Aakhirat Ke Paheli Manzil Kabr
Hain Jissey Aakhiratke Imtihan Ka Pahela Percha Kehna Bey Jaa Naa Hoga Allah
Talaha Ke Taraf Seyteen Saawalat Kiye Jayeange Jin Mey Hergiz Yeh Naa Puccha
Jayega Ke Tera Mazhab Kiss Imam Ka Hain?
Aur Tera Imam Kaun Hain Balki Teen Saawalat Wohi Hounge Jo Allaha Ke Rasool
(Pbuh) Ney Batlaya Hain Aur Woh Yeh Hain\
Questions Answers
1. Tera Rub Kaun Hain? ------------ Mera Rub ALLAH Hain
2. Tera Din Kya Hain? ------------- Mera Din Islam Hain
3. Tere Nabi Kaun Hain? ------------ Mere Nabi Mohammed (Pbuh) Hain
(Note: Yeh Hadees Abu Dawood Mey Hain)Es Tarha Khabar Ke Saawalat Sey Kamayabi
Hogi Aur Azzabe Khaber Se Nijat Milege Insha Allaha Yeh Saahi Jawabat Usko
Naseeb Hounge Jisney Duniya Mey Sirf Islam Per Aamal Kiya Tha, Aur Agar Eske
Khilaf Kya Ho Tou Zahir Hai Ke Jawab Bhi Ghalat Hounge.Hadees:- Mohammed (Pbuh)
Ney Farmaya Roz-E-Mehshar Mey Apne Houz-E-Kousarper Sub Sey Pahele Pahuchunga Jo
Mere Pass Sey Guzre Gaa Woh Es Houz Ka Panipeeyega,
Aur Jis Ey Pee Liya Woh Kabhi Pyasa Naa Hoga. Kuch Log Mere Pass Aayeangejin Kou
Mey Pahechanta Hounga Aur Woh Bhi Mujhe Pahechatey Hounge En Kou Mere Pass Aane
Say Rok Diya Jayeaga, Mey Kahunga Yeh Log Mere Hain Tou Mujh Se Kaha Jayega "
Aap Nahi Jaante Key Aap Ke Baad En Logo Ney Kya Kya Nai Nai Baatein Den Mey
Neekali Thi Tou Mey Kahunga Douri Hou Douri Hou ! Yaani Asie Logo Kou Mey Apne
Pass Se Dhutkar Dunga (Yeh Hadees Bukhari Aur Muslim Mey Hain)
Aur Ek Hadees Suniye:- Hashar Ke Roz Tamam Log Milkar Hazrat Adam (Pbuh)Key Pass
Hazir Hounge Aur Kaheange Ke Aap Allah Talah Ke Pass Hamari Sifarish Kijiye, Woh
Kaheange Ke Mey Allah Talah Ke Samne Jaane Se Darta Hou Tumhari Sifarish Kerne
Kou Taiyaar Nahi Hou Tum Sub Falah Falah Ke Pass Jaotou Phir Tamam Log Hazrat
Nuh, Hazrat Ibrahim, Hazrat Musa , Hazrat Essa (Pbuh)Kay Pass Jayeage Aur Sub Ke
Sub Yahi Kaheange Ke Allaha Talah Ke Samne Jaanesey Darte Hain Aur Hum Es Layaq
Nahi Ke Tumhari Sifarish Kare, Tum Sub Aakhri Nabi Mohammed (Pbuh) Ke Pass Jao
Aur Aakhir Mey Mohammed (Pbuh) Key Pass Hazir Hounge Tou Aap Sifarish Kerne Par
Aamada Hou Kar Darbar-E-Khudawandi Ke Muqame-E-Mahmood Mey Sajda Zare Hou Kar
Duwa Kareange,
Aur Allaha Talaha Ke Ijazat Say Shifat Kar Ke Jannat Mey Pahuchayeange
(Hadees: Buqari)Note: En Sub Hadeeso Kou Yaha Per Zikr Kerne Ka Maqsad Ke Aabe
Kauser Aur Shifat-E-Rasool Un Logo Kou Hi Naseeb Hogi Jinhone Sirf Mohammed
(Pbuh) Ke Farmabardari Mey Apni Aakhri Saans Chodi.
