Jaha say yeh Tamam Imam Din ke
Ahkam waa Masail Layte theay(Quran aur Hadees) Tum bhi wahi say hi Leena
(Aqeedatul Jaid Page # 70)Note: En Charo Imamo Muhtaram Imamo ke khoul say yeh
Baath Saaf Zahir hotiHain ke Hazrat Mohammed (pubh) ke hadees ke Mutabik Maa
Aana Alaihi Wa Ashabihikaa Rasta Eqtiyar kerne ka hukum Farmaya, Yeh sub ke sub
Quran aur Hadees perAamal Kerte theay,
Yehi enka Mazhab tha, en charo Buzurgo ney apni Taqleed say Maana kiya aur kisi
ney bhi Alag Mazhab apne naam say mansoob kerke Murtib Nahi kiya, Huzoor (pubh)
ney farmaya sub say bahetar Ahle Zamana Mere Hain,Phir woh jo en ke Baad wale
hain, apne zamane ke baad Dou Zamano ka Zikr Kiya(Sahi Buqari)Aalama Ibne Hajr
(R.A) Fateh Albari Para # 4 Babul Fazail Ashabe Nabawi (pubh)mey Tehreer Farmate
hain, Tabe Taabain 220 saal tak Zinda Rahe enke zamane mey bhi kisi ke Taqleed
yaa kisi ke Naam ka Mazhab Naa tha.Kitab-e-Hadees Ke Mazeed Tafseel
(1)Muhadees Ka Naam: Hazrat Abu Mohammed Abdullah Abdul Rahman Bin Fazal R.A
Weeladat : 180 Hijri Waafat : 255 HijriTotal Age : 75 Years Sakin : Samar
KhandName kitabe Hadees: Darami
(2)Muhadees Ka Naam: Hazrat Abu Abdullah Mohammed bin Ismail Bukhari
(R.A)Weeladat : 194 Hijri Waafat : 256 Hijri Total Age : 62 Years Sakin :
Bukhara Name kitabe Hadees: Bukhari Shareef
(3)Muhadees Ka Naam: Hazrat Abu Dawood Sulaiman Bin Ashas (R.A)Weeladat : 202
Hijri Waafat : 275 Hijri Total Age : 73 Years Sakin : Basra Name kitabe Hadees:
Abu Dawood
(4)Muhadees Ka Naam: Hazrat Abul Hasan Muslim bin Hujam (R.A)Weeladat : 204
Hijri Waafat : 261 Hijri Total Age : 57 Years Sakin : Neshapur (Kharasan)Name
kitabe Hadees: Muslim Shareef
(5)Muhadees Ka Naam: Hazrat Abu Eesi Mohammed Bin Eesi Bin Surah (R.A)Weeladat :
209 Hijri Waafat : 279 Hijri Total Age : 70 Years Sakin : Tarmaz Name kitabe
Hadees: Tirmizi
(6)Muhadees Ka Naam: Hazrat Abu Abdullah Mohammed Bin Yazeed Bin Marjar baaie
Weeladat : 209 Hijri Waafat : 273 Hijri Total Age : 64 Years Sakin : Iraq
(Kharyen)Name kitabe Hadees: Ibne Maaja
(7)Muhadees Ka Naam: Hazrat Abdul Rahman Bin Ahmed Bin Shoaib (R.A)Weeladat :
215 Hijri
Waafat : 303 Hijri Total Age : 88 Years Sakin : Qharasan Name kitabe Hadees:
Nisai
(8)Muhadees Ka Naam: Hazrat Abu Hassan Bin Ali Bin Omar (R.A)Weeladat : 305
Hijri Waafat : 385 Hijri Total Age : 80 Years Sakin : Baghdad Name kitabe
Hadees: Darul khitni
(9)Muhadees Ka Naam: Hazrat Abu Bakar Ahmed Bin Hussain (R.A)Weeladat : 384
Hijri Waafat : 458 Hijri Total Age : 74 Years Sakin : Baheqi (Neshapur)Name
kitabe Hadees: Baheqi
(10)Muhadees Ka Naam: Hazrat Shaik wali uddin Mohammed bin abdullah Khateeb
(R.A)Weeladat : 435 Hijri Waafat : 516 Hijri Total Age : 81 Years Sakin : Muru
(Tabeez)Name kitabe Hadees: Mishkat
Note: Mashoor Kutub-e-Hadees Darj Ke gai hain en ke aalawa aur bhi Hadees ke
kitabe likhi gai hain
(*) Hazrat Shaik Abdul Qadir Jeelani (R.A) Weeladat: 470 Hijri Waafat: 561 Hijri
Total Age: 91 Years Sakin : Baghdad (Iraq)Name of Books: Ghaniyatul Taleebin,
Fateh Rabbani Shaik Abdul Qadir Jeelani Ney Apni Kitab Fatuh Al Gayeb Mey Kitni
Zabardast Nasiyat waa Hidayat Farmai Hain aur who yeh hain.
