Hum Bachpan Say Suntay Aye Thay 
Kay Train Chukh Chukh Kar Kay Chalty Hay Magar Jis Train Mein Hum Bhut Say 
Hajoom Or 3 Jaani Pehchaani Museebaton Kay Sath Sawaar Thay Wo Sab Kuch Karty 
Thi Magar Chukh Chukh Naam Ki Koi Awaaz Ka Door Door Tak Is Mein Naam O Neshaan 
Na Tha So Humarai Chukh Chukh Sunay Ki Khahish Ka Railway Nay Zara Saa Bee 
Ehtraam Nahi Kia Jis Ka Humein Hosh Anay Kay Baad Ubh Tak Afsoos Hay Hum Par 
Behoshi Ki Kafiyat Thi Ya Na Thi Magar Koi Bee Zee Rooh Asa Saffar Hosh Mein 
Nahi Kar Sakta So Asay Saffar Say Pehlay Ap Ko Kam Say Kam Yuga Kay 12 Lesson Tu 
Anay Bhut Zrorri Hein Kia Kaha Ye Mushkil Kaam Hay Acha Fer App Ko Bee Humari 
Tra Dheet Panay Ka Ebtedaie Corse Zaror Kar Laina Chaiye.9 Ghantay Kay Jaan 
Laiwa Or Sabar Azmaa Saffar Kay Baad Train Rohri Ponch Gai Raat Kay Iss Pehar 
Garmi Zoron Par Thy Logh Platefarm Par Moujudh Beemaari Ki Dukano Mera Matlab 
Hay Khanay Kay Stall Par Asay Tot Paray Goya Kici Ki Shadi Ka Khana Hu Ju Bhut 
Deir Say Dia Gia Hu Hum Nay Aqsar Ye Mushahida Kia Hay Kay Shadi Kay Khanay Par 
Dost Dost Ko Bv Shohar Ko Abba Jaan Apnay Lakht E Jigar Ko Nazar Andaaz Kar 
Detein Hein Jasay Ye Un Ka Akhri Khana Hu Or Suabh Say Hakoomat Khana Khanay Par 
Pabandi Laga Day Ge Kai Dulhanein Itna Khaa Letein Hein Kay Un Ko Gas Hu Jaty 
Hay Iss Ka Kia Asar Huta Hay Ye Hum Biyaan Nahi Karein Gay App Apni Aqal E 
Saleem Par Zor Daal Lein.Rohri Bhut Garam Hu Raha Tha Paseena Tha Kay Ruknay Kaa 
Naam Nahi Lay Raha Tha Yun Samajh Lijiye Kay Itna Humaray Nalkay Mein Pani Nahi 
Ata Jitna Paseena Aa Raha Tha .Darya E Sind Kay Mashriqi Kinaray Par Abbad Ye 
Shaer Bee Muhammad Bin Qasim Ki Fatoohat Ki Ek Neshaani Hay,, Aye Qasim Tujhay 
Salaam Tera Hum Par Ye Ehsaan,,,,Teri Waja Say ALLAH Nay Kia Paida Humein 
Musalmaan,,,,Aye Qasim Tujhay Salaam.Train 30 Minute Kay Baad Shaan E Biniazi 
Say Harn Dey Kar Chal Pari Hum Sochnay Lagay Janay Ye Kab Tak Aci Hee Shaan 
Dekhaty Rahay Gee Hum Sonay Ki Tyari Kar Lain Boghiee Bhut Say Loghun Say Asay 
Bhuree Hui Thi Kay Jasay Yahan Koi Jalsa Hunay Walay Hay Hum Bhut Say Loghun Kay 
Oper Neechay Hutay Huay Apni Seat Ko Talash Karnay Lagay Samnay Ek Siah Hewlaa 
Saa Nazar Aya Hum Samjh Gaye Kay Ya Jin Numma Insaan Kaleem Hi Hay Hum Ko Aci 
Khushi Mehsoos Hui Jasay Naved Kay Khanay Ko Harap Karnay Say Hui Thy Ek Din 
Mein 2 Khushian Humaray Naseeb Mein Thein Yani Kay Humara Luck Jagh Raha Tha Or 
Humein Sonay Ki Pari Thi Jabh Kay Ghor Say Dekhnay Par Pata Chala Kay House Full 
Hay Har Traf Oper Neechay Daien Baein Logh Hee Logh Sar Hee Sar Paon Hee Paon 
Baqi Ankh Naak Kaan Baal Nazar Nahi Aa Rahay Thay Kher Hum Knsa Painter Thay Ju 
Kici Pari Chahra Ko Paint Karna Hu Asay Mahool Mein Tu Pari Chahra Bee Maa Behan 
Laghtein Hein Humara Jamaliaaty Zoq Akhree Saansein Lay Raha Tha,,,Kia Karon Ga 
Hosh Mein Rah Kar Hazoor Behoshi Mein Keci Lazzat Hay Hazoor Kabi Karo Ecnomy 
Mein Saffar Ap Ko Bee Lagh Pata Jaye Ga Zaror(Jaree Hay)