Ghour Kariye Ke Jab Koi Nabi Sifarish Nahi Kar Sakega Tou Kisi Ummati Ke Kya
Hasiyat.Taqleed Ke Mazeed Tafseel:- Nouvi Saadi Ke Ebteda Mey Sultan Farq Bin
Barwaq Ney Makkah Mouzama Baitulla Shareef Key Ahtiya Mey Musale Ibrahim Ke
Aalawa Char Musale Hanfi, Shafai, Maliki, Hambali Mazhab Ke Naam Sey Qayam Ker
Diye Theay Halake Ebteda-E-Islam Sey Nouvi Saadi Tak Sirf Ek Hi Musala Ibrahim
Thaes Tarha Yeh Naye Char Musaley Ba-Zor-E-Sultan Islam Mey Dakhil Kiye Gaye.
Yeh Musaley (9)Nouvi Saadi Say (13) Terhavi Saadi Tak Barkarar Rahe Muqalidin
Apne Apne Masle Per Mansub Shuda Aaqedey Ke Imam Ke Saath Namaz Aada Kerte Rahe
, Ek Musali Ke Baad Doasre Musal Per Namaz Aada Kerne Ka Intezam Tha.
(14) Choudavi Saadi 1343 Hijri Mey Shah Abdul Aziz Bani Saudi Hukumat Ney Yeh
Naye Islam Mey Dakhil Shuda Charo Musale Kou Barkhast Ker Ke Sirf Ek Hi Musala
Ibrahim Kou Apne Mukam Per Khayam Rakha Jo Insha Allaha Qayamat Tak Rahega.
{Quran Aur Hadees Ke Tareef }Quran:- Kitabe Ilahi Kou Kehte Hain Jo Lohe Mehfoz
Se Allah Ke Hukum Se Allaha Ke Farishte Hazrat Jibrael Aleh Salam Ke Zariye Wahi
Say Hamare Pyare Nabi Mohammed (Pbuh) Per Thoda Thoda Kar Ke 23 Saal Mey Utara
Gaya.
Hadees:- Ke Lagawi Maane "Baath" Kay Hain, Allaha Talah Ney Apne Kalame Pak Kou
Hadees Kaha Hain (Pls See On Quran: Surey Zamar Aayat 23)Tarjuma:- Allaha Talah
Ney Bahatareen Kalam Nazil Kiya Hian.Es Aayat Mey Quran Kou Hadees Kaha Gaya
Hain.
(Quran, Surey: Jaashiya Aayat 6)Tarjuma:- Allah Talah Aur Es Ke Aayato Ke Baad
Yeh Kiss Baath Per Iman Layeang Ees Aayat Mey Bhi Quran Ke Aayat Kou Hadees Kaha
Hain.
(Quran Surey Ahraf Aayat 85)Tarjuma:- Phir Aap Es Ke Baath Kiss Baath Per Iman
Layeange?Es Aayat Mey Bhi Quran Ke Aayat Kou Hadees Kaha Hain.
Note: Islam Mey Mohammed (Pbuh) Ke Baath Khoul, Faal, Aur Taqreer Kou Hadees
Kehte Hain
1. Qool: Es Kou Kehte Hain Jo Aap Mohammed (Pbuh) Ney Hukum Diya2.
Faal : ES Kou Kehte Hain Jo Aap Mohammed (Pbuh) Ney Aamal Kiya
3. Taqreer: ES Kou Kehte Hain Jo Aap Mohammed (Pbuh) Ke Moujudgee Mey Aamal Huwa
Aur Aap Ne Sakwat Eqtiyar Kiya ,
Lehaza Quran Waa Hadees Islam Ke Buniyad Hain Aur Es Ke Tasdeeq Allah Talah Ka
Kalam Quran Pak Kerta Hain.
