Hazrat Ali ( R.A. ) ki Achi Baatein
(Shamsul Hasan, New Delhi)
(Surah Al-Rahman 013)
1-Wo Gunah Jis Ka Tumhein Ranj Ho,
Allah K Nazdeeq Us Nayki Se Behtar Hai
Jis Se Tum Main Ghuroor Paida Ho Jaye”.
2-Kisi Ne Hazrat Ali R.A Se Poocha:
“Dost Aur Bhai Main Kya Farq Hai?”
Aap Ne Farmaya:
“Bhai Sona Hai Aur Dost Heera Hai.”
Us Aadmi Ne Kaha:
“Aap Ne Bhai Ko Kam Qeemat Aur Dost Ko Qeemti Cheez Se Kyun Tashbeeh Di?”
To Aap Ne Farmaya:
“Sone Main Agar Darar Aa Jaye To Us Ko Pighla Kar Bilkul Pehlay Jaisa Banaya Ja
Sakta Hai. Jab Ke Heeray Main Aik Darar Aa Jai To Wo Kabhi Bhi Pehlay Jaisa Nahi
Ban Sakta.’
3-Ager Kisi Ka Zarf Azmana Ho To Usko Ziada Izzat Do!
Wo Aala Zaraf Hoa To Ap Ko Aur Izat Day Ga!
Aur Kam Zarf Hoa To Khud Ko Aala Zaraf Sumjhey Gaa
4-Hazrat Ali R.A Ka Farman Hay:-
“Bura Dost Koely Ki Manind Hay”
“Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega”
“Aur Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kr Dega”
5-Aazmaye Hue Ko Azmana
Bewakufi He.
Logon Ki
Zaroraton Ka
Tum Se Wabasta
Hona Tum Per
Allah Ki
Enayat Hain!.
6-Hazrat Ali R.A Says
Tumhare 3 Dost Hain
1 Tumhara Dost
2 Tumharay Dost Ka Dost
3 Tumharay Dushman Ka Dushman
Tumharay 3 Dushman Hain
1 Tumhara Dushman
2 Tumharay Dushman Ka Dost
3 Tumharay Dost Ka Dushman
———–
7-Hazrat Ali R.A Ne Eid K Din Ro Ro K Bura Haal Kar Liya.Naye Kapre Na Pehne Aur
Sookhi
Roti Khane Lagey. Kisi Ne Poocha K Aaj To Eid Hai Aap Ne Koi Tayyari Nahi Ki.
Aap Ne Farmaya K
Eid To Unki Hai Jinko Allah Subhan-A-Hu- Wa Taala Ne Muaf Kar Dia
———–
8-Hazrat Ali R.A Says
Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye
Per Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banay
———–
9-Jub Meri Dua Kabol Ho Tu Mein Khush Hota Houn
K Is Main Meri Marzi Hai Aur
Jub Kabol Na Ho Tu Mein Aur Khush Hota Houn
K Ye Allah Ki Marzi Hai
10-Ikhtiyar, Taaqat Aur Doulat
Aisi Cheezain Hain Jin K Milnay Say Log
Badaltay Nahin Baynaqab Hotay Hain
11-Agar Tum Kisi Ko Chota Dekh Rahe Ho,
To Tum Use Door Se Dekh Rahe Ho!
Ya Phir Gharoor Se Dekh Rahe Ho!
12-Ghareeb Wo Hai Jis Ka Koi Dost Na Ho!.
13-Sab Se Bara Gunah Wo He Jo Karne Walay Ki Nazar Me Chota Ho!
14-Mujhe Jannat Se Ziada
Masjid Mein Bethna Acha Lagta Hai
Kyunke
Jannat Mein Mera Nafs Khush Ho Ga
Jab Ke Masjid Mein Mera Rab Khush Ho Ga.
15-Main Jannat K Shouq Main Ebadat Nahe Kerta,
K Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay!
Main Dozakh K Khouf Say Ebadat Nahe Kerta,
K Ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai!.
Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta Hon…
K Mera Rub Ebadat K Layeq Hai……
16-Aik Shakhs Ne Hazrat Ali R.A Sey Poocha,
Q: Qharib Kya Hai?
A: Qyamat
Q: Or Qhareeb Ter?
A: Maut
Q: Ajeeb Kya Hai?
A: Duniya
Q: Aur Ajeeb Tar?
A: Talib-E-Duniya
Q: Wajib Kya Hai?
A; Toba
Q: Or Wajib Tar?
A: Gunah K Forun Bad Toba
Q: Mushkil Kya Hai?
A: Qaber Mein Utrna
Q: Our Mushkil Tar?
A: Amal K Bagair Utrna
———–
17-Apni Zuban Ki Tezi Us Per Mat Azmao Jis Ne Tumhen Bolna Sekhaya
Yaani Maa Aur Baap Ka Adab Karo!
18-“Sub Se Ziyada Kamzor Aadmi Wo He Jo Dost Ko Haasil Karne Me Naakaam Ho,Aur
Us Se Bhi Ziyada Kamzor Wo He Jo Haath Aai Howe Dost Ko Ganwa De”
19-“2 Cheezein Saari Zindagi Kaam Ayengi,
1 = Ghussay Ki Halat Mein Koi Faisla Mat Karo!
2 = Khushi Ki Haalat Mein Koi Wada Mat Kro!
20-Insaan Bhi Kitna Ajeeb Hy,
Jab Kisi Cheez Se Darta Hy To Us Se Dour Bhagta Hay.
Jab Allah Sy Darta Hy To Us K Aur Qhreeb Ho Jata Hai!.
