Birr Yani Neki…Neki Kia Hey Aur
Iska Faeda Kia Hey. Ham Neki Kiyoon Hasil Karain? Jab Koi Musalman Doosrey
Musalman Ko Kehta Hey "ASSALAM-U-ALAIKUM" Tau Doosra Musalman Jawab Deta Hey, "WALAIKU-MUS-SALAM"
Kehney Wale Ko 10 Nekian Milti Hein Aur Jawab Dene Wale Ko 1 Neki, Agar Saath
Mein Yeh Bhi Kahe "WARAHMA-TULLAHEY" Tau 10 Nakian Aur, Phir Uske Baad "WA
BARAKA TU HU" Tau Mazeed 10 Nekian Aur Agar Iske Baad "WA MAGHFIRATO HU" Tau
Mazeed 10 Nekian…Yahan Tak Ahadees Sey Sabit Hey Iske Baad Nahi…Istarah Pura
Salam Kerney Waley Ko Kul 40 Nakiian Milein Aur Agar Jawab Denewaley Ne Bhi
Walaikumus Salam Kehney K Baad Yeh Tino Alfaz Ada Kiye Tau Unko Bhi 1+3=4 Nekian
Mili. Pura Slam Kerney Wale Ko 40 Nekian Aur Pura Jawab Dene Wale Ko 4 Nekian.
Isi Tarah Ek Hadees Ka Mafhoom; "ZAMEEN PER BEHTEREEN JAGHEIN MASJIDEIN AUR BAD-TAREEN
JAGHEIN BAZAAR HEIN". Yani Bazaar Mein Sirf Us Waqt Jao Jab Wahan Jane Ki Ashad
Zuroorat Ho, Sirf Sair Sapate K Liye Bazaar Na Jao. Bazaar Jane Se Bacho.
Masjidon Ko Ziadah Se Ziadah Abaad Karo, Masjidon Mein Dil Lagao, Ek Namaaz K
Baad Doosri Namaz K Intezaar Mein Raho. Yeh Sab Neki K Kaam Hein…Jitni Shiddat
Hogi, Jitna Ikhlas Hoga, Usi Qadar Nakian Bhari Hongi. Qiamat Mein Amaal Ginti
Nahi Honge, Toley Ja Ain Ge, Jin Amal Mein Jitna Ikhlas Hoga, Amal Utne Hi Bhari
Honge. Ikhlas Kia Hey? Allah K Dar Aur Allah Ki Muhabbat Mein Allah Ki Raza K
Liye Allah Ki Ibadat Rasool-E-Pak (S.A.W.) K Tariqon Ke Mutabiq Baghair Kisi Ko
Dikhaey Huwe, Sirf Aur Sirf Allah Ki Raza K Liye Karein. Naam O Namood O Numaish
K Liye Nahi. Farz Namaz K Liye Hukm He Keh Masjid Mein Jao. Nawafil Agar Ho Sake
Tau Chhup Ker Ada Karo, Lambi Lambi Namazein Masjid Mein Ada Na Karo Keh Log
Allah Wala Kehne Lagein Aur Hamara Seena Phhol Jaey Aur Ham Arsh Se Farsh Per
Dhair Hojaein. Ibadat Bhi Gai Aur Gunah Alag.
Jab Bazaar Mein Jaein Ya Bazaar Mein Apni Dookan Per Bethain Tau Chothey Kalmey
Ka Wird Rakhein…Chotha Kalmah: "LA ILAHA ILLAL LAHU WAHDAHU LA SHARIKA LAHU
LAHUL MULKU WALA HUL HAMDU YOHYI WA YOMEETU WA HUWA HAYYUL LA YAMOOTU ABADAN
ABADA WAHUWA ALA KULLEY SHEY INN QADEER" Jab Yeh Kalmah Bazaar Mein Parhein Ge
Tau 10,00,000 (Das Laakh) Nekian Milein Gi Ek Dafa Perhne Per.
Jis Tarah Kisi Mulk Mein Rehney K Liye Us Mulk Ki Currency Ki Zuroorat Hoti He
Takeh Zurooriat-E-Zindigi Kharidi Ja Sakein, Pakistan Mein Rehney K Liye
Pakistani Currency Rupees Ki Zururat Hogi, England Mein Rehne K Liye Pounds Aur
Amrica Mein Rehne K Liye Dollars, Isi Tarah Jannat Ki Currency NEKI Hey. Jannat
Mein Janattion Ko Wahan Ki Currency Neki Ki Zuroorat Hogi. Jis Jannati K Paas
Jitni Ziadah Nekian Hongi Wo Wahan Utna Hi Ziadah Maldar Hoga. Aur Uske Darjaat
Buland Honge.
Hamein Bhi Ziadah Se Ziadah Nekian Jama Kerna Chaheyen Aur Gunahon Se Bachna
Chaheye Takeh Nekian Zaey Na Ho Ja Ain.