Co Education Essay In Urdu
Larkay Aur Larkiyan Akathi Kisi Aik Darsgah Mein Taleem Patay Hon Tou Is Tarika
Ko Makhloot Taleem Ka Naam Diya Jata Hai. Taleem Ke Mutaliq Bohat Se Masail Hal
Talab Paray Hain. Ye Masla Bhi Aik Mila Masla Hai Jis Ko Hal Karna Bhi Bihat
Zaroori Hai. Abhi Tak Female Education Ka Masla Hi Hal Nahin Kar Sakay. In Ke
Nisab Mein Masla Paya Jata Hai. Aik Tabqa Ka Khayal Hai Ke Larkiyon Ko Sirf Aisi
Taleem Dena Kafi Hai Jis Se Ghar Ki Zumaidariyan Sambhal Sakain Aur Batoor Sanaf
Nazuk Apne Faraiz Ghar Ke Andar Hi Sar Anjam De Sakain. Khuch Log Maghrib Pasand
Hain Khuch Mashriq Pasand. Sub Ki Apni Apni Raye Hai.
Co-Education Yani Makhloot Taleem Bhi Aik Qaumi Masla Hai. Is Ke Mutaliq Bhi
Mukhtalif Ara Hain. Azad Khayal Logon Ka Nuqta Nazar Hai Ke Larkiyon Aur Larkon
Ko Akhathay Taleem Dene Mein Hoi Harj Nahin Balkeh Is Ke Bohat Se Faide Hain.
Hamara Mulk Aik Ghareeb Mulk Hai Alag Alag Taleemi Adaray Banana Aur Un Ke
Akhrajat Ka Muthamal Nahin. Wh Kehte Hain Ke Mil Jul Kar Azadana Taleem Hasil
Karne Se Manfi Jazbat Khatam Ho Jate Hain Aur Sakoon Ke Sath Husool Taleem Ka
Kaam Jari Rehta Hai. Larkay Aur Larkiyon Ko Aik Dusre Ko Samajhne Ka Achi Tarah
Se Moqa Milta Hai.Un Ki Bahmi Jhijhak Bhi Dor Ho Jati Hai. Apas Mein Tabadla
Khayalat Se Bohat Si Ghalat Fehmiyan Door Ho Jati Hain Aur Bohat Se Ikhtilafat
Khatam Ho Jate Hain.
Larkiyon Mein Buzdili Ke Bajaye Jurat Paida Hoti Hai Jo Amli Zindagi Mein Mufeed
Sabit Hoti Hai. Un Mein Mardon Ke Dosh Badosh Kaam Karne Ki Salahiyat Paida Ho
Jati Hai. Makhloot Taleem Se Aik Aur Bhi Faida Hota Hai Ke Aik Dusre Se Agey
Nikal Janay Ka Jazba Paida Ho Jata Hai. Larkiyan Koshish Karti Hain Ke Hum
Larkon Se Qabil Tareen Ban Kar Dikhayain Aur Larkay Ye Khayal Karne Lag Jatay
Hain Ke Agar Larkiyan Hum Se Agey Nikal Gayienn Tou Hamari Is Mein Bay Izzati
Hai. Lihaza Donon Larkay Larkiyan Khoob Mehnat Karte Hain. Is Tarah Se Un Ka
Mayar Taleem Buland Ho Jata Hai Aur Woh Mehnat Ke Adi Ho Jate Hain. Muqablay Ke
Imtiham Mein Asani Se Kamyabi Hasil Kar Saktay Hain. Jin Larkiyon Ne Makhloot
Taleem Payi Zayada Jurat Se Aadmiyon Ke Dosh Badosh Baghair Kisi Jhijhak Ke
Kamyabi Se Kaam Kar Sakti Hain. Jo Log Co Education Ke Haq Mein Hain Woh Ye
Kehne Mein Kisi Had Tak Apne Aap Ko Darust Samajhtay Hain Ke Sirf Mard Kaam
Karay Tou Saray Kumbay Ka Guzara Mushkil Ho Jata Hai Aur Agar Is Mein Aurat Bhi
Kaam Karay Tou Bohat Had Tak Bojh Halka Ho Jata Hai. Zindagi Asani Se Uzarti
Hai. Bachon Ko Like Banane Ke Liye Bohat Sari Kamai Ki Zaroorat Hoti Hai. Agar
Mard Aur Aurat Donon Hi Kamayain Tou Us Waqt Duswari Ka Samna Nahin Karta Parta
Aur Is Tarah Zindagi Zayada Khush Gawar Guzarti Hai.