Muqaddar Plus

(Chiraghdeen, Karachi)

Aap Ne Yeh Waqea Tau Suna Hoga Keh Hazrat Moosa (Alai-His-Salaam) K Zamaney Mein Log Apni Mushkilaat Hazrat Moosa (A.S.) Ko Bataya Kerte Thaiy Phir Woh (A.S.) ALLAH Pak Sey Jawab Maloom Kerke Sawal Kerney Waloon Ko Bata Dia Kertey Thaiy.

Ek Shakhs Jokeh Bohot Hi Ghareeb Tha, Itna Ghareeb Keh Us Ney Kabhi Pait Bher Ker Khana Nahi Khaya Tha, Kabhi Khaney Ko Hota Kabhi Na Hota. Ek Roz Us Shakh Ne Hazrat Moosa (A.S.) Sey Faryaad Ki Aur Apney Halaat Bataey Aur Yeh Bhi Kaha Keh Jab Aap (A.S.) ALLAH Pak Ke Pass Koh-I-Toor Per Ja Ain Tau Meri Babat Puchain Keh Kia Kabhi Merey Halaat Achhey Hong Ge, Kia Main Kabhi Pait Bhar Ker Khana Kha Sakoon Ga Ya Yeh Aisey Hi Chalta Rahey Ga? Hazrat Moosa (A.S.) Ne ALLAH Pak Sey Maloom Ker Ke Bataya Keh Tumharey Muqaddar Mein Yehi Hey, Saari Zindagi Aisey Hi Chaley Ga. Yeh Jawab Sun Ker Us Shakhs Ne Hazrat Moosa (A.S.) Sey Kaha K Ek Kaam Aur Ker Dain Jab Dobara ALLAH Tabarak Wa Ta'ala K Pass Koh-I-Toor Per Ja'ain Tau Un Sey Meri Taraf Sey Yeh Darkhawast Karain Keh Meri Qismat Mein (Puri Zindagi Mein) Jo Kuchh Bhi Hey Who Sara Ek Dafa Hi De Dain Takeh Kuchh Din Tau Khoob Pait Bher Ker Khana Khaloon Uskey Baad Jo Hoga Woh Dekha Ja'aiga?

Chuna Cheh, ALLAH Tabarak Wa Ta'ala Ney Us Shakhs Ki Khowahish Per Jo Kuchh Sari Zindagi Mein Usko Milna Tha Woh Sab Ek Saath De Dia.