{Paheli Saadi}Era Of Prophet Mohammed (Pubh):- Aap Mohammed (Pubh) Macca Mey 13
Saal Guzare Phir Eske Baad Allaha Ke Hukum Se Hijrat Kar Ke Madina Pahuche Es
Waqt Se San Hijri Ke Ebteda Hui Hain. Mohammed (Pubh) Ney Madina Mey 10 Saal
Guzarees Tarha Dour-E-Nabuwat 23 Saal Guzra Es Erse Mey Shama-E-Islam Ka Noor
Sari Duniya Mey Phel Gaya. Aur Yeh Sub Ke Sub Musalman Sirf Quran Aur Hadees Per
Hi Aamal Kerte Theay Kisi Imam Ke Taqleed Nahi
Dour-E-Khulfa-E-Rasheedin (Mishkat Jild 4 Page 59)(1) Hazrat Abubakar Siddiq
(R.A) Ka Dour 11 Hijri To 13 Hijri(Total: 2 Saal 3 Month 9 Days)
(2) Hazrat Umar Farooq (R.A) 13 Hijri To 23 Hijri (Total 10 Years 5 Months 4
Days)
(3) Hazrat Osman Ghani (R.A) 23 Hijri To 35 Hijri (Total 12 Years)
(4) Hazrat Ali (R.A) 35 Hijri To 40 Hijri (Total 4 Years 9 Months)Mukamal
Khulfa-E-Rasheedin Ka Dour 29 Years 5 Months 13 Days.
Note: Es Dour Ke Tammam Musalman Sirf Quran Aur Hadees Per Hi Aamal Kerte Theay
Kisi Bhi Imam Ke Taqleed Nahi Kerte Theay.Dour-E-Sahaba Razi Allaha Hu Talaha
Anhu 40 Hijri To 100 Hijri (Nearly 60 Years)
Very Important: Paheli Saadi Ke Aakhri Sahaba Ikram (R.A) Ke Tafseel .
(1) Madina Munnawara Ke Sahaba Mey Hazrat Sohail Bin Saad (R.A) Baa Iqtelaf
Riwayat 88(H) Yaa 91(H) Yaa 96(H) Yaa 96 Years Yaa 100 Years Ke Age Mey Wafat
Paai.
(2)Basra Ke Sahaba Mey Hazrat Aanas Bin Malik (R.A) Ney Ba Iqtelaf
Riwayat90(Hijri) Yaa 93(Hijri) Ziyada Se Ziyada 103 Saal Ke Age Mey Wafat Paai.
(3) Macca Ke Sahaba Mey Hazrat Abultafeel Bin Wasa (R.A) Sab Se Aakhri
Sahabitheay, Enhoney 100(Hijri) Yaa Ba Iqtelaf Riwayat 110 Hijri Mey Wafat Paai.
Note: Estarha Paheli Saadi Ke Khatam Hone Ke Saath Saath Sahaba Ka Dour Bhi
Khatam Huwa, Paheli Saadi Ke Musalman Sirf Quran Aur Hadees Per Hi Amal Kerte
Theay Naa Ke Kisi Imam Ke Taqleed Kerte Theay.
