9 October Yum E Daak

(hukhan, karachi)

Aalmi Manzar Namay Mein 9 October Thayrraa Yum E Daak ,,,Ek Waqt Tha Kay Dakia Or Daak Khana Humari Society Ka Asa Juzz Tha Jasay Ghar Mein Otaaq Or Bawarchi Khana .Gaon Dehaat Qasba Shaer Muhala Algharz Har Jagah Dakia Ek Vip Shkasiat Huta Tha Maon Ko Apnay Bachon Kay Naam Yaad Nahi Hutay Thay Par Dakia Bama Uss Ki Nasal Yaad Rehta Tha .Filmon Mein Iss Par Lazawal Geet Likhay Gaye Heroine Lehak Lehak Kar Dakia Ke Erd Gerd Ghoom Ghoom Kar Uss Kay Naaz Nakhray Uthatee Thi Asa Laghta Tha Kay Ye Dakia Hee Is Ka Namaloom Balum Ya Hero Hay.Fer Zamanay Nay Chaal Badli Daakiye Ko Kici Email Ki Nazar Kha Gai Wo Asa Ghaieb Hua Kay Ubh Doorbeen Se Be Dekhaiee Nahi Deta Ajh Koi Nahi Janta Dakia Kis Cheriya Ka Naam Hay Ye Zamana Courier Wats Up Cell Phone Emails Skype Twitter Mein Dhal Gia.Shaieron Ki Shairi Gulukaron Kay Geet Sab Badal Gaye.Ubh Koi Haseena Darqazay Kay Kawaar Pakar Kar Apni Nazron Ko Pathranay Nahi Dety Bas Mesage Ki Tune Se Hee Wo Saray Zamanay Ka Sakoon Paa Laity Hay.Ubh Tu Eid Card Bee Email Ki Nazar Hu Gaye .Kher Kuch Bee Hu Humein Daak Ka Din Manaa Chaiye Beshak Email Kar Kay Hee Sahi.Werna Tu Logh Becharay Kabootron Ko Train Kiya Kartay Thay Wo Kici Ka Prem Patar Kici Ko Bee Thama Kar A Jatay Thay Q Kay Wo Becharay Non Graduate Hutein Hein Jaali Degree Tak Nahi Huty Un Kay Pass.Bas Kabotron Ki Waja Se Chaudry Ka Khat Naiee Teli Kay Hath Lagh Jata Tha Wo Hee Larkee Bee Lay Urta Thay.Ubh Zamana Tarqi Kar Gia Hay Faslay Semat Gaye Hein Fer Bee Humarai Train Kam Se Kam 6 Ghantay Late Tu Huty Hay Suna Hay Iss Kee Bee Logic Hay Kay Gar Train Late Na Hun Tu Musaafer Khanay Kis Kaam Kay Iss Liye In Ki Afaadiyat Qaim Rkhnay K Liye Train Kaa Late Huna Nehayet Zrorri Hay.Baharhaal Ye Baat Sabit Hay Kay Daak Nay Fee Zamana Bhut Traqee Ki Hay Q Kay Ubh Dakia Cycle Kay Bjaye Bike Par Ata Hay Uss Ka Uniform Bee Babo Wala Kar Dia Gia Hay Bas Uss Ki Salary Shaied Ubh Bee Kafee Puraani Wali Hay Q Kay Uss Kay Chahray Se Ubh Bee Khushhaali Nahi Tapaktee,,,Kuch Tu Asa Kro Kay Wo Bee Mahina Mn Ek Baar Hi Sahii Par Muskara Tu Lay,,,,Dakiya Tujhay Salaam.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1253724 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.