Ag Main Khuch Mukhtaleef Logo
Ky Baray Main Bat Karo Gi Un Logo Kay Baray Main Jin Ka Tazkara Hamary Gharo
Main Bohat Kam Hota Hai.Ghar Aik Jannat Hoti Hai. Ghar Wo Jannat Hai Jahan Maa
Jaisi Azeem Hasti, Baap Jaisa Shafeeq Insan, Piyar Muhabat Karny Wale Behan Bhai
Rehtaay Ho Aisi Jannat Main Kon Rehna Pasand Nhi Kareyga; Magr Is Dunya Main
Aisay Log Bhi Magood Hotay Hai Jin Ko Bohaat Si Wajoohat Ki Binnah Per Ghar
Jaisi Jannat Ko Chorna Parta Hai. Jannat Jesay Ghar Ko Chorna Parey To Kitni
Takleef Hoti Hai Is Ka Andaza Wohi Krsakty Hai Jin Ky Uper Yay Guzarti Hai.Eid
Jessay Mooqo Per Mujhe Shidat Sy Un Logo Ka Ihsas Howa Jo Log Apny Ghar Sy Dor
Unky Bagair Eid Manaty Hai, Kiunky Main Khud Apny Bhai Sy Door Rehti Ho Mujhe
Bakhobi Andaza Hai Ky Aisy Ghar Walo Sy Dor Rehna Kitna Mushkil Hai, Najany
Kitni Maee Apny Bacho Ko Eid Per Glay Lagany Sy Mehroom Rehjati Hoti, Najany
Kitny Baap Apny Beto Ky Sth Eid Per Sath Namaz Ada Kany Keliyay Taras Jaty
Hogay. Boht Sy Log Yay Samjhty Hai Ky Bahir Rehny Waly Bohaat Pursukooon Zindigi
Guzarty Haki Yay Baat Is Had Tak Sahi Bhi Hai Ky Logo Ko Bahir Aksar Wo
Suhooliat Milti Hai Jo Anko Apny Mulk Main Nhi Milpati Per Apny Mulk Ghar Sy
Door Rehna Is Sab Sy Zaida Taakleef Day Haota Hai Aur Zazori Nhi Har Koi Bilkul
Achi Zindi Bhahir Guzary Aisy Bhi Log Hoty Haoi Jo Poray Din Mehnt Mazdori Ktary
Hai Aur Phir Raato Ko Akele Unko Apna Ghr Kitna Yad Attay Hogay Apny Maa Ki
Hatoo Ki Garam Rotia, Baap Ki Shafkat, Mulk Ki Meeti Ky Liya Wo Kitna Tarsty
Hogay ,Wo Hum Nhi Soch Sakty Or Nahi Is Ka Andaza Karsakty Hai. Aisy Kitny Log
Hai Joo Kai Saalo Sy Apny Mulk Nhi Ghai.Per Sawal Yay Hai Ky Wo Kon Si Wajohat
Hai Jis Ki Binah Per Koi Bhi Insan Apny Mulk Ko Ghr Ko Chor Kiun Kisi Mulk Main
Mehnt Kry On Sab Wajaohat Main Sab Sy Bari Waja Mujhe Lagti Hai Wo Hai
'Berozgari'. Agar Hamary Mulk May Berozgari Na Ho To Kitny Hi Logo Ko Apny
Mastakbeel Sawarny Ky Lia Apni Zindigi Ki Gari Ko Chalany Kay Liyay Apna Watan
Chorna Nhi Prega Hamaray Mulk Ka Mustakbel Yani Haamray Nojawan Agar Inhi Halat
Sy Tang Akar Bahir Jany Ka Silsila Jare Krty Rahy, To Khud Bataye Mulk Ka
Mustakbeel Kia Hoga Zara Sochiyae. 'Apni Duao Main Please Unlogo Ko Bhi Yad
Rakhy Jo Apny Ghar Bar Sy Dor Hai Aur Hosaky To Unko Bhi Apni Khushiun Main
Shamil Kigeyey'