SAFFAR SUMAAL KAY(EPISODE13)
(hukhan, karachi)
hukhan,writer,author,tourist
Pakistan Kay Shumaal Ju Duniya
Mein Sab Say Anukhay,Purisraar,Hareton Say Purr Jahan K2 Hay,Nanghaparbat,Sher
Darya Khubhsurat Dilkashjheelein Ye Sab Kay Sab Ap Ko Bulatay Hein App Unn Ki
Taraf Khanchay Chalay Jatay Hu Bhut Say Khatron Kay Bawajhudh Aap Ko Silk Road
Ya Shara E Resham Yaad Aty Hay App Uss Ko Duniya Kay Ajoobay Ki Tra Mehsoos
Kartain Hein Fer Iss Kee Tameer Kay Douraan Un Shaheedon Kay Naamon Ki Takhtiaan
Unn Ki Lazawaal Qurbanion Ki Daastanay Sunaty Hein Silk Road Aap Ko Insani Aqal
Himat Or Engineering Kaa Shahkaar Nazar Aty Hay.Sher Darya Aap Kay Sath Sath
Dorta Rehta Hay Kabi Dour Hu Kar Aap Ko Esharay Karta Hay Kabi Bilkul Paas Aa
Kar Khufzada Karta Hay Kabi Ap Ko Bhut Neechay Say Kehta Hay Jitnay Bee Opar
Chalay Jao Mein Choron Gaa Nahi .Train Ek Cheekh Kay Sath Ruk Gai Hum Fer Say
Bhut Say Hajoom Mein Aa Gaye Hum Acha Acha Saa Feel Kar Rahay Thay Train Nay
Raiwind Cross Kar Lia Tha Hum Lahore Kay Bhut Qareeb Thay Magar Iss Tra Say
Train Kaa Ruk Jana Bhut Hee Takleef Dey Tha Samnay Baithay Chacha Jee Nay Ek
Tight See Gaali Dee Sohail Muskara Dia Hum Samajh Gaye Chacha Jee Nay Sohail Kay
Jazbaat Ki Turjamani Ki Thee.Hum Nay Apnay Bag Par Moujudh Mity Jaahrna Shuro
Kar Dee Jis Ko Baqi Loghun Nay Pasand Nahi Kia Hum Nay Bari Mehnat Say Karachi
Kay Light House Urfe Aam Lundaa Bazaar Say Iss Mein Mozay Shirts Or Jutay Khreed
Kar Dalay Thay Jis Say Humara Budget Mein Koi Khaas Kami Nahi Ayee Thee Ubh Sab
Ko Bas Ek Hee Fiqar Theee Kay Peenay Ko Thnda Saaf Pani Mil Jaye Or Nahanay Ko
Bhut Saa Pani Werna Tu Train Nay Humaree Aci Durgat Banayee Thy Kay Marhooma
Naani Yaad Aa Gein Humein Plan Mein Thoree See Tabdeli Karni Thee Ubh Hum Raat
Ko Lahore Pohanch Rahay Thay So Hum Nay Mazeed Saffar Kay Bajaaye Kici Sastay
Say Hotel Ko Talaash Karna Tha Ju Kay Humaray Baien Hath Ka Kaam Thaa .Sab
Musafer Garmi Habs Bearaami Ki Waja Say Bhut Tangh Thay Bachon Kay Ronay Ki
Awaazein Bhut Barh Chuki Thein Ye Train Kam Or Maternity Home Zayada Lagh Rahee
Thee.Ubh Train Mein Mojudh Market Or Hotel Wala Shore Sharaba Bhut Kam Hu Chucka
Thaa Logh Apnay Samaan Or Bachon Ko Gin Rahay Thay Kai Shaadi Shudaa Hazraat Ko
Afsoos Tha Kay Un Ki Begmaat Sahi Salamat Hein Kher Ye Un Kaa Zaati Mamlla Tha
Humaray Jalnay Say Unn Ko Kiaa Farq Par Jana Tha Kaleem Or Naved Nay Bee Apna
Samaan Check Karna Shuro Kar Dia Hum Train Ki Takaaleef Ko Ahesta Ahesta Bhoolna
Shuro Hu Gaye Thay(Jaaree Hay)