Mohammed (Pbuh) Ke Dour Mey Tadween Hadees Ke Dalaeel (References)Hamare Nabi
Mohammed (Pbuh) Ke Dour Mey Quran Ke Tarha Hadeesey Bhi Likhijaati Thi Eska Bada
Ehtemam Tha.Mohammed (Pubh) Ney Farmaya
1. Elim Aur Hadees Kou Likh Kar Muqeed Kar Liya Karo (Hakim)
2. Abu Shah Kou Meri Hadees Wa Khutba Likh Kar Dey Dou (Bukhariaur Muslim)
3. (Aay Abu Raafa (R.A) )Apne Daaye Haath Say Meri Hadees Likh Liya Karo
(Tirmizi)
4. Kalma Guh Musalmano Ke Naam Likh Kar Mujhe Dey Dou (Bukhari)
5. Madina Ke Yahoodio Kou Saahifa-E-Aman Likhwa Kar Diya Tha, Mohamme◊ Pahlei
Saadi Tou Kya Teesri Saadi Mey Bhi Taqleed Aur Nisbate Aaimaka Firqa Hanfi,
Shafai, Maliki , Hambali Ke Wajud Naa Tha.◊Afa Ker Ke Baataod (Pbuh)Ney Apne Aur
Yahoodio Aur Degair Musalmano Ke Liye Aaman Nama Likhwa Diya (Abu Dawood)6.
Hudebiya Mey Suleh Nama Likhwaya Gaya (Bukhari)
7. Hazrat Ali (R.A) Farmate Hain Ke Hum Ney Mohammed (Pubh) Say Quran-E-Majeed
Likha Hain Aur Es Sahife Yaani Hadees Ke Es Risaley Kou (Bukhari)
8. Hazrat Ibne Omer (R.A) Farmate Hain Ke Rasool Allaha (Pubh) Ney Kitabul
Sadaqalikhwai, Phir Aap Ka Inteqal Hou Gaya, Yeh Kitab Hakimo Ke Pass Rawana
Naake Jaa Sakhi Kay Aap Ke Baad Hazrat Abu Bakar Siddiq (R.A) Ney Es Per Aamal
Kiya, Phir Abu Bakar Ke Inteqal Ke Baad Hazrat Omar (R.A) Ney Es Per Aamal
Kiyaye Kitab Hazrat Omar Ke Khandan Mey Mehfooz Rahi, Hazrat Omar Ke Poutey
Hazrat Salim (Rahmat Ullaha Aaley) Ney Yeh Kitab Hazrat Zahri (Rahmat Ullaha
Aaley)Kou Padhne Ke Liye Dee Jissey Imam Zahri Ney Yaad Ker Liya, Es Ke Nakal
Khalifa Omar Bin Abdul Aziz Ney Karai (Abu Dawood, Bahqi, Hakim)
Mohammed (Pubh) Ney Apne Aakhiri Ahad Mey Hadees Ke Ek Zaqeem Kitab Jismey
Tilawat-E-Quran, Namaz, Roza, Zakat, Talaq, Aur Degair Faraiz Wa Sanan Aur
Kabira Gunaho Ke Tafseel Tahreer Karwa Key Hazrat Umro Bin Hazm (R.A) Sahabike
Marfat Yaman Walo Key Pass Bhijwai (Darulkhitni, Darmi, Bahqi, Musnad Ahmed,Ibne
Khuzema, Ibne Habban, Mouta Imam Malik, Sanan Nisai)
9. Harqal Baadshah Ney Mohammed (Pubh) Ka Woh Nama Mubarrak Maangwaya Jo Aapney
Dehiya Kalbi Kou 6 Hijri Mey Day Kar Basra Ke Hakim Ke Pass Bheja Tha Es Ney Woh
Harqal Key Pass Bhijwaya (Bukhari Shareef).
