Kitna Ajeeb Lagta Hai Jab Hum
21st Century Ki Baat Kartay Hain Aur Aik Aisi Duniya Ka Khayal Ata Hai Jis Main
Sab Kuch Accha Aur Khoobsurat Nazar Ata Hai.Magrib Ki Duniya Ko Daikh Kai Lagta
Hai Kai 21st Century Sirf Inn Kai Liye Hai..Jab Kai Hum Aur Hamaray Jaise Mulk
Sirf Basic Zarooriyat Kai Peechye Aise Tarass Rahye Hain Jaise Bhikari Ko Bheek
Aur Bimar Ko Sehtiyabi Chahiye Ho..
Ajab Almiya Hai Kai Jin Ko Allah Nahi Hakim Banaya Onhien Ko Hakeem Bana Diya
Woh Bhi Dulat Ka Jis Ka Ilaj Karnai Baith Gaye Aur Quam Ko Bimar Bana Dia Aur
Oss Ki Bimari Bhi Aise Hai Jiss Main Pani,Bijli,Karobar Nd Bachon Ki Taleem Ka
Raog Laga Dia...Bicharay Iss 21st Century Mai 12th Century Ka Roag Laga
Diya..Waise Iss Baat Ko Bhi Nazar Andaaz Nahi Kiya Jasakta Kai Hum Nai Inn Halat
Mai Bhi Kuch Kiya Na Kiya Par Fashion Mai 21st Century Ka Muqabla Khoob
Kiya..Magrib Jo Bhi Karay Oon Ka Maashra Hai Karsaktay Hain Par Hum Apnay Aap Ko
Bhool Kar Oon Kai Naqsh Par Chalnai Lag Gaye.Jis Ki Waja Sai Aaj Hum Tarakki Kai
Hasool Par Lag Gaye Nd Apni Saqafat Bhool Gaye.
Rishton Mai Ajeeb Sa Fark Agaya Hai..Thezeeb Sai Dori Ki Waja Sai Aaj Rishton
Mai Dori Ho Gaiye Hai.Freedom Zarori Hai Par Beja Zarori Nahi Jis Main Beti Ki
Aankh Main Sharam Aur Haya Baki Na Rahye,Beta Maa Ko Friend Kehna Shoroo Kar
Dai..Allah Nai Bhi Sab Planets Ko Aik Orbit( Madar) Mai Rakha Aur Hum Tu Sirf
Aik Chotay Sai Insaan Hain.Humen Apni Direction Clock Ki Side Rakhni Chahye Na
Kai Anti Clock..
Mera Yaqeen Hai Kai Agar Imaan Ho Aur Khoshis Ho Tu Koi Bhi Bimari Ho Oss Ka
Ilaj Hai Nd Jald Hum 21st Century Kai Khatam Hotay Hi 21st Century Mai Ajyen Gai...