Munafey Ka Karobaar

(Chiraghdeen, Karachi)

Ek Shakhs Rasool-E-Pak (S.A.W.) Ki Khidmat Mein Hazir Huwa Aur Apni Zuroorat Bayan Ki. Rasool-E-Pak (S.A.W.) Ne Us Shakhs Ko Hazrat Usman Ghani (R.A.) Ke Paas Bhaij Dia.

Wohh Shakhs Jab Hazrat Usman Ghani (R.A.) Ke Ghar Ke Qareeb Pohncha Tau Usey Ghar Ke Andar Sey Hazrat Usman (R.A.) Ki Awaaz Sunai Dii Woh Apni Ehlia Sey Farma Rahey They Keh Raat Ko Tum Ney Diye Ki Low Ziadah Kerdi Thi Jiski Wajah Sehh Tail (Oil) Ziadah Jal Gaya Agar Iski Low Kam Ker Daitein Tau Bhi Kaam Chal Jata Aur Tail Bhi Ziadah Istemaal Na Hota. Jab Iss Shakhs Ke Kan Mein Yeh Awaaz Pohnchi Tau Us Ne Socha Keh Jo Shakhs Zara Sey Tail Ki Khatir Apni Bivi Ko Daant Raha Hey, Woh Mujhey Kia Dega? Yey Soch Ker Woh Shakhs Wapsi Ke Liye Murr Gaya…Thori Hii Door Chala Tha Keh Usne Socha Keh Mujhey Tau Rasool-E-Pak (S.A.W.) Ne Bhaija Hey Aur Woh Kisi Kanjoos Ya Ghalat Aadmi Ke Paas Nahi Bhaij Saktey, Mujhey Wapas Chalna Chayehe…Chunacha Yeh Soch Ker Who Shakhs Wapas Aaya Aur Uss Ne Hazrat Usman Ghani (R.A.) Ke Ghar Ke Darwazey Per Dstak Dii Aur Jab Aap (R.A.) Dastak Sun Ker