10. Hazrat Maaz (R.A) Ke Sahab Zade Ka Inteqal Madine Mey Hou Gaya, Hazratmaz
(R.A) Yamen Mey Theay Enhe Bada Ranj Wa Afsoos Huwa Tou Mohammed (Pubh)Nay
Hazrat Maaz (R.A) Ke Pass Taaziyat Nama Tahreer Farma Kar Rawana
Farmaya(Mustadrak Hakim Jild:3 Page: 373, Tareeq Khateeb Jild: 3, Page # 89)
12. Hazrat Abu Hurera (R.A) Say Marwi Hain Ke Sahaba Ikram (R.A) Mey Mujhsay
Ziyada Hadees Rasool Kou Riwayat Kerne Wala Koi Nahi Hain, Magar Abdullah Bin
Omer (R.A) Essey Mutshani Hain Esliye Key Woh Hadeeso Kou Likha Kerte Theay Aur
Mey Likhta Nahi Tha Sirf Zabani Yaad Ker Liya Kerta Tha (Bukhari, Tirmizi)
13.Hazrat Abu Hurera (R.A) 5376 Hadeeso Ke Hafiz Theay.Important: Yaad Rakhiya
Es Khisam Aur Bhi Bohath Sey Daalail Moujud Hain Per Es Waqt Sirf Mouzu Ke
Taawilat Ke Khauf Say Muqtasar Say Pesh Kiye Hain. Jin Say Saaf Zahir Hain Ke
Mohammed (Pubh) Apni Zindagi Mey Hi Apni Hadeeso Kou Khas Ehtemam Say Mouqa Ba
Mouqa Likhwaya Kerte Theay, Sahaba Ikram Neyen Hadeeso Kou Jama Aur Mehfooz Kiya
Hain Jis Ke Tafseel Yeh Hain.
1. Sahifa Sadqa Key Naam Say Mashoor Hain Jissey Umro Bin Al Aas (R.A) Ney
Taiyaar Kiya Tha,
Esmey Hazaar Sey Kuch Kam Hadeesey Hain Jo Musnad Imam Ahmedmey Moujud Hain.
2. Ek Sahifa Saahiya Ke Naam Say Mashoor Hain Jissey Hammam Bin Munab Hazratabu
Hurera (R.A) Ke Shagird Ney Taiyaar Kiya Hain, Eski Ahadees Bhi Musand Ahmed Mey
Moujud Hain, Aur Imam Buqari Aur Muslim Ney Bhi Apni Kitabo Meyshamil Ki Hain,
Es Majmua Ka Qalmi Nuksa Aab Tak Damishq Aur Barlan Ke Librariomey Mehfooz Hain.
3. Musnad Abu Hurera (R.A) Ke Naam Say Yaad Kiya Jaata Hain Es Mey Hazratabu
Hurera (R.A) Ke Tamaam Marviyat Moujud Hain Aur Es Ka Qalmi Nuksagermany Ke
Library Mey Moujud Hain.
4. Ek Sahifa Hazrat Ali (R.A) Ke Naam Say Mashoor Hain.5. Hajjatulwida Kay
Khutbe Kou Kudh Rasool Allaha Ke Hukum Say Likha Gaya Hain.6. Sahifa Aaisha
(R.A) Jissey Umro Bin Zubair (R.A) Ney Taiyaar Kiya Tha.{Doasri Waa Teesri
Saadi}Weeladat Aaima Arba(1) Name: Hazrat Imam Abu Hanifa (Rahemat Ullaha
Aale)Sanwiladat: 80 Hijri San Wafat : 150 Hijri Total Age : 70 Years Birth
Place: Kufa (Iraq)Name Of Book: ---------------
(NO)(2) Name: Hazrat Imam Malik (Rahemat Ullaha Aale) San Wiladat: 93 Hijrisan
Wafat: 179 Hijri Total Age: 82 Yearsbirth Place: Madina Name Of Book: Mouta(3)
Name: Hazrat Imam Shafai(Rahemat Ullaha Aale)San Wiladat: 150 Hijrisan Wafat:
