Train Ek Tandoor Ki Tara Hu Chuckee Thee Bas
Naan Roty Ki Jagah Hum Cook Hu Rahay Thay Ju Zara Kalay Thay Asa Lagh Raha Tha
Roty Zara Jal Gai Hay Sohail Ka Sabar Zara Jawab Dey Raha Tha Bola Khan Saab Koi
Or Train Nahi Mili Thee Hum Nay Kaha Tokyo Railway Say Contact Kia Tha Unhun Nay
Saaf Kah Dia Abhee Hum Nay Pakistan Mein Service Shuro Nahi Ki Or Ainda Bee Asa
Koi Plan Nahi. Hum Apnay Office Kay Ac Walay Mahool Ko Yaad Kar Kar Kay Bhut
Udaas Hu Rahay Thay Sohail Bola Dil Kar Raha Hay Mein Samaan Uthaown Or Paidal
Hee Chal Paron Naved Ko Mastee Sojhee Jhat Say Bola Simran Say Tu Poch Lo Wo
Itnaa Paidal Chal Lay Gee Kia,,,,, Ya Mein Uss Ko Apnay Kandhay Par Sath Sath
Lay Kar Chalta Rhun Naved Jis Kay Baal Kici Haseena Ki Tra Draaaz Thay Pechay
Say Asa Laghta Tha Hum 3 Dushkaray Kici Haseena Ko Aghwaa Kar Kay Lay Ja Rahay
Hein Baqol Kaleem Kay Naved Ki Nazuk Qamaria Madhuri Jitni Ya Uss Say Kuch Kam
Hee Hu Gee,,Naved Bola Khan Saab Sohail Kaa Samaan De Du Iss Ko Paidal Jana Hay
Main Nay Kaha Iss Ko Samaan Na Kahu Bas Kah Du Ye Bojh Sohail Ko Wapis Kar Du 3
Ya 4 Puraani Kameezein Kuch Badboudaar Mozzay ,,,,,,,Humaree Baat Adhuree Reh
Gai Sohail Nay Apnay Kapron Kay Brand Batanay Shuro Kar Diye Hum Bee Ek Zamany
Kay Dheet ,,Hum Bolay In Branded Companies Ko Pata Chal Gia Kay Aap Bee In Kay
Brand Use Kartay Hein ,,,, Wo Ya Tu Compnay Band Kar Dein Gay Ya Fer Aap Par
Zaror Muqdima Karaein Gay Kay Ap Ki Ye Majaal,,,,Sohail Bola Khan Saab Ap Bee
Kuch Sath Laye Hu Ya Pher Mangh Mangh Kar Hee Guzaraa Karna Hay Hum Bolay Bahi
Apna Assool Hay Kay Saffar Hamesha Bhut Hee Asaan Huna Chaiye Samaan Apna Kam
Dosron Ka Zayda Room Mein Sab Say Achay Bed Par Nazar Agar Musafer Khana Ya
Manjhee Lainay Wali Nobat Hu Tu Jutay Sar Kay Neechay Kher Hum Nay Socha Asa Naa
Hu Sab Hushiyaar Hu Jaein Or Humaray Palay Kuch Bee Na Bachay Kaleem Ko Janay
Kia Hua Geet Ganay Laga Ye Mosam Ye Mast Nazaaray ,,Piar Karo Tu In Say Karo Ek
Tu Kaleem Ki Phatay Huay Dhool Jeci Awaaz Dosra Saffar Ki Mushkilaat Hum Sab
Samjhay Kay Uss Kaa Zahni Tawazaan Gia,,,,Naved Bola Wah Kaleem Teri Awaaz Bhut
Achi Hay Mera Mashwara Hay Train Mein Ga Ga Kar Bheek Mangha Kar Ya Fer Ramzan
Main Sehree Jagaya Kar ,,,,,Samany Baithay Baba Ji Ko Bee Surr Sangeet Say
Kaleem Ka Mazaaq Ek Ankh Bee Nahi Bahya Us Nay Apna Gham Mitanay Kay Liye Cigret
Sulghaa Li Samnay Baitha Bacha Juice Pee Raha Tha Sohail Uss Ko Ghoor Raha Tha
Hum Nay Kaha Bahi Bachay Kay Juice Par Nazar Na Rakhu Iss Ka Abbu Koi Gujranwala
Ka Pehalwaan Lagh Raha Hay Hum Say Kici Bee Madad Ki Umeed Na Rakhna Sohail Nay
Humein Bhut Bahre See Gaali De Ju Train Ki Awaaz Mein Kahien Gum Hu Gai(Jaaree
Hay)