Jum'aah

(Chiraghdeen, Karachi)

Jan Ba-Ni Israeel Sey Kaha Gaya Keh Jumey Ka Din Tumharey Liye Ibadat Ka Din Rakha Gaya Hey Tau Unhon Ne Kaha Keh Choonkeh Allah Tabarak Wa Ta'ala; Sanicher (Haftey) K Roz Zameen O Aasman Aur Kul Kaeynaat Waghera Bana Ker Farigh Howe They Issliye Ham Jumey K Bajae Haftey Ko Ibadat Karain Ge. Jab Unhoon Ne Allah Pak K Hokum Se Sartabi Ki Aur Nafarmani Ki Tau ALLAH Ne Unko Bohot Si Aazmaisho Mein Dal Dia Aur Bohot Si Pabandian Un Per Lagadeen. Un Logon K Karobar Ka Ta'alluq Machhliyan (Fish Catching) Pakerney Se Tha, Chunacha Un Se Kaha Gaya Keh Haftey K Roz Tum Muchhliyan Nahi Pakro Ge, Shuroo Mein Unhon Ne Pabandi Ki Magar Bad Mein Ahista Ahista Un Hon Ne Nafarmani Shuroo Kerdi Aur Chand Logon K Siwa Sab Haftey Ko Machhliyan Pakarney Lagey Chunacha Un Per ALLAH Ka Azaab Aya Aur Woh Bander (Monkey) Bana Diye Gaye Aur Bad Azan Halak Ker Deye Gaye. Issi Tarah Esaiyon Se Bhi Kaha Gaya Keh Jume (Friday) Ka Roz Tumhari Ibadat K Liye Hey Tau Unhon Ne Kaha Keh Choonkeh ALLAH Ne Itwar (Sunday) K Roz Sey Kul Kaenaat Bananey Ka Aghaz Kia Tha Iss Liye Ham Itwar Ko Ibadat Karain Ge, Un Hoon Ne Bhi Nafarmani Ki.

Phir Ummat-E-Muslimah Se Bhi Yehi Kaha Gaya Keh Yoon Tau Her Din ALLAH Ki Ibadat Kerna Hey Magar Juma (Friday) Khas Ibadat Ka Din Hey, Tau Iss Ummat Ne Bakhoshi Jumey Ko Khas Ibadat Ka Din Banalia.

Mukhtalif Ahadees Mein Jume Ki Fazeelatain Batai Gai Hein Jin K Liye A Bohot Bara Mazmoon Darker Hey. Juma K Roz ALLAH Ne Ek Aisi Khas Gharri Rakhi Hey Keh Jo Iss Mein Dua Kere Tau ALLAH Usey Qubool Farmatey Hein, Baaz Rivayaat Mein (1)Khutbey (Arbi Khutba) Se Namaz Khatam Hone Tak Ka Waqt, (2) Dono Khutbon K Darmiyan Ka Waqt (3) Jume Ko Maghrib Ki Azaan Shuroo Honey Se Pehley Ka Kuchhh Waqt, Inn Auqaat K Alawa Bhi Jume K Pure 24 Ghante Khas Ibadat Aur Khas Dua Ki Qubuliyet K Hein, Shab-E-Juma Ki Bhi Khas Ehemmiyet Hey. Ek Rivayet K Mutabiq Rasool-E-Pak (S.A.W.) Shab-E-Juma Mein Apni Waleda Mohtarma (R.A.) K Rehem Mein Tashreef Laye They. Jume Ka Din, Jumerat (Thursday) Ko Maghrib Ki Azaan Se Shuroo Hoker Jume Ko Maghrib Ki Azaan Shuroo Honey Se Pehley Tak Ka Hey.

Juma K Roz ALLAH Ne Hazrat Adam (A.H.S.) Ko Peda Farmaya, Jume Ko Jannat Mein Dakhil Farmaya, Jume Ko Jannat Se Nikala, Qayamat (Doomsday) Bi Jume Ko Ayegi Ashura K Din Yani 10th Muharram, Saal Konsa Hoga Yeh Allah K Siwa Kisi Ko Nahi Pata.

Hafte K Baqi Dino Mein Her Neki Aur Her Sadqe Ka Badla 10 Guna Milta Hey Magar Jume Ko Yeh Mazeed 70 Guna Yani 10 X 70 = 700 Guna Ho Jata Hey.

Jume Ko Jume Ki Namaz K Alawa, Kasrat Se Durood-E-Pak Ka Wird, Ziadah Se Ziadah Sadqaat Dena, Dua Ain Mangna, Gunah K Her Chhotey Barrey Kaam Se Bachna, Tasbeehaat Parhna, Aur Khas Ker 4 Kaam Kerna Wo Yeh Hein: (=1) Sorah "Kahaf" Ki Tilawat Kerna, Yeh Surah (15 & 16 Parey) Mein Hey. Jo Shakhs Jume Ko Iss Surah Ko Parrhney Ka Ehtemam Karega Tau Wo Insha Allah FITNA-E-DAJJAL Se Mehfooz Rahe Ga, Jo Dunya Ka Sab Se Bara Fitna Hey, Jab Sab Se Barey Fitne Se Mehfooz Hoga Tau Yaqeenan Baqi Doosrey Chhotey Fitno Sey Bhi Mehfooz Rahey Ga.

(=2) Jume Ko Baad Namaz Asr, Dua Se Farigh Hoker Kisi Se Koi Baat Kiye Bagher Apni Jagah Per Bhetey Rahein Aur 80 Martaba Yeh Durood-E-Pak Parhein: ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIN NIN NABI YIL UMMI WA ALA AALEHI WA SALLIM TASLEEMA. Iske Parhney Waley K Allah Pak 80 Saal K Gunah Ma'aaf Ferma Ain Ge Aur 80 Saal Ki Maqbool Ibadat Ka Sawab Ata Ferma Ain Ge, Insha Allah. (=3) Ziadah Se Ziadah Jo Bhi Durood Yaad Ho Wo Parhein, (=4) Jume Ko Kerney Wala Chotha Amal "SALATUT TASBEEH" Ki Namaz 4 Rakat Ada Kerna Hey, Iska Tareeqa Ulmae Kiram Se Maloom Ker Lein.

Allah Pak Tamam Musalmano Ko Jumey K Roz Ziadah Se Ziyadah Ibadat Kerney Aur Zidah Se Ziadah Gunahon Se Bachney Ki Taufeeq Ataa Farma Ain. Aameen.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 196295 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.