204 Hijritotal Age: 54 Years Birth Place: Misr Name Of Book: Musnad Shafai(4)
Name: Hazrat Imam Ahmed Ibne Hambal (Rahemat Ullaha Aale)San Wiladat: 164 Hijr
Isanwafat: 241 Hijritotal Age: 77 Years Place Of Birth: Damishq (Syria)Name Of
Book: Musnad Ahmednote: Doasri Saadi Hijri Say Aaima Arba Ka Dour Shru Huwa,
Hamare Nabimohammed (Pubh) Ke Saathi Sahaba (R.A) Allah Kou Pyare Hou Gaye, Aaye
Dinlogo Kou Maasil Ka Pesh Aate Rahete Theay, Yaha Sey Millate Islamia Ka
Dourshru Huwa, Aab Yehi Charo Imam Apne Apne Ilaako Mey Bohath Mashoor Theayen
Hazrat Ke Pass Koi Masla Aata Tou Woh Quran Aur Hadees Pesh Kerte Yaaapni Rai
Aur Khiyas Sey Kam Leyte Aur Allaha Se Darte Huwe Yeh Elaan Kerteke Saahi Hadees
Hi Mera Mazhab Hain.(1) Hazrat Imam Abu Hanifa Ney Kufa Mey Zindagi Guzari Jaha
Ka Siasi Sherazamuntashar Tha Woh Maqtile Hussain (R.A) Raha Ahle Tashree Ka
Markaz Tha Waha Imam Sahab Kou Bohath Kam Hadees Sey Hasil Hui Jis Ke Wajhe Say
Ziyadatar Maasail Woh Rai Waa Khiyas Sey Haal Kerte Theay
Aur Saath Hi Yeh Hidayat Deyteke Mohammed (Pubh) Ke Hadees Agar Tumhe Es Masle
Mey Mil Jaye Tou Meri Baathkou Radh Kar Dou Aur Hadees Kou Apna Lou.(2) Hazrat
Imam Malik Madina Mey Zindagi Guzari, Aur Mohammed (Pubh) Ke Hadeesokou Jama
Kiya Aur Apni Kitab Ka Naam Mouta Imam Malik Rakha Jin Ke Wajhe Seymaasail Mey
Enke Rai Bohath Kam Milti Hain.(3) Hazrat Imam Shafai Ka Pahela Dour Basra Mey
Aur Doasra Dour Misr Mey Guzraaur Mohammed (Pubh) Ke Hadeeso Kou Jama Kiya Aur
Apni Kitab Ka Naam Musnad Shafai Rakha.(4) Hazrat Imam Ahmed Ibne Hambal Bhi
Hadeesey Jama Kerne Mey Mashgul Rahe Hadees-E-Nabawi Ka Bohath Bada Hissa Enke
Haath Aaya Apni Kitab Ka Naam Musnad Ahmed Rakha, Imam Sahab Ke Saarey Maasail
Rai Aur Khiyas Sey Beniyaz Hain.Aab Zara Suniye Ke Charo Imamo Ne Kya Kaha?Allha
Rahemate Nazil Karey En Charo Imamo Per Jinhouney Kitni Haq Baatein Kahi Hain.
(1) Hazrat Imam Abu Haneefa (R.A) Farmate Hain , Merey Qool Per Fatwa Dena Haram
Hain Jab Tak Meri Baath Ke Dalil Malum Naa Kerlou (Mezan Al Sharani, Aqeedal
Jaid Page # 80)(*) Jab Mera Qool Quran Ke Khilaf Hou Tou Essey Chode Dou, Logo
Ney Puccha Jab Aap Ka Qool Hadees Ke Khilaf Hou ? Farmaya Es Waqt Bhi Chode Dou
Phir Log Ne Puccha Sahaba (R.A) Ke Khilaf Hou Tou? Kaha Tab Bhi Chode Dou(Mezan
Al Sharani, Aqeedal Jaid Page # 53)
(*) Jab Dekho Ke Hamara Qool Quran Aur Hadees Ke Khilaf Hain Tou Quran Aur
Hadees Per Aamal Karo Aur Hamare Qool Kou Deewar Per Dey Maro.(Mezan Al Sharani,