21-Dunya Daron Ki Sohbat Ikhtyar Na Karo Q K Agar Tu Tang-Dast Huwa To Ye Tujhe
Chorh Denge Aur Agar To Dolat-Mand Huwa To Tujh Se Hasad Karen Gay.
22-Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Rooth Jaye Usay Mana Lena Chahiye!
Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!
23-“Yeh Na Socho K Allah Dua Foran Qabool Kyun Nahi Karta,
Yeh Shukar Karo K Allah Hamaray Gunaahon Ki Saza Foran Nahi Deta..”
24- 4 Batain Elim Ka Nichour Hain,
1.) Allah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain Allah Ki Zaroret Hay!.
2.) Allah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho!..
3.) Dunya K Liye Itna Amal Karo Jitna K Tumhain Dunya Main Rehna Hai,,
4.) Aakhrat K Liye Itna Amal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain….!!!
25-Buraee Main Kisi Ka Sath Dena Ghatiya Pan Aur Khuda K Sath Bad Diyanti Hay!.
26-Kisi Ki Madad Kartay Waqt Us K Chehray Ki Janib Mat Daikho, Ho Sakta Hay Us
Ki Sharminda Ankhain Tumharay Dil Main Gharoor Ka Beej Bo Dain.
27-“Golden Words”
“Her Insan Ki Izzat Aur Uss Sy Mohabat Kro,Kion K Her Insan K Ander Khuda Ki Koi
Na Koi Sift Zror Mojood Hoti Hai”
28-“Ebadat Aesi Kro Jis Se Tumhari Rooh Ko Maza Aey Qyoun K Jo Ebadat Dunya Mai
Maza Na De Wo Akhrat Mai Kia Jazah Degi”
29-Barish Ka Qtra Seepaur Saanp 2non K Munh Mein Girta Hai
Lekin Seep Usay Moti Aur Saanp Usay Zehr Bna Deta Hai
Jis Ka Jaesa Zarf Waesi Uski Takhliq
30-Tum Accha Karo Aur Zamana Tum Ko Bura Samjhe!
Ye Tumaray Haq Main Behtar Hai
Bajaye Es K Tum Bura Karo Aur
Zamana Tum Ko Acha Samjhe!
31-Jahan Sadaaqat Aur Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Barhao Warna
Tumhari Tanhaee Tumhari Behtreen Saathi Hai.
32-Bay Shak Dunya Aor Akhrat Ki Misal
Aisi Ha Jasay 1 Shaks Ki 2 Bvian(Wives)
Hon 1 Ko Razi Karta Ha To Dosri Rooth
Jati Hai!
33-Agr Kisi Ka Ban’na Chahtay Ho To Pori Hakeqat Se Ban Jao… Warna,Apni Zaat Mn
Aisi Hakeqat Peda Kr Lo K Koi Hakeqat Mien Tumhara Ban Jaye…!
34-Naikon Ki Suhbat Ikhtiar Karo Nek Ban Jao Gai, Buron Ki Suhbat Se Parhaiz
Karo Badi Se Dor Ho Jao Gai.
35-Agr Koi Tumhara Dil Dukhaey To Naraz Na Hona Qyoun K Qanoon E Qudrat Hay K
Jis Darakht P Ziada Meetha Phal Hota Hay Usay Log Ziada Patthar Marte Hain!
36-Teen Kaam Kisi K Dil Main Ap Ki Izzat Barhatay Hain!:
1- Salam Karna.
2- Kisi Ko Majlis Mein Baithne Ki Jagah Dena.
3- Asal Nam Se Pukarna.”Yaani Pure Naam Se Mukhatib Karna!
37-Buray Insaan Ki Sohbat Se Perhaiz Karo Kyun Kay Woh Talwar Ki Tarha Hey Jo
Dekhney Mein Khobsorat Aur Asar Mein Khatarnak Hai!.
38-Achi Zindagi Guzarney Ke 2 Tareekhay Hain!.
¤ Jo Pasand Hai Usay Hasil Kr Lo!
Ya Phr
¤ Jo Hasil Hai Usay Pasand Kr Lo!. Yaani Qhina’at Ikhtiyar Karo!
39-Teen Insan 3 Chezon Se Mehroom Rahenge!
1.Ghussay Wala Durust Faisly Se!
2.Jhoota Izzat Se!
3.Jald Baaz Kamyabi Se!.
40-Allah K Nazdeek Sab Say Ziada Gunah Gar Cheez Jhoot Bolnay Wali Zuban Hai!.
41-Gulab Ka Phool Bno
Kyunke Yeh Phool Us K Hath Me Bhi Khushbo Chor Daita Hai Jo Isey Masal Kar
Phaink Daita Hai.
42-Khush Mizaji Hamesha Khoubsorti Ki Kami Ko Poora Kar Deti Hai!,
Lekin Khoubsorti Khush Mizaji Ki Kami Ko Pura Nahi Kar Sakti!.
(Hazrat Ali) A.S
43-Agr Tum Usy Na Pa Sako Jise Tum Chahte Ho,Tu Usy Zroor Pa Lena Jo Tmhe Chahta
Hai
Qiyun K Chahne Se, Chaahe Jane Ka Ehsas Ziada Khubsurat Hota Hai!
Hazrat Ali (R.Z)
44-Koshish Karo K Tum Dunia Main Raho Dunia Tum Me Na Rahy Qiyon K Kashti Jab
Tak Pani Main Hoti Hay Taerti Hai Aur Jab Pani Kashti Main Aa Jata Ha To Doob
Jati Hay!