Assalam-O-Alikum Mery Bhai Ye
Jo May App Ko Baten Bata Raha Hon Is Ko App Fathwa Nahi Keh Sakty Kiun K Ye Jo
Baten May App Ko Bata Raha Hon Ye May Apnay Pass Say Nahi Keh Raha Bal K (Quran)
Ke Ayat App Ko Bata Raha Hon Agar App Ab Bhi Na Manen Gay To Mujhy Majbooran Ye
Kehna Parhy Ga K App Quran Ko He Nahi Manty Or App Ko Maloom Hona Chaeay K Jo
Shaks Quran Ko Jhotla Day Phir Hm Usay Kia Kahen Gay Khud Parh Lain (Surh Zamar
Ayat No:30) My ALLAH Pak Farmety Hain K Yakeenan Khud App Ko Bhi Moot Ay Gi Or
Ye Sub Bhi Marny Waly Hain (Tafseel) Yane Ay Pegambar App Bhi Or App K Mukhalif
Bhi Sab Moot Say Hm Kenaar Ho Kar Is Dunia Say Hamry Pass Akhrat My Ain Gay
Dunia My To Toheed Or Shirk Ka Faislah Tumhary Darmeyaan Nahi Ho Saka Or Tum Is
Bary May Jhagarty He Rahy Lakin Yahan May Is Ka Faislah Karun Ga Or Mukhlis
Muhadeen Ko Jannat My Or Mushrekeen-O-Jahedeen Or Mukazebeen Ko Jahanum May
Dakhel Karun Ga Is Ayat Say Bhi Wafat Nabi S.A.W Ka Sobath Hota Hay Jis Tarhan K
Surh-E-Al-Imran Ki Ayat (144)Say Bhi Hota Hay Or Inhe Ayaat Say Istedlal Karty
Hoay Hazrat Abu Bakar Sideeq R.A Ny Logon My App S.A.W Ke Mot Ka Tahaquq Farmaya
Tha Is Lain Nabi S.A.W Ke Babath Ye Aqeeda Rakhna K App Ko Barkh My Bilkul Ishe
Tarhan Zindage Hasel Hay Jis Tarhan Dunia May Hasel The Quran Ke Nasoos K
Khelaaf Hay App S.A.W Par Bhi Degar Insano He Ke Tarhan Moot Taree Hoe Is Lain
App Ko Dafan Kia Gaya Qabar My App Ko Barkhe Zindage To Yakeenan Hasel Hay Jis
Ke Kefeyat Ka Hamain Ilm Nahi Lakin Dubarah Qabar My App Ko Deenvi Zindage Ata
Nahi Ke Gaee..