SAFFAR SUMAAL KAY(EPISODE10)
(hukhan, karachi)
hukhan,writer,author,tourist
Sahiwaal Mein Hum Pani Ko
Talash Kar Rahay Thay Har Nalkay Kay Etraaf Mein Itna Rush Tha Kay Us Mein
Nalkay Ki Daryaft Itni Hee Mushkil Thee Jasay Koi Bee Sarkaree Nokery Ki Talash
Hu .Bas Pani Kay Gernay Ki Awaazein Aa Rahi Thee Humataree Shadeed Khahish Thee
Kay Kici Tara Munh Dhu Lein Qun Kay Ek Munh Hee Tu Qul Sarmaya Tha Ju Kay Train
Kay Safar Ki Nazar Hunay Wala Tha Naved Apni Kamzoor See Sehat Ka Faida Utha Kar
Munh Acha Khasa Dhu Aya Tha Ubh Lagh Raha Tha Kay Wo Koi Insaani Makhlooq Hay
Engine Tabdeel Hu Janay Kay Baad Humaree Khushi Ka Koi Thekana Naa Tha Ubh Train
Asay Chal Rahi Thee Jasay Operation Theater Say Baher Anay Kaa Baad Mareez
Chalta Hay Train Kay Engine Iss Railway Kay Mulaazmon Kee Tra Kafee Puraanay
Dour Kay Thay Jabh Bee Chahein Railway Mulaazmeen Ki Tra Strike Kar Kay Khura Hu
Jata Tha Engine Kam Tha Muhalay Ka Dada Zayda Tha .Humein Pora Yaqeen Tha Kay Ek
Na Ek Din Asa Aye Ga Jabh Lahore Humaray Qadmon Talay Hu Ga.Naved Nay Garmee Say
Tangh Aa Kar Cold Drink Peena Shuro Kar Dee Humein Iss Iss Fazool Kharchi Par
Bhut Ghusa Aya Humara Pasandeda Mashrobh Shuro Say Hee Pani Raha Hay .Sohail
Romaal Say Chahra Saaf Karnay Ki Koshish Kar Raha Tha Hum Nay Kaha Bahi Romaal
Ka Kia Qasoor Hay Sohail Nay Kaha Romaal Ki Asay Side Lay Rhay Hu Jasay Ye Teri
Khala Ka Munda Hay Humein Iss Reshtadari Par Bhut Afsoos Hua Kay Romaal Tak Say
Humari Koi Reshtadari Nahi Hay Hum Plate Form Par Hawa Khanay Ki Koshish Kar
Rahay Thay Magar Hawa Tu Asay Hu Gai Thee Jasay Pakistani Mein Khushhaali Dekhay
Huay Arsaa Hua Hum Tharay Karachi Ki Samandree Hawa Kay Adee Kaleem Nay Kaha
Khan Saab Train Chalnay Wali Hay Ap Andar A Jaiye Hum Bolay Bahi Iss Ki Ju Speed
Hay Hum 30 Mnt Baad Bee Iss Mein Sawaar Hu Saktein Hein. Kaleem Nay Khamosh
Rehnay Ka Eshara Kia Kay Ye Baat Train Nay Sun Li Tu Fer Say Iss Nay Fail Hu
Jana Hay Ubh Ki Baar Is Nay Pass Nahi Huna Pher Say Hum Chup Hu Gaye Kuch Na
Kaha Wo Citee Baja Kar Chal Pari ,,,,,,,,,,Dabay Dabay Paon Iss Ka Serakanay
Laga Faasla,,,Hum Soch Rahay Thay Ye Subah Kay Bjaye Shaam Ko Lahore Pohanchay
Gee Fer Humara Plan Motorway Say Pindi Janay Ka Hay Ju Kay Shaied Cancil Karna
Par Jaye Ga Pori Raat Garmi Or Jagah Ki Kammi Ki Waja Say Soo Nahi Apye Thay Din
Bee Qimty Thay Plan Say Late Hunay Ki Waja Say Hum Kuch Miss Karna Nahi Chahtay
Thay Ye Hamari Leadership Kay Liye Khulla Challenge Tha(Jaaree Hay)