1)Dost Wo Ha Jo Tumhay Gunaho
Say Dor Rakhay Or Naikiyan Karny Ma Tumhari Madad Kary.
2)Dost Wo Ha Jo Tumhari Khami Tumhay Batay.
3)Dost Wo Ha Jo Tumhari Khushe Or Gham Ma Barabar Sharik Ho.
4)Dost Wo Ha Jo Tumhari Parda Poshi Karay.
5)Dost Wo Ha Jo ALLAH Ki Yad Dilaey.
6)Dost Wo Ha Jo Deen Ki Bat Sikhaey.
7)Dost Wo Ha Jo Namaz Ko Sath Le Kar Jaey.
8)Dost Wo Ha Jo Mot Ko Yad Dilaey.
9)Dost Wo Ha Jis Ko Dekh Kar Tumhay ALLAH Yad Ajaey.
10)Dost Wo Ha Jo Qabar Or Akhrat Ki Tayari Ma Tumhari Madad Kary.
11)Dost Wo Ha Jo Tumhari Amanat Ma Khayanat Na Kary.
12)Dost Wo Ha Jo Tumharay Pechy Tumhary Liye Dua Kary.
13)Dost Wo Ha Jo Tumhary Raaz Ki Hifazat Kary.
14)Dost Wo Ha Jo Baghar Matlab K Tum Say Taluq Rakhy.
Aj Hamary Mashray Ma Dosti Baray Zoro-Shor Say Ho Rahi Ha................Har
Koei Kisi Na Kisi Bahanay Say Kisi Ka Dost Hota Ha. Aj Say Kuch Sal Phelay Tu
Sirf Larka....... Larkay Ka Dost Hota Tha.Or Larkiyan Apas Ma Saheliyan Hoti Thi.
Jin Dosto Ko Maa Baap Bhi Jantay Thy. Apnay Bacho Ki Khabar-Giri Karty Thy. Aj
Sharm Is Had Tak Kahatam Ho Chuki Ha K..............Ek Larka Or Ek Larki Apny Ap
Ko Dost Khetay Hain.
Koi Kisi Ki Girl Friend Ha Tu Koi Kisi Ka Boy Friend. Pheli Bat Tu Ye K Jab
Hamary Deen-E-Islam Ma in Mard Or Orat Ki Dosti Haram Ha. Tu Is Tarhan Ki Dosti
Ka Sawal Hi Peda Nahi Hota. Tu Kon Hota Ha Is Tarhan Ki Dosti Par Dalaeil
Deny Wala. Or Ager Koi Is Dosti Par Dalaeil Day Bhi Tu Wo Sirf Or Sirf Wo
Shetan Ho Sakta Ha. Koei Momin Nahi. Lekin Is Dunya Main Esay Bhi Mukhlis Log Ha
Jo Waqai Sagay Behan, Bhai Jesa Rishta Nibhana Samaghty Hay. Or Chalay Man Bhi
Le K Is Tarha Dosti Karna Sahi Ha Tu Mujhy Koei Bata De..................K Is Ka
"End" Kiya
Ho Ga.
Yaqinan Ap Samajh Gaey Ho Gay...............Q K Aqalmand K Liye Eshara Hi Kafi
Hota Ha. Yad Rakhey Dosti K Liye Koi Ek Rishta Khas Nahi Hai. Dosti Ek Jazbay Ka
Name Ha, Dost Hamari Maa Bhi Ho Sakti Ha, Baap Bhi, Bhai Bhi, Bhabhi Bhi, Shohar
Bhi, Biwi Bhi, Khala Bhi, Phopho Bhi, Mamu Bhi Cacha Bhi........! Jo Batain
Maine Uper Likhi Ha Kiya Aj K Hamary Dost Main In Main Say Ek Bhi Khubi Nazar
Ati Ha Is Ka Jawab Apny Ap Say Puchye...............? Nahi Hargiz Nahi Dekha Ho
Ga......Aj Kal K Ye Dost Sirf Or Sirf Gunha Ki Dawat De Rahay Ha. (Ma Chand
Achay Logo Ki Bat Nahi Kar Rahi) Hum Aksar Shikayat Karty Hain K.......Hamay Aj
Tak Koei Mukhlis Dost Nahi Mila........ !Tu Hum Khud Q Na Mukhlis Ban Jain. Koi
Hamara Mukhlis Dost Nahi Banta Tu Q Na Hum Ek Mukhlis Dost Ban Jain. Har Cheez
Ko Apny Ap Say Shoro Karin. Tu Yaqin Janiye Is Ka Result Bohat Acha Ay Ga.
Kisi Par Tanqid Karny Say Kuch Nahi Ho Ga. Hamy Apny Ap Ko Behter Banana Ho Ga.
Ager Dil Ki Ankho Say Dekha Jaey Tu Haqiqat Tu Ye Hi Hai K..........Dost Sirf Wo
Hi Hai Jo Hamay Akhrat K Imtehan Ma Kamyab Karwany Ma Hamari Madad Kary.Q K
Haqiqi Kamyabi Wohi Hai..............Is K Elawa Sub Kuch Dhoka Hai. Lekin Afsos
Ha Aj Ager Koei Hamay Gunha Karny Say.Ya Esay Kamo Say Rokay,Jo Fuzuliyat Ka
Siwa Kuch Nahi Hai. Tu Ham Esay Logo Ko Bura Bhala Kehty Hain.Un Say Hamay
Boriyat Hoti Hai,Un Ki Suhbat Ma Bethna Hum Pasand Nahi Karty........ Lekin
Haqiqi Maino Ma Wo Hi Ap K Suchay Or Muklis Dost Hai. Zara Ghor Karin Ager Ap
Kabhi Aag Ma Jal Rahay Ho Tu Bohat Say Log Ap Ko Bachany K Liye Ay Gay. Or Bacha
Bhile Gay. Tu Ap Un Logo Ka Ehsan-Mand Ho Gay. Un Say Ap Ko Khushi Ho Gi.........Lekin
Ye Tu Dunya Ki Aag Thi Jo Thori C Hi Taklif De Gi......Lekin Is K Bar-Acks
Jo Jahannum Ki Aag Hai, Wo Dunya Ki Aag Say 70 Gunna Ziyada Hai.....
Zara Sochye K Wo K Say Bardasht Ho Gi. Wo Tu Bardasht Ho Hi Nahi Sakti, Is Ka
Hum Dawa Kar Hi Nahi Sakty. Tu Jo Dost Ap Ko Gunaho Karny Say Rokty Hain, Fuzul
Kamo Say Rokty Hai, Wo Dost Hi Ap Ko Jahannum Ki Aag Say Bachany Ki Kosish Karty
Hain......Haqiqi Ehsan-Mand Tu Ap Ko In Dosto Ka Hona Chahiye. Jo Naikiyan Karny
Ma Ap Ki Madad Karty Hai.
Ap Ka Kiya Khayal Hai......... ?Is Baray Main Zaror Sochye Ga........ ? ALLAH
Pak Hum Sub Ko Haqiqi Maino Ma Dost Bannany Ki Tufiq De Or Dost-Numa Dushman Say
Meri Or Tamam Musalman Mard Orat Ki Hifazat Farmaey.
(Ameen)