Safai...Nisf Emaan
(Imtiaz Rajar, Hyderabad)
Us Ne Mera Mazhab (Islam)Ke
Bare Mei Kuch Kaha Mei Jazbaty Hogya Aur Meine Uss Se Milna Chor Diya ,Wo Eik
Non Muslim Tha Aur Mujhe Iss Trah Hi Karna Chaie Tha....Lekin Jab Mei Wapis Apne
Ghar Ki Tarf Lot Raha Tha To Meine Dekha Key Eik Gali Hai Jis K Har Tarf
Kachra(Dirty) Hai, Kuch Der Tak Mei Yeh Manzar Dekhta Raha Lekin Phir Ghar Lot
Aaya.....Yeh Pehli Dafa Nhei K Maine Kahi Kachra Dekha, Mujhe Har Jaga Poore
Pakistan Mei Yehi Condition Nazar Aee Lekin Meine Kabhi Iss Tarah Ghor Na Kiya
Tha .......Mei Ghar Puhncha To Yeh Manzar Bhi Mere Sath Tha ......Mei Aik Jaga
Bheth Kar Sochne Laga Key Jis Mazhab Mei Safai Ko Nisf(Aadha) Emaan Karar Diya
Gaya Ho Uss Mazhhab Ko Maanne Wale Mulk Mei Yeh Kiya Haal Hai......Mera Dimaagh
Ulajh Gaya, Meine Socha Key Jab Eik Non Muslim Ne Mujhe Mazhab K Bare Mei Kuch
Kaha To Meine Uss Se Taluq Torr Diya Lekin Mei Kya Kar Raha Hun, Mere Mazhab Ne
Jis Amal Ko Nisf Emaan Karar Diya Mei Us Ko Follow Nahi Kar Raha.......Mei Kaisa
Manane Wala Hu ......Mera Emaan Kitna Hai Yeh To Iss Baat Se Pata Chal Gaya
.................Hamare Yaha Galiyoon Se Leker Hospital Tak Koi Cheez Saaf Nahei...............Zara
Sochyei.........................