(*) Quran aur Hadees kou Apna Imam Bana lou aur ghouro fikr ke saath en ke
Mutala kiya karo edher udher ke bahes, takrar aur Hiras ke baaton mey Naa phas
jao, sirf Kitab Allaha Aur Sunnat-e-rasool (pubh) per Amal karo.
Aur Haqeeqat Samjho ke Quran ke Aalawa hamare pass Amal ke Qabil koi Kitab Nahi
hain aur Hazrat Mohammed (pubh) ke Siwa hamara koi Rahebar nahi jiske hum
tabdari kare.
Kabhi Quran aur Hadees ke daire say baaher naa jaana Warna khawaish nafsani and
Aghawa-e-shaitani Tumhe seedhe raaste say bhatka deange, yaad Rakho Insaan
Auliya Allaha aur Abdaal ke Darje per bhi Kitab Allaha aur Sunnate Rasool (pbuh)
per Aamal Kerne say hi Pahuch sakhta hain
(Fateh Al Ghaeb)
Taqleed Shaksi Ke Tareef
(*) Muqaliq ke Daleel es ke Mujtahid (Imam) ka Khoul Hain, Naa woh Kudh Tahqeeq
Tahqeed Ker sakhta hain aur Naa Apne Imam ke Tahqeeq Per Ghour Ker sakhta hain
(Muslim al saboot Mujtabani)
(*) Hazrat Mulla Ali Qari Hanfi (R.A) Farmate hain, Ghair-e-Nabi (Imam) Key Khol
kou bhaghair Daleel Maana Taqleed Hain (share Khaseeda Aamali)
(*) Naa koi Fatwa Diya Jaye aur Naa hi Aamal kiya jaye Mager Faqat Imam
ke Khol per (Durre Muqtar Jild Awwal)
Chouthi Saadi Hijri Tawleeq Shaksi ke Ebteda Chouti Saadi Mey hui (Aalamul
Muquaeen Jild 1 Page # 222)
(*) Tazkaratul Ahfaz Page Page # 202 Mey hain ke Rasool (pubh) say Lay ka rTeeno
Zamano Qairul Quran Tak Taqleed ka wajood hi naa tha, Khairul Quran Kay Baad
Taqleed ka Wajood Paya jaata Hain, Chouti Saadi say Cheeti Saadi Tak Esi Tarha
Taqleed Ka Silsila Raha.
