Ubh Gadhunn Ki Bee Kher Nahi

(hukhan, karachi)

Ubh Becharay Gadhay Kaha Jaien Gay In Kay Saingh Tu Hutay Nahi Kay Jaha Dil Karay Samma Jaien Ju Logh Gadhun Se Zra Baytakaluf Hu Tu Wo In Ko Piaar Say Khuta Bee Keh Laitay Hein Humaari Gadhun Say Zyda Betakalfee Nahi Hay Iss Liye Mn In Kay Liye Mohtram Gadah Hee Istemaal Krta Hun Ye Alagh Baat Hay Kay Meray Mohtram Kehnay Par Wo Apni Baghlein Jahmknay Lagh Jatein Hein Kay Hum Un Ko Itni Izzat Qun De Rhay Hein Ek Din Hum Nay Hakomaty Doulaty Yeni Kici Hamaqat Kay Baad Hakeem Jalebi Khan Sabh Se Arz Kia Kay Ya Ju Masoom Se Leader Hazraat Hutein Hein Ye Kursee Mil Janay Kay Baad Itnay Vip Qun Hu Jatein Hein Hakeem Sahibh Nay Balaa Ki Soch U Bachaar Kay Baad Arz Farmaya Jis Qoum Ko Arsay Say Gadhay Ka Gosht Khilaya Jaa Raha Hu Wo Asay Hee Leader Choose Karty Hay Hum Un Kay Jawabh Se Mutafeq Thay Ya Naa Thay Par Hum Nay Gosht Khana Chore Dia Bara Gosht Apni Jagah Par Hay Asa Naa Hu Kay Chiceken Ki Jagah Bee Kawaa Beryani Hee Naa Kha Rhay Hun Kaiie Dafa Hum Nay Kaien Kaien Ki Pukaar Bee Suni Jabh Kay Aas Pass Koi Kaien Kaien Krnay Wali Ya Kawaa Naam Ki Cheez Moujdh Na Thy Kher Ye Humara Weham Bee Hu Sakta Hay Werna Hum Taan Sein Naa Bee Sahi Par Ajh Kal Kay Kaie Singers Se Bhut Behtar Hein,,,,,Awaaz Wo Jadu Sa Jaghaty Hui Awaaz Perosion Kay Hosh O Hawaas Uraaty Hui Awaaz.Baat Hu Rahi The Gadhun Par Insaani Muzaalim Ki Koi Un Ki Khaal Kay Darpay Hay Koi Un Kay Gosht Se Munafa Kamany Kay Chakar Mein Hay Insaniyat Sharma Rahi Hay Or Gadhay Khuf Se Tarap Rhein Hein Ubh Gadhun Kay Liye Bee Khota Police Bnani Paray Gee Kaie Police Walay Tu Ubh Bee Majweza Force Kay Mayaar Par Pora Utartein Hein Bas Ubh Dekhtein Kab National Assembly Mein Gadhun Kay Liye Resulation Pass Huty Hay Wesay Bee Gadhun Ka Iss Hakomat Par Pora Haq Banta Hay Har Tra Say In Ki Jaam Maal Or Khaal Ki Hifazat Ki Jaye .Werna Ye Hakomat Aglay 5 Saalon Kay Liye Gadhun Kay Voton Se Mehroom Hu Sakty Hay Jis Say Aap Andaza Kar Saktein Hein Kay Gadhay Huamaray Maashray Ka Atoot Anngh Hein.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1253793 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.