Education Ye Lafz Ab Kuch
Paraya Sa Lagta Hai...Waldeen Apni Betioyo Ko Taleem Dilwate Hain..Ala Taleem
Magar Woye Bholl Jate Hai K Is Taleem Ya Is Degree Ka Faida Bacho Ko Ho Hoga Ya
Nahi Is Bat Ka Faisla Un Ki Beti Nhi Bulke Us K Sasural Karegine...Larkiya
Doctory Ya Enginearing Ki Degree Le To Leti Magar Wo Ye Bhol Jaati Ha K In
Degrioyn Ka Istimal Wo Tab Tak Karsakti Hai Jab Tak Wo Bechelers Hain.Shadi K
Bad Srf Larki Per Nahi Bulke Larki Ki Khuawhisho Per Us K Dreams Per Us Ki
Degree Per Sirf Us K Husband Ka Haaq Hojata Hai Wo Job Karegi Ya Nahi,,Wo Agye
Parhegi Ya Nahi Ye Sab Larki Nhi Bulke Un K Shauhar Decide Karte Hain...Muashree
Ki Kafi Larkiyna Doctor Ban Kar ,..Graduate Hokur Ghur Beth Jati Hain Kuk Job
Karna Ya Agye Parhna Un K Husband Ko Ya Sasural Walo Ko Pasand Nahi..Mjhy Ye Bat
Samajh Nhi Ati...Ager Ik Baap Bete Ko Parhaye Or Beti Ko Unparh Rakhe To Wo Baap
Bura Kehlata Hai...Lekin Ik Shauhar Ager Biwi Ko Nokri Ya Agye Parhne Se Roke To
Wo Ku Bura Nahi Hota...Larki Ko Job Karne Ka..Ya Agye Parhne Ka Faisla Us Larki
P Hi Chorhna Chahye Na Ke Us K Shauhar Per ,,Ye Us Larki Ka Huq Ha K Wo Ye
Faisla Karsake ,,,Khndan Ki Rawaytein..Compromise ...Apni Pehchan Khona..Parha
Likha Hokur Ghur Bethnaa..Ye Sab Aj K Daur M Bhi Girls Ko Hi Karna Parhta Hai
Kam S Kam Aj Ki Is Dunya M Ye Khuyal Rakhna Chahye K Girls Ko Itni Azadi Dein K
Wo Apne Khuwabon Ko Pora Kasakeinphir Wo Larki Ap Ki Behen Ho Biwi Ho Ya Beti..