Saffar Sumaal Kay(Episode 3)

(hukhan, KARACHI)

hukhan

Train 25 Minute Kay Araam Kay Baad Mastaani See Chaal Kay Sath Agay Barnay Laghee Lagh Asa Raha Tha Kay Koi Bee Ghar Ki Kherkee Say Train Ko Eshara Karay Tu Iss Nay Laazman Ruk Jana Huta Hay Yaad Rakhiye Aci Sohalat Duniya Ki Kici Rail Mein Nahi Hay.Kaleem Ghusay Say Bola Laghta Hay Sari Summer Vication Train Mein Hee Guzar Jaye Ge....Sohail Nay Usay Sabar Ki Talqeen Ki ....Naved Nay Kaha Baita Itnay Pason Mein Asa Hee Safar Milta Hay Itnay Pason Mn NASA Walay Rocket Tu Denay Say Rahay Kaleem Nay Train Ko Ek Sehat Mand Raaijulwaqt Gaali Dee ....Train Jhat Sey Ruk Gai Hum Samjhay Ye Gaali Ka Asar Hay Pata Chala Koi Caution Signal Hay Or Adhay Musafer Boghie Sey Jump Maar Kar Andhray Mein Gum Hu Gaye Kaleem Nay Kaha Laghta Hay Becharee Thak Gai Hay Zra Saans Lay Rahi Hay Boghee Ki Light Aty Thi Jaty Thee Humein Boghee Mein Iss Loadshading Ki Samajh Nahi Aa Rahi Thee,,,,Itnay Mein Navid Ki Cheekhnay Ki Awaaz Ayi Yar Mera Khana Kaha Hay Hum Masoom Say Lahjhay Mein Bolay Bahi Laaye Bee Thay Yaa Ghar Bhool Aye Hu Naved Nay Thoree Deir Apnay Kamzor Say Demagh Par Zor Dala Fer Us Nay Zakhmi Sher Ki Tra Humein Ghoorna Shuro Kar Dia Yaqeenan Usay Ghar Kay Zaiqa Wala Shaami Kabaab Yaad A Gia Tha Abhi Hum Soch Hee Rahay Thay Kay Kis Taraf Dour Lagahein Kaleem Or Sohail Ju Kay Iss Looot Maar Mein Braabar Kay Shareek Thay Dono Nay Uss Kay Sath Mil Kar Humein Daboch Lia Train Chal Kay Nahi Day Rahi Thay Teeno Nay Train Ka Ghusa Bee Hum Masoom Par Utaar Dia Hum Nay Kaleem Or Sohail Ka Tarz E Amal Dekha Tu Ye Sheir Kuch Kuch Samajh Anay Laga,,,,,,,,,,Jin Paton Par Takiya Tha Wohee Hawa Denay Lagay,,,Sukar Hay Humaari Sehat Qabil E Rushk Thy Werna Itni Maar Khanay Kay Baad Humara Hasahar Tora Bora Ya Mohenjudaro Jasa Hu Jana Tha..Kher Humaray Bach Janay Mein Humara Koi Kamaal Naa Tha Qun Kay Jisay Allah Rakhay Usay Kon Jaan Say Maray.,,Fer Humaree Ammi Jaan Ki Duaein Bee Humaray Sath Thein Bas Un Ki Apna Khana Lay Kar Jana Wali Naseehat Yad Nahi Rahi Hum Bee Kia Karein Hamesha Praye Maal Par Nazar Rakhnay Ki Adat Ju Thi.Sab Musaferon Nay Bhut Hee Hamdardee Say Humari Traf Dekha Kuch Nay Humari Mashray Mein Moujuda Izzat Ko Tanzia Andaaz Mein Dekha , Hum Bee Kia Kartay,,,Qun Kay Hum Nay Sun Rakha Tha Kay Izzat Aani Jaani Cheeze Hay Banday Ko Dheet Huna Chaiye,,,Meray Parnay Walon Ko Asa Bilkul Nahi Sochna Chaiye Qun Kay Humaray Teeno Doston Kay Sewa Sab Humaree Izzat Kartay Thay Jis Par Hum Sab Say Chuph Chuph Kar Fakhar Kartay Rehtay Thay Or Karna Bee Chaiye Hum Tu Apnay Farigh Time Mein Ye Hee Shughal Farmatay Thay Qun Kay Ubh Tak Hakoomat E Waqt Nay Khud Par Fakhar Karnay Par Koi Bee Yaa Kici Bee Kisam Ka Tax Aiyed Nahi Kia Tha Laghta Hay FBR Mein Zayda Tar Afraad Humray Ek Dost Ahmed Ki Tra Sefaarshee Hee Hein Errray Bahi Ahmed Sefaarshi Nahi Hay Balkay Wo Loghun Ki Sefarishein Karta Rehta Hay Hum Uss Ki Emaandaari Kay Bhut Qaiel Hein Naa Hee Us Nay Kabi Reshwat Li Naa Hee Kabi Sarkaree Kaam Kia,,,,(Jaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1197346 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.