Deen Per Chalne Ka Tareeqa

(Abdul Qadeer, Karachi)

Assalam-U-Alaikum.
Yeh Dur Fitnon Ka Hai. Aur Ahdees Se Bhi Yeh Sabit Hai KeAakhiri Dur Main Buhat Sare Fitne Zahir Honge. Aaj K Dur Ka Buhat Bara Fitnah Yeh Hai Ke Her Shakhs Jis Ko Deen Ka Theek Se Pata Bhi Naheen, Dars Dena Shroo Hojata Hai. Is Main Aksar(Sab Naheen) Woh Islamic Scholar Bhi Hain Jin K Khilaf Ulma K Fatwe Bhi Aa Chuke Hain. Deen Naam Hai Ittiba (Follow) Ka. Huzoor Sallallah-U-Aleh-E-Waslim Ki Ittiba, Sahaba Karam Razi ALLAH Ajmaeen Ki Ittiba Ka. Lekin Aaj Kal Kitne Log Hain Jo Yeh Jan-Ne Ki Koshish Kerte Hain K Huzoor Aur Sahaba Kamram Ne Zindagi Kaise Guzari. Ab Koi Nabi Nahin Aaye Ga Lekin Ulma Aur ALLAH Wale Log Mojood Hain. Quran Main ALLAH Ne Farmaya Hai K "Mere Sadiqeen K Sath Raho".Sadiqeen Woh ALLAH Wale Log Hain, Jo Mukammal Tor Per Sunnat Per Amal Kerte Hain.Yeh Baat Aazmayee Hui Hai K Ap Kisi Saheeh ALLAH Wale Se Talluq Qaim Ker Len, Phir Ap Apne Ap Main Khud Tabdilian Mehsoos Keren Ge. Aur ALLAH Se Dua Keren K ALLAH Hum Ko Apne Raste Per Chalne Ki Tofeeq Ata Farmaye. Ameen

Abdul Qadeer
About the Author: Abdul Qadeer Read More Articles by Abdul Qadeer: 6 Articles with 14940 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.