se Shasho Panj Ka Shikar Hogaye K Kia Yeh Faisla Shariat K Mutabiq Hai
Ya Nahi. Awwallan To Aisa Sochne Walon Ko Khud Sochna Chahiye K Jahan Ulama Ki
Moujoodgi Me Koi Faisla Kia Jaye Us Me Shariat Ki Khilaf Warzi Kese Mumkin Hai.
Bilfarz Agar Ulama Per Bharosa Na Ho Go Aqal B Kisi Bat Ka Taqaza Karti Hai Jis
Ki Roshni Me Insan Sahi Or Galat Ka Faisla Kar Sakta Hai. Yaqneen Allah Ne Mard
Ko Talaq Ka Ikhtiyar Zarur Diya Hai Lekin Usi Rab K Rasool Ne Apni Taleemat K
Zariye Talaq Dene Kay Andaz Ko Bayan Farmaya Hai Jis Me Yeh Bat B Moujood Hai K
Agar Kisi Shakhs Ko Talaq Deni He Ho To Woh Ek Waqt Me Teen Talaqen Sath Na De.
Phir Itne Arsay Me Jitne Bhi Fuqaha Tashreef Laye Sub Ne Yehi Farmaya K Ek Waqt
Me Teen Talaqen Ek Sath Deen To Agarchay Nafiz Hojati Hen Magar Is Tarah Talaq
Dena Gunah Hai Or Is Talaq Ko Talaq E Bidaai Bhi Kaha Jata Hai. Afsos K Is Per
Tabsara Karne Wale Dunya Jahan Ki Her Malumat Hasil Krlete Hen Lekin Deen Parhne
Ka Ilm Nahi. Jub Yeh Amal Nigah E Shara Me B Gunah Hai To Phir Shariat Is Bat Ki
Ijazar B Deti Hai Keh Gunah Ki Rok Tham K Liye Hukumat E Waqt Tazeeran Koi Bhi
Saza Muqarrar Kar Sakti Hai. Lihaza Qawaneen E Shara Per Tabsra Agar Uloom E
Deeniya Ki Roshni Me Ho To He Durust Hal Samne Aasakta Hai Aql O Faham Or
Deeniilm K Bagair Tabsra Gumrahi Tuk Le Jata Hai.