Is Waqt Dunya Main Boohat Sare
Mazahib Aur Firke Wajoud Me Aachuke, Hen Aur Har Mazhab Ke Pas Iman Ke Liye
Mazboot Nukte Hen, Aur Har Insan Ye Hi Kehta He Ke Mera Mazhab Sacha He Aur Ye
Baat Dunya Main Badamni Ka Bais He, Puri Dunya Is Waqt Mzahib Ke Name Par Lar
Rahi He,Sazishen Chali Jati Hen, Jangen Lari Jati Hen, Par Is Baat Ko To Sab
Bhool Hi Chuke Hen Ke Hmare Mazahib Hamin Kia Sikhate Hain, Kia Hmare Mazahib
Humen Nafrat,Larai,Aur Fasad Ka Paigham Dete Hain? Nahi ,Balke Har Mazhab Apne
Manne Walon Ko Piyar Muhabbat Aur Aman Ka Dars Deta He Lekin Deeni Taleem Kam
Hone Ki Waja Se, Is Bat Ko Kam Hi Log Jante Hen,Aur Jo Log Mazahib Ke Name Par
Larte,Jhagarte Hen, Wo Shayad Ye Nahin Jante Ke Hum Is Tarhan Se Apne Mazaheb Ki
Taalimat Zahir Karte Hen.
Humen Chahiye Ke Hum Tmam Mazahib Ka,Un Ke Aqeedon Ka Aur Un Ki Ibadat Gahon Ka
Ehtaram Karen. Beshak Hmara Aqeeda O Iman Mazboot Hona Chahiye Lekin Hmare Dilon
Me Dosre Mazahib Ke Liye Izzat Bhi Honi Chahiye.
Shukria