Aqeedal Jaid Page # 53)
(*)Hazrat Abu Haneefa Farmate Hain Ke Saahi Hadees Hi Mera Hazhab Hain
(Aqeedatul Jaid)(*) Jo Hadees Say Sabit Hou Woh Sar Aankho Per (Zafar Al Aamani)
(*) Meri Taqleed Naa Karna, Aur Naa Imam Malik Ke Aur Naa Kisi Aur Ke
Taqleedkerna, Ahkam-E-Din Waha Se Lena Jaha Sey Enho Ney Liye Hain Yaani Quran
Aurhadees Say (Tohfa Al Aziya Fee Bayan Al Barar)Note: En Tammam Baato Say Saaf
Zahir Hain Ke Imam Abu Haneefa Ka Aqeeda Aur Mazhab Sirf Quran Aur Hadees Hain,
Allah Talha En Ke Khabr Kou Noor Sey Bhar Dey (Aamin)
(2) Hazrat Imam Malik (R.A) Farmate Hain Duniya Mey Asia Koi Insaan Nahi Jis Ke
Baaz Baatein Saahi Aur Baaz Baatein Ghalat Naa Hou Phir Eske Saahi Baatein Lee
Jati Hain Aur Ghalat Chode Dee Jaati Hain, Siwaye Hazrat Mohammed (Pubh) Ke
Tamaam Baatein Saahi Aur Durust Aur Maan Hi Lene Ke Layeq Hain Ek Baath Bhi
Saari Zindagi Ke Chode Ney Ke Layaq Nahi (Aqeedatul Jaid Page # 70)
(*) Mey Sirf Ek Insaan Hou, Kabhi Meri Baath Saahi Hoti Hain Aur Kabhi Ghalattou
Tum Meri Es Baath Kou Jou Quran Aur Hadees Ke Mutabik Hou Lay Liya Karo Aur Es
Baath Kou Jo Es Ke Khilaf Hou Chode Diya Karo, Yaani Meri Taqleed Math Karo.
(*) Bus Tum Meri Rai Per Ba Ghour Nazar Karo Aur Agar Woh Quran Aur Sunnat Ke
Muafiq Hou Tou Khubul Karo Aur Jab Khilaf Dekho Tou Tark Ker Dou.
(3) Hazrat Imam Shafai(R.A)Farmate Hain Jab Mey Koi Masla Kaho Aur Rasool
Mohammed (Pbuh) Ney Mere Khoul Ke Khilaf Kaha Hou Tou Jo Masla Hadees Hou Jaye
Bus Wohi Lou Aur Meri Taqleed Math Karo (Aqeedatul Jaid Page # 70)
(*)Jab Saahi Hadees Mil Jaye Tou Mera Mazhab Wohi Hain, Aur Jab Mere Kalam Kou
Hadees Ke Mukhalif Dekho Tou Hadees Per Aamal Karo Aur Mere Kalam Kou Deewar Per
Dey Maro (Aqeedatul Jaid Page # 70)(*) Imam Shafai Ney Apni Taqleed Aur Ghair Ke
Taqleed Kerne Say Maana Kiya Hain.
(4)Hazrat Imam Ahmed Ibne Hambal (R.A) Ney Farmaya Hargiz Naa Meri Taqleed Kar
Naa Malik (R.A) Ke Aur Imam Shafai (R.A) Ke Aur Naa Imam Auzai Ke Aur Naa Imam
Suri Ke , Jaha Say Yeh Tamam Imam Din Ke Ahkam Waa Masail Layte Theay(Quran Aur
Hadees) Tum Bhi Wahi Say Hi Leena (Aqeedatul Jaid Page # 70)
Note: En Charo Imamo Muhtaram Imamo Ke Khoul Say Yeh Baath Saaf Zahir Hoti Hain
Ke Hazrat Mohammed (Pubh) Ke Hadees Ke Mutabik Maa Aana Alaihi Wa Ashabihikaa
Rasta Eqtiyar Kerne Ka Hukum Farmaya, Yeh Sub Ke Sub Quran Aur Hadees Per Aamal
Kerte Theay,
[ Continue ]