SAFFAR SUMAAL KAY(EPISODE9)
(hukhan, karachi)
hukhan,writer,author,tourist
Train Kafee Deir Say Sahiwaal
Kay Shaer Say Zara See Pechay Khuree Hui Thy Baqol Naved Koi Cross Hu Ga Samnay
Say Anay Wali Train Kay Guzar Janay Kay Baad Ye Bee Chal Paray Gee 2 Train Guzar
Gai Par Humari Train Tass Say Maas Nahui Tu Hum Nay Apna James Bond Walay
Glasess Ko Ankhon Par Sajaya Or Baher Kood Gaye Saree Train Kay Musafer Baher
Matar Gasht Kar Rahay Thay Humaray Huliye Asay Hu Rahay Thay Jasay Hum Sab POW
Hun Yeni Janghee Qaidee Ye Train Nay Humara Make Up Kia Thaa Jabh Kay Humein
Pora Yaqeen Hay Nahaa Dhu Kar Hum Achay Khasay Moiziz Shaeri Nazar Atein Hein Ek
Du Dafa Tu Humein Asa Feel Be Hua Kay Zayda Saaf Suthra Hunay Ki Waja Say Humein
Kici Haseena Ki Nazar Bee Lagh Chukee Hay Kher Ye Baat Zayda Confirm Nahi Or
Humaree Asee Adat Nahi Kay Bina Tasdeeq Kay Koi Baat Agay Barha Dee Jaye Kher
Sahiwal Say Pechay Humaree Train Ka Enigine Fail Hu Chukka Tha Kaleem Nay Kaha
Ubh Kia Ye Train Supply Kay Paper De Gee Navid Nay Sara Malba Sohail Par Daal
Dia Kay Iss Ki Niyat Karachi Say Hee Theek Nahi Thy Iss Kay Ishq Nay Ye Din
Dekhaya Naa Ye Ishq Ki Niyat Karta Naa Hee Train Naraaz Huty ,,,Hum Soch Rahay
Thay Kay Abhee Sahiwal Say Agay Ishq Kay Emtehaan Or Bee Hein Humein Simran Kay
Bach Janay Ki Behad Khushi Thy Ya Pher Hum Sohail Say Jealous Feel Kar Rahay
Thay Sohail Nay Sari Baaton Ko Unsunna Saa Kar Dia Bola Yaar Kia Nuseebat Hay
Jungal Mn Laa Kar Train Khuree Kar Dee Navid Nay Kaha Haan Yaar In Ko Chaiye Tha
Pehlay Tent Lagatay Circus Ko Arrange Kartay Fer Train Ko Laa Kar Khuraa Kar
Detay Bhut Hee Behuda Planing Hy Railway Ki Iss Kay Minister Ko Saza Kay Tor Par
Iss Ki Ecnomy Class Mn Safar Karwana Chaiye Sohail Nay Thandee Aah Bhuree Itni
Garmi Mn Aci Thandee Aah Bhurna Kamaal Ki Baat Thee Hum Nay Dua Dee Sohail Baita
ALLAH Aap Kay Ishq Ko Zror Paye Takmeel Ko Pohnachaye ,,,,,Sohail Ko Humaree
Dawa Dil Ko Laghi Ya Nahi Par Gurday Par Zror Asar Kia Ussnay Wash Room Ki Traf
Dour Laga Dee Kaleem Bola Yaar Ye Itna Khata Qun Hay Ju Baar Baar Washroom Ki
Yaatraa Ko Nikal Jata Hay Itna Tu Mera Bahi Apnay Susraal Nahi Jata ,,Mein Nay
Kaha Kaleem Sharam Kar Susraal Or Washroom Kay Farq Ko Pechaano Washroom Fer Bee
Bhut Behtar Jaga Hy Humaree Baat Samnay Baithay Naye Joray Ko Pasand Nahi Ayi Wo
Pehli Dafa Apni Begum Kay Sath Apnay Susraal Ja Raha Tha Guard Par Nazar Partay
Hee Hum Nay Pocha Hazrat Ye Kab Tak Chal Paray Gee Wo Bolay ALLAH Hee Janay Hum
Us Ki Marfat Kay Qaiel Hu Gaye Bhut Hee KOI ALLAH Wala Guard Tha Uss Ko Ye Baat
Samajh Aa Gai Thee Kay Bhut Say Mehkmon Ki Tra Railway Ko Bee ALLAH Hee Chala
Raha Tha(Jaaree Hay)