(Chiraghdeen, Karachi)
Ek Roz Hazrat Imam Abu Hanifa (Rehmat Ullah Alaih) Apne Shagirdon Ko Dars De Rahey They Tau Iss Doran Achanak Kharrey Hogaey Phir Beth Gaey, Isi Tarah Kuchh Dair Baad Phir Isi Tarah Kia Keh Kharrey Hoey Aur Phir Thori Dair Baad Beth Gaey. Jab Dars Khatam Ho Gaya Tau Shagirdon Ne Puchha A Hazrat Sahab Aaj Sey Qabl Aap Ney Aisa Nahi Kia, Iss Tarah Uthney Aur Phir Baithey Iski Kia Wajah He? Iss Per Hazrat Imam Sahab Ne Farmaya Keh Mere Ek Ustaad Yahan Sey Guzrey They Jinkey Ehteraam Mein, Mein Kharra Ho Gaya Tha. Shagirdon Ne Jawab Dia Keh Ek Jamadar K Alawa Tau Koi Doosra Shakhs Yahan Se Guzra Nahi? Hazrat Imam Sahib Ne Farmaya Wohi Tau Mere Ustaad They. Shagirdon Ko Barri Herani Hoi Keh Ek Jamadar Aur Woh Hazrat Ji Ka Ustaad, Yeh Kaisey Hosakta Hey. Hazrat Imam Sahib Samajh Gaey Keh Shagird Mere Iss Jawab Per Pareshan Ho Rahey Hein Tau Farma Keh "Ek Roz Ek Ghair Muslim Mere Paas Mera Imtehan Leney Ki Gharz Sey Aya Aur Puchha Keh Maulana Yeh Bata'ain Keh Kutta Kab Baligh Hota Hey – Mein Ne Jawab Dia Kal Jawab Doonga – Doosrey Roz Fajr Ki Namaz K Baad Mein Sheher Se Bahar Jahan Jamadaron Ki Abadi Hey Wahan Chala Gaya – Jamadaron K Mukhia Ne Mujhey Ata Hua Dekha Tau Foran Mere Qareeb Agaya Aur Kaha Hazrat Ji Aap Yahan Hamari Aabadi Mein. Mein Ne Kaha Ek Kaam Tha Who Kehne Laga Mujhey Bulwa Lia Hota Mein Ne Kaha Kaam Mera Tha Isliye Mein Khud Hi Agaya. Phir Mein Ne Unse Puchha Keh Yeh Bataain Keh Kutta Kab Baligh Hota Hey, Choonkeh Unhon Ney Kuttey Pale Huwe Hotey Hein Issliye Mein Unke Paas Gaya Tha – Mukhia Ne Jawab Dia Keh Jab "Kutta Taang Utha Ker Peshab Karey" Chunacha Jab Who Shakhs Mere Paas Jawab K Liye Aya Aur Mein Ne Usey Jawab Dia Tau Who Lajawab Hogaya Aur Apna Munh Leker Chala Gaya" Yeh Waqea Batata Hey Keh Jab Koi Shakhs Aapko Chahey Zindagi Mein Ek Hi Dars Kiyoon Na Dey Tau Who Aapka Ustaad Hey Aur Ustaad Ki Izzat Shagird Per Lazim Hey. Yeh Waqea Hamain Yeh Sabaq Deta Hey Keh Ham Bhi Apney Tamam Ustadon Ka Isi Tarah Ehteraam Karain Takeh ALLAH Pak Ham Se Razi Hoon Aur Hamarey Ilm-E-Nafey Mein Izafa Farma Ain. Aameen.