Us Shakhs Ney Dekha Keh Merey Jaisey Aur Bhi Bohot Sey Log Ghareeb Hein Tau Kiyoon Na Apney Saath Saath Un Logon Ko Bhi Pait Bher Ker Na Khila Doon? Chunacha Us Ney Sara Khana Ek Saath Paka Lia. Aur Khud Bhi Khoob Pait Bher Ker Khaya Aur Un Ghariboon Ko Bhi Khoob Pait Bher Ker Khilaya. Agley Roz Woh Dekhta He Keh Uske Ghar Mein Guzishta Roz Key Muqabley Mein Kaheen Ziada Maal Mojood Hey Tau Woh Shakhs Bohot Khush Hota Hey Aur Phir Guzishta Roz Ki Tarah Sara Ka Sara Maal (Khaney Ka Saman) Ek Saath Paka Laita Hey, Khud Bhi Khoob Pait Bher Ker Khata Hey Aur Doosrey Ghariboon Ko Bhi Khilata Hey, Phir Teesrey Roz Dekhta Hey Keh Ab Tau Aur Bohot Ziadah Khaney Ka Samaan Uskey Ghar Mein Mojood Hey Chunacha Woh Us Tamam Khaney Ko Bhi Paka Ker Ghariboon Mein Taqseem Ker Deta Hey…..Ab Her Roz Yehi Horaha Hey Keh Pichhley Din K Muqabley Mein Agley Roz Ziada Maal Ajata Hey Aur Woh Shakhs Us Tamam Khaney Ko Paka Laita Hey………..Kuchh Arse Baad Hazrat Moosa (A.S.) Ka Wahan Sey Guzar Huwa, Kia Dekhtey Hain Keh Us Ghareeb Admi K Ghar K Bahar Line Sey Degain Charrhi Huwi Hein, Behisaab Khana Pak Raha Hey Aur Behisaab Log Kha Rahein Hein. Moosa (A.S.) Ko Barra Ta'ajjub Hota Hey Aur Us Shakhs Sey Poochtey Hein Keh Yeh Kia Maajra Hey…Woh Shakhs Saari Tafseel Hazrat Moosa (A.S.) Ko Batata Hey, Jisko Sunker Hazrat Moosa (A.S.) Barrey Mutajjib Hotey Hein Aur Koh-I-Toor Per Jaker ALLAH TABARAK WA TA'ALA Sey Yeh Sara Maajra Bayan Farmatey Hein Aur Arz Kertey Hein Keh Ya ALLAH Aap Ne Tau Fermaya Tha Keh Uski Qismat Mein Yehi Gharibee Likhi Hey Magar Wahan Tau Saman Hi Kuchh Aur Hey. ALLAH Pak Ne Hazrat Moosa (A.S.) Sey Farmaya Keh Yeh Haqeeqat Hey Keh Uske Naseeb Mein Wohi Kuchh Tha Jo Usko Uski Khowahish Per Pehli Dafa Dia Gaya Tha Magar Mein Ney Yeh Apne Upper Pehley Hi Sey Wajib Karliya Hey Keh Jab Bhi Koi Mera Banda Meri Rah Mein Sadqaah, Khairaat, Karega Tau Mein Usko Das Guna (10 Times) Dunya Mein Aur Sattar Guna (70 Times) Akherat Mein Doonga (ALLAH Pak Alfaaz Ki Kami Beshi Ma'aaf Ferma Ain) Chunachey Jab Us Shakhs Ne Apna Maal Mere Bandoon Per Kharch Kia Tau Mein Ney Us Kharch Shuda Maal Ka 10 Guna Usko Agley Roz De Dia, (Iss Maal Ka Uski Qismat Sey Koi Ta'alluq Nahi) Usney Woh Maal Bhi Meri Raah Mein Dedia Tau Mein Ney Phir Usko Mazeed 10 Guna Ziadah Dedia, Woh Jitna Ziadah Meri Raah Mein Deta Jaraha Hey Mein Usko Her Dafa Mazeed 10, 10 Guna Kerkey Deta Ja Raha Hoon. Yeh Uski Qismat Mein Nahi Hey…Yeh Tau Iss Ney Merey Saath Tijarat Shuroo Ki Huwi Hey…Jiska Munafa Wo Mujh Sey Hasil Ker Raha Hey.

Iss Waqe Ey Sey Hamein Yeh Sabaq Milta Hey Keh Hamarey Halaat Jaisey Bhi Hon, Halkey Ya Bhari Hamein Har Waqt ALLAH Tabarak Wa Ta'ala Ka Shukr Ada Kerna Cha Heye Aur Jitna Bhi Mumkin Ho Uske Raastey Mein Kharch Kerna Chaheye Taukeh Agar Hamarey Muqaddar Mein Gharibi Hey Tau Wo Ameeri Mein Tabdeel Hogaey, Yeh Nahi Sochna Chaheye Keh Ham Tau Khud Faqeer Hain Ham Kia Kisi Ki Madad Karain Balkeh Yeh Sochna Chheye Keh Ham Bohot Sarey Logon Se Behter Hein Aur Jab Ham ALLAH Ki Rah Mein Kharach Karain Get Au Wo Hamarey Us Maal Ko 10 Guna Ya Us Se Bhi Ziadah Barrha Ker Hamein Ata'a Farmadega, Insha ALLAH. Iss Tarah Apas Mein Mohabbat Aur Bhai Charey Ki Fiza Bhi Qaim Hogi Aur Log Gharibi Ka Rona Bhi Rona Chhor Dainge Aur Ma'ashrey Mein Bhi Sudhaar Aa Ajaey Ga Insha ALLAH.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 196291 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.