Nazaryati Taleem:

(Mir Idrees Khan Chachar, Lahore )

Bazahir To Yeh Bat Bari Achchi Maloom Hoti Hai. Magar Pas E Perdah Subon Ke Inferadi Tashkhas Ko Kuchalney Ki Jo Koshishein Ki Gaien Iss Ke Nateja Hum Aaj Tak Bhugat Rahe Haein Aur Shayed Humari Anye Wali Kai Naslain Bhugtein Ge. Nazaryati Asas Ki Arrd Mein Pakistan Mein Banney Wali Mokhtalif Qomiyaton Aur Un Ki Zaban Maqami Tareekh Maqami Shakhsiyat Aur Unki Jamhoori Tawaqoat Sub Ko Mar Peet Ker Aik Yak Rangi Shakal Deney Ki Koshish Ki Gae Nateeja Yeh Nikla Ke Mashraqi Bangal Jisey ( Mashraqi Pakistan) Kaha Geya Ke Nojawan Foran Hi Apni Zaban Ke Tahaffuz Ke Leyeh Uth Kharey Huye. Go Ke Quaid E Azam Kehte Rahe Ke Pakistan Aik Mazhabi Reyasat Ke Bajaey Jamhuri Mumlikat Hoga. Lakin Un Ke Bad Ke Hukumran Aur Umra Ne Mazhab Ko Taleem Mein Istemal Kerna Shuro Ker Deya Takey Qaumiaton Ki Shanakht Khatam Ker Ke Aik Nam Nihad “Nazaryati” Shanakht Ki Tedr Weej Ki Jaey.

Bilkul Issi Tarah Jaisey Tahreek Pakistan Ke Dauran Baz Muslim Leaguen Kehne “Muslim Hai To, Muslim League Mein Aa” Yani Jo Muslim League Mein Nahien Uske Muslim Hone Mein Shubhat Paida Keay Gaye Chahey Woh Maulana Abul Kalam Azad Jaisy Jaid Alam Hi Keon Nah Hon. Assi Tarah Pakistan Aur Urdu Ko Aik Ja Ker Deya Geya Yani Ffangali, Punjabi, Saraiki, Sindhi, Pakhtun, Aur Blouch Wagaira Nahien Balkey Unhein Thonk Peet Ker Aik Yak Rangi Pakistani Qaum, Aik Qaumi Zaban Urdu Key Shanchey Mein Dhalney Ki Koshisheny Ki Janey Lagien Chukey Pakistan Mein Taleem Key Kerta Dharna Khabi Bhi Aisey Log Nahien Rahey Jo Qaumon Key Irteqae Amal Se Waqif Hon Key Uroup Mein Qaumi Riaston Key Qeyam Key Asbab O Alal Keya They Ya Yeh Key Wahan Qaumeyatein Aur Qaumi Zabanein Kaisey Perwan Charien Iss Leyeh Pakistan Mein Shuroo Hi Se Taleemi Nezam Ko Kisi Samaj Yati Shaoor Key Begaier Kheyali Falmulon Key Zareay Chalaney Ki Koshish Ki Gae.

Hamara Nizam E Taleem Jab Maqsad Yeh Bana Leya Jaey Key Iss Se Tor Maror Ker Aik Qaum Tashkeel Dey Di Jaey Gi To Iss Se Lamahala Mukhtalif Qaumiyaton Ki Haq Talfi Hoti Hai. Aik Wafaq Ya Kisi Bhi Intezami Akae Mein Log Iss Waqt Matahid Rah Sektey Haien Jab Unkey Inferadi Takhshes Ki Zamanat Di Jaey Cha Hei. Woh Aik Ghar Hi Keon Na Ho. Iss Ke Beraks Pakistan Mein Lasani Ranga Rangi Ko Masal Deya Geya. Jis Se Bahaisyat Aik Wafaqi Mumlikat Pakistan Ko Shaded Nuqsan Pahoncha. Issi Leye Hamara Mulk Aik Rodad ,Hissas Motahmil Burdbar Aur Wasi Ul Mushrib Mashra Na Ban Saka. Yad Rahe Ke Qayam E Pakistan Se Pehle Hamarey Elaqe Mashron Mein Khubyan Bari Had Tak Maujood Thien. Zahir Hai Ke Jehan Choti Qaumiyatein Kisi Ginti Mein Na Hon Wahan Adam Mosawat Barhey Gi Jis Mein Hamarey Taleemi Nezam Ne Bara Kirdar Ada Keya Hai.

Aik Taraf To Aisi Taleem Dainay Ki Koshish Ki Gae Jis Se Pakistan Aik Kasirul Qaumiyati Mulk Ke Bajaey Aik Qaumi Mulk Ban Jaye Magar Sath Hi Iss Bat Ki Koshish Ki Gae Ke Taleemi Adam Mosawat Bhi Apni Jagah Barqarar Rahe Yani Aisi Taleemi Policies Nahien Banae Gaye Jis Se Moshrey Mein Samaji O Mashi Tafawat Kam Hosakey Balkey Hukmranon Aur Umra Key Bachchon Key Leyeh Magrabi Tarz Key School Aur Mosllah Afwaj Key Marat Yafta School Na Sirf Baqi Rah Gaey Aur Unhein Rar Mumkin Imdad Faraham Ki Jati Rahi Jab Key Khud Awam Iss Se Mahroom Rakhey Gaey Aur Unhein Nazaryati Aur Qaumi Afeem Khela Ker Solaney Ki Koshish Ki Gae Inn Marat Yafta Schoolon Se Hukmrano Aur Umra Key Bachchay Angrezi Mein Jadeed Tareen Taleem Hasil Kerkey Hukmerani Key Leyeh Taiyar Hoker Nikeltey Rahey Yani Batein To Aik Qaum Aur Aik Zaban Ki Hoti Rahein Magar Der Haqeeqat Adam Mosawat Per Mabni Taleemi Nezam Perwan Charaya Jata Raha 1947 Mein Honey Wali Pehli Taleemi Conference Ka Aik Nukta Tha “Madrasonko Amm Taleemi Nezam Nezam Se Munsalik Keya Jae Ga “ Ajj 65 Sal Guzerney Key Bad Bhi Yahi Batein Tawater Se Dohrae Jati Rahti Haien.

Phir Bad Mein Aney Wali Taleemi Palesyon Ney Kam O Besh Wahi Batein Dohraien Jo Pehli Conference Mein Ki Gaien Thien Alfaz Mokhtalif They Magar Lab E Labab Aik.
 

Mir Idrees Khan Chachar
About the Author: Mir Idrees Khan Chachar Read More Articles by Mir Idrees Khan Chachar: 2 Articles with 4517 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.