Paanchvi Saadi Hijri List Of Few Fiqah Books
(1) Name of Book: Khaduri (Fiqah Ke Paheli Kitab)San Tasneef : 428 Hijri
(2) Name of Book: Heedaya (Fiqah ke Moutabar Kitab)San Tasneef : 593 Hijri
(3) Name of Book: Qazi KhaSan Tasneef : Cheeti Saadi
(4) Name of Book: Fatawa Al WahiyaSan Tasneef : Cheeti Saadi
(5) Name of Book: ManiyaSan Tasneef : Saathvi Saadi
(6) Name of Book: QaniyaSan Tasneef : Saathvi Saadi
(7) Name of Book: kanzal Al daqalaqSan Tasneef : 710 Hijri
(8) Name of Book: Share wiqayaSan Tasneef : 745 Hijri
(9) Name of Book: NihayaSan Tasneef : Aathvi Saadi
(10)Name of Book : AanayaSan Tasneef : Aathvi Saadi
(11) Name of Book: TehtaviSan Tasneef : Aathvi Saadi
(12) Name of Book: Jamia Al RamozSan Tasneef : Aathvi Saadi
(13) Name of Book: Fateh Al QadeerSan Tasneef : Navi Saadi
(14) Name of Book: BazaziaSan Tasneef : Naavi Saadi
(15)Name of Book: Khilasa KeedaiSan Tasneef : Naavi Saadi
(16)Name of Book: HaaliyaSan Tasneef : Naavi Saadi
(17)Name of Book: Behraer raqaeeqSan Tasneef : Dasvi Saadi
(18)Name of Book: GhaniyatSan Tasneef : Dasvi Saadi
(19)Name of Book: Tanveer Ala AbsaarSan Tasneef : Dasvi Saadi
(20)Name of Book: Zaqeeratul AqbiSan Tasneef : Dasvi Saadi
(21)Name of Book: Durr-e-MuqtarSan Tasneef : 1011 Hijri
(22)Name of Book: Fatawa KhairiyaSan Tasneef : Giarwi Saadi
(23)Name of Book: Fatawa Alam GiriSan Tasneef : 1118 Hijri
(24)Name of Book: Mala Bud MinaSan Tasneef : 1225 Hijri
(25)Name of Book: Baheshte ZevarSan Tasneef : 1225 Hijri
(26)Name of Book: Maraqi Al FalahaSan Tasneef : Terahwi Saadi
(27)Name of Book: Umdatul AryaatSan Tasneef : Terahwi Saadi
Note: En mashoor Fiqah Ke Kitabo Ke Alawa Kuch Aur Keetabe aur bhi hain.Saathvi
Saadi Hijri* Saathvi Saadi Hijri Mey Paheli Martaba Char Qazi (Nisbate Aaima)
MuqararKiye Gaye, aur rafta rafta Muqaleedin ke Taadat Badhti gai aur Salatin ka
Meelan bhi Taqleed hi Ke Taraf Hou Gaya.
Her Ek Baadesha Apne Hum Khayal kou Qazi Muqarar kerta aur her ek Firqa apne
apne Mazhab kou faruq deyta gaya.
Naaiz ek doasre kou malgub kerne ke tadbeere kerne lage.
Baala Aakhir Shah Babres Ney 665 Hijri Misr waa Khaira mey Char Mazhab ke Char
Qazi
Hanfi, Maliki, Shafai, Hambali Muqarar Kiye, Yehi Tareeq Jaari hou Gaya, es kou
Sarkari tour per Charo mazhab kou bar haq Tasleem ker liya gaya.
es tarha Char Mazhab Islam Daqil Kiye Gaye.
Note: Ek Din-e-Islam ke char Tukde ker diye gaye, Yeh Nisbate Aaima Saathvi
Saadi Hijri say shru hui, Aathvi saadi Hijri bhi Esi Haal mey guzri.
Naavi Saadi Hijri Char Musale (Nisbate Aaima) Kaabe Mey Qayam Ker diye gaye,
Chunache Aawayal Naavi Saadi Mey Chara kiya ka Sultan Faraq Bin Barqooq ney
Kaabe Kay Ahtaye Mey Musale Ibrahim Ke Aalawa Yeh Naya Ejad Char Musale Hanfi,
Maliki, Shafai,Hambali Qayam Ker diye.
