Sarkaar Ko Apnay Kar E Sarkaar
Kay Liye Mulazemon Ki Zarorat Huty Hay Jis Se Uss Kay Karobaar E Hukoomat Ko
Chalaya Ja Sakay Taraqee Pazeer Mulk Hun Ya Taraqi Yafta Sarkaar Ki Mulaazmat Ko
Naimat E Khudawandi Taswar Kia Jata Hay Abhi Humaray Perosi Mulk Ju Khud Tu Jali
Hui Behndee Jasay Hein Magar Shining India Ki Gardaan Asay Kartein Hein Kay Ubh
Dicitionary Walay Shining Ka Matlab Tabdeel Karnay Ka Soch Rhaya Hein Baat Thi
Sarkaree Mulaazmat Ki India Mein 14000 Ki Chaprasee Ki Nokery Kay Liye Lakhon
Afraad Nay Apply Kia Jis Mein Doctor Engineer Or Buisness Graduate Bee Shaamil
Thay Pata Nahi Shining India Mein Universities Itnay Qabil Logh Qun Paida Kar
Rahi Hay Kay Un Ko Un Ki Qabliat Kay Mutabiq Rozgaar Myesar Nahi Hay. Ya Tu
Degree Mein Jaan Nahi Ya Pher India Shine Hunay Se Pehlay Hee Zangh Allod Hu Rha
Hay.Kher Ye Un Ka Zaati Masla Hay,,,,Hum Kia Kar Saktay Hein Qun Kay Afsoos
Humara Kaam Ka Nahi.Pakistan Mein Agar Ap Say Koi Sust Kaahel, Nikamay, Nekhatu
, Ka Matlab Ek Lafz Mein Biyaan Karnay Ko Kahay Tu Aqsar Ka Jawabh Hu Ga
Sarkaari Mulazim Ap Soch Rhay Hu Gay Kay Ek Hee Shakhs Mein Itni Sari Khubhian
Qun Kar Hu Saktein Hein Janab In Sab Ki Bina Par Hee Tu Uss Ko Sarkaar Ki
Ghulami Ka Touq Inayat Kia Jata Hay.Ap Ko Agar Koi Shakhs Bhut Batein Krta Hua
Or Sath Mein Befeqree Se Chaye Peeta Hua Nazar Aye Sath Mn Akhbaar Ka Mutalia
Bee Kar Raha Hu Tu Samajh Jaien Ye Ek Sarkaree Mulaazim Hay.Aap Sochein Gay
Humaray Pas Asi Kia Daleel Hay Ju Hum Itnay Etemaad Kay Sath Kasay Ye Sab Farma
Rahay Hein Bahi Hath Kanghan Ko Arsee Kia Sarkar Kay Mulazim Ko Kaam Se Kia,
Chalo,,Bahi App Pia ,Railway,Sarkaari Hospitals,School .Colleges,Muncipal,Police
,,,,,,,,,Baat Niklay Gee Tu Dour Talak Jaye Ge Yeni Kay, Pm .Cm,Tak Jaye Gee Fer
Bhula Hum Kaha Jaien Gay.Wesay Bee Ju Kici Kaam Ka Nahi Huta Wo Sarkaar Kay Kaam
Ka Huta Hay Or Ju Kuch Na Kar Paye Wo Mazay Say Sarkaar Chalaye.Taali Dono
Hathon Say Bajhty Hay Jasi Sarkaar Wesa Mulazim,,,Pawasta Reh Sarkaar Say Umeed
E Amdani Rakh,,,,,,,Baat Samajh A Gai Hu Gee,Werna Fer Kabi Sahi