Bud-Nazri K Nuqsanaat

(Abdul Qadeer, Karachi)

Hazrat Molana Shah Hakeem Muhammad Akhtar Sahib Damat Bar-Katuhum Farmate Hain K Bud Nazri K Yeh Nuqsanat Hain.

1. ALLAH Ka Namfarman
ALLAH Tala Ka Farman Hai "Ae Nabi SallALLAH-O-Aleh-E-Wasallim Aap Ieeman Walon Se Keh Den K Apni Nigahon Ki Hifazat Keren.Yani Na-Mihram Aurton(Girls/Women) Aur Larkon(Boys/Men) Ko Na Dekhen"

2. Amanat Main Khyanut Kerne Wala
Bud Nazri Kerne Wala ALLAH Tala Ki Amanat Main Khyanut Kerta Hai. ALLAH Tala Farmate Hain K "ALLAH Aankhon Ki Khyanut Aur Dil K Razon Se Ba-Khabar Hai"

3. Mal-Oon K Khitab Ka Mus-Tahiq Ban Jata Hai
Huzor SallALLAH-O-Aleh-E-Wasallim Farmate Hain K "ALLAH Nazir Aur Manzoor Donon Per La-Nut Kere". Yani Jo Bud-Nazri Kare Us Per Bhi La-Nut Aur Jo Bud-Nazri K Leye Khud Ko Pesh Kere, Apna Husun(Beauty) Dosron Ko Dikhaye, Us Per Bhi ALLAH Ki La-Nut Ho.

4. Ahmaq (Foolish) Aur Bud-Aqal Mana Jata Hai
Hazrat Molana Ashraf Ali Thanvi Rehmatullh Aleh Farmate Hain K "Har Gunah Bud-Aqli Aur Himaqat Ki Daleeel Hai". Jo Gunah Karta Hai, Yeh Daleel Hai K Us Ki Aqal Main Kharabi Hai K Itne Bare (Great) Malik Ko Naraz Ker Raha Hai. Jis K Qabze Main Hamari Zindagi Aur Mot(Death), Tan-Durasti, Aur Beemari, Rahat Aur Chen(Sukoon) Sub Kuch Hai.

5. ALLAH K Ghazab Aur La-Nat Ka Mustahiq Bun Jata Hai.

6. Dil Kamzor (Weak) Hojata Hai
Bud-Nazri Se Bar Bar Us Haseen Ka Khyal Dil Main Ata Hai Aur Dil Main Her Waqt Aik Kash-Makash Rehti Hai, Jis Se Dil Kamzor Hojata Hai. Bud-Nazri Ki Nahoosut Yeh Hai K Nazar K Sath Sath Hawas-E-Khamsa (5 Senses) Haram Lazzat Lene Ki Koshish Kerte Hain.

7.Tibbi Nuqsan Hota Hai
Sihat Kharab Hoti Hai

8.Na-Shukri Main Mub-Tla Hojata Hai
Bud-Nazri Se Na-Shukri Peda Hoti Hai, Kyon K Jub Mukhtalif(Different) Shuklon(Faces) Ko Dekhta Hai Tu Apni Wife Buri Lagti Hai.Aur Jo Bud-Nazri Naheen Kerta Us Ko Apni Wife Achhi Lagti Hai.

9.Beenayi (Eye-Side) Ko Nuqsan Puhunch-Ta Hai
ALLAH Tala Farmate Hain K "Agar Tum Shukr Kero Ge Tu Tum Ko Aur Zyada Doon Ga".Aur Bud-Nazri Kerna Na-Shukri Hai. Aur ALLAH Farmate Hain K "Agar Tum Na-Shukri Kero Ge Tu Mera Azab Buhat Sukht Hai."

10.Dil Ka Satya-Naas Hojata Hai
Hifazat-E-Nazar Ka Inaam Yeh Hai K ALLAH Ka Qurb Hasil Hota Hai. Nazar Bachane Se Dil Ka Khoon Hota Hai. Jub Dil Khoon-E-Arzoo (Haseenon Ko Na-Dekhne Ka Ghum) Se Lal (Red) Hojata Hai Tu Dil Ke Her Ufaq Se ALLAH K Qurb Aur Nisbat Ka Aftab(Sun) Tuloo(Rise) Hota Hai.

11.Dil Ka Marz An-Jaina Hojata Hai.
Bud-Nazri Se Dil Main An-Jaina Hojata Hai. Kyon K Bud-Nazri Se Dil Kash-Makash Main Per Jata Hai. Is Kash-Makash Se An-Jaina Hojata Hai. Kyon K Kash-Mkash Se Dil Ka Size Barh(Increase) Jata Hai.

ALLAH Hum Sub Ko Is Gunah Se Bachne Ki Taufeeq Ata Farmaye. (Ameen)

Abdul Qadeer
About the Author: Abdul Qadeer Read More Articles by Abdul Qadeer: 6 Articles with 14802 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.