Es ke baad en Charo Musalo kou Dakil-e-Din Samjha Jaane Laga
(Aalaa Shokani (R.h) Farmate hain ke es Zamane ke Ahle Ilm nayes ke Shadeed
Muqalifat Ke. (Aala Irshad Page # 58)
Note: Yeh Naye Ejad Kiye Huwe Char Musale 9 Hijri Say 13 Hijri Tak Barabar Qayam
Rahe.
Choudvi Saadi Hijri Charo Musale (Nisbate Aaima) Barkhast Kiye Gaye, Bani Saudia
Hukumat Shah Abdul Aziz nay 1343 Hijri mey Barkhast kar ke sirf ek
Musala-e-Ibrahimjo Ebteda-e-Islam Say tha Hasab Sabiq Barkarar Rakha jo Aab tak
moujud hain Es Musale say hi Tamaam Namaze Ada hoti hain (Alhamdullillaha)
Note: Aziz Dosto Hum Ney yeh ek choti si koshish ke hain ke aap kou Daleel ke
saath kuch Taqleed ke Bare mey roshni daali agar aap sirf Tahkeeq ke neeyat say
essey dekheange tou aap kou malum
hou jayega ke Kya hum kisi maslak , kisi jamat yaa kisi aur ke Taqleed jayaz
hain yaa Hamey Her Masle mey Quran aur Hadees ke Taraf Ruju hona hoga ?
Ahkamat-e-Rabbani (Quran say)
(*) Mohammed (pubh) ke Zindagi Tumhare Liye ek umda aur Mukamil namuna hain
(Sure Ahzab Aayat # 21)
(*)Jis Ney Rasool Mohammed (pubh) ke etaath ke Dar haqeeqat usne Allaha ke
Etaath ke (Sure Nisa Aayat # 80)
(*) Kasam Hain Tere Rub ke Yeh Momin Nahi Ho Sakhtey Jab tak yeh Tujhe aapas ke
Jhagdey Mey Hakim Naa Maan ley aur phir jo hukum Tum Lagado essey azaad naa hou,
Balke Purey Tour Per Essey Maan lay. (Surey Nisa Aayat # 65)
(*) Aaye Iman Walo! Islam Mey Purey Ke Purey Dakhil hou Jao aur Shaitan ke
Pairwi Math Karo kyu ke woh Tumhara Khula Dushman Hain (Surey Baqra aayat # 208)
(*) Agar Tum Allaha say Mohabaat Rakhte hou tou meri Eteba karo, Khuda tum Say
Mohabaat karega, aur tumhare Gunaha Maaf kar dega, Khuda Bakshne wala Maherbaan
Hain (Surey Al Imran Aayat # 13)(*) Aaye Iman Walo! Allaha aur Rasool (pbuh) aur
apne mey say Farmabardaro Ke Taadari karo, Phir Agar Kisi Mamele Mey Jhagda Aa
Padey tou es kou Allaha Aur Rasool (pbuh) ke Taraf Phair dou, agar tum Allaha
Aur Qayamat per Yaqeen Rakhte hou (Surey Nisa Aayat # 59)
(*) Aaye Iman Walo ! Allaha aur Es ke Rasool (pubh) ke Etaath karo, aur apne
Aamal Barbad naa Karo (Surey Mohammed Aayat # 33)
Note: Insha Allaha Quran ke en aayato say yeh saabit huwa ke Rasool (pubh)ke
Aalawa kisi ke Tabadari kerna Durust nahi Allaha hum sub kou Toufeeq day ke hum
Sirf Quran aur Sunnat per Aamal Karey (Aameen)
Aaiye Aab Kuch Hadees Sune
(*) Tum Mey Say koi Momin Nahi ho Sakhta Jab Tak Mey eske Nazdeek Eske
Waalidain, Aulaad, aur Tamaam Logo Say Ziyada Mehboob Naa Hou Jaoun(Bukhari
Kitabul Iman Page # 7)
(*) Jis Ney Meri Sunnat Say Mohabbat Ke Goya usne Mujh Say Mohabbat ke Aur
Jisney Mujh say Mohabbat ke woh Mere Saath Jannat Mey Hoga (Tirmizi, Mishkat)
(*) Jo Meri Sunnat Say Rugardani Karega woh Mujh say Nahi- Yaani Meri Ummat Mey
eska Shumar Naa Hoga (Buqari, Muslim aur Mishkat)
(*)Agar Tum Meri Sunnat kou Chode dou gey tou Gumrah Balki Kafir hou Jao
gey(Mishkat)
(*) Mey Tum mey do Chize Chode jaa raha hou jab tak tum En dono kou Mazbutisay
Thamey Rahogey Hazgiz Gumrah naa hogey (woh Do Chize Allaha ke Kitab Quran aur
eske Rasool ke sunnat hain) (Mishkat)(*)
Hazrat Abu Hurera R.A Riwayat kerte hain ke Rasool (pubh) ney Farmaya jis ney
Meri Ummat ke Fasad ke Zamane mey meri Sunnat per Mazbooti say Aamal Karega
ussey 100 Shaeedo ka Sawab Mileyga (Mishkat, Behqi)
Note: Insha Allaha En Hadeeso say Sabit huwa ke Quran aur Hadees per Aaamal
kerne ke siwa Doasra koi raasta Nahi, Yehi hamara maslak hain.Hamara Watan
Jannat Hain Hamara Watan Jannat jo Hames rahage, Rahamat ka Muqam Hain Allaha
Talha ney Hazrat Adam (pubh) kou Bana kar En ka Muqam Rehaish Jannat Qarar Diya,
Aur Adam ke Peeth say En ke Aulaad Nekali (Yani Qayamat tak paida hone wali
Ruhey)kudh enko enka Gawah Bana diya, jab Allaha Talha ney Saawal kiya ke Mey
Tumhara Parwarish kerne wala nahi hou ?
Tou Sub ney jawab diyake Beshak tou hamara rub hain.
Aur Tamaam Malaika Waghaira kou Hukum-e-Khudawandi huwa ke Aadam kou Sajda
Karey, es hukum ke Farma Bardari Tammam Malaika ne ke,
Sirf Shaitan ney naa Farmani ke, jis ke wajha say woh Laanati huwa, Aur Jannat
say nekala gaya.Shaitan AZal say hi Insaan ka khula Dushman Hain,
esi Shaitan ney Adam kou Allaha Talha ke Hukum ke Khilaf warzi per bhadkaya jo
Adam (pubh) say Allaha ke Hukum ke Naa farmani hui,
es bina per Adam (pubh)kou enke Paidaishi watan Jannat say Zameen per utara gaya
kuch Mudat ke Baad woh Touba Astaghfar ker ke Allaha ke farmabardari ke saath
Zindagi Guzar ker es duniya-e-fani say apne watan Ruqsat Huwey,
es lehaz say hamara Asli Watan Jannat Hain.
Mere Aziz Dosto Hum Aakhri Nabi Mohammed (pubh) ke Ummati hain aur Khair-
e-ummat ke Laqab say Nawaze Gaye hain, aur hamara watan Jannat hain, tou kya yeh
Tammana nahi hain ke Hum Apne Watan Jannat kou Wapas Jaye ?
Jawab Sub ka ek hi hoga ke beshak hum apne watan Jannat mey Jaane ke Arzoomand
hain,
tou phir arz karunga ke Farmane Khuda wandi Hain.
(*) Ussi ke Pairwai karo jo Tumhare Rub ke Jaaneb say Utara Gaya hain, eske siwa
aur Rafeeqo ke Tabdari mey naa lag jaana (Surey Ahraf Aayat # 3).
essey saaf zahir hain ke hum quran aur hadees per Aamal kar ke seedha raastatay
kerte huwe es duniya say apne asli watan Jannat kou wapis hou jaye es aayate
Kareema ke roshni mey kisi kou yeh haq hasil nahi hota ke Quran aur Hadees kou
Chode kar kisi Ummati ke Pairwi karey ..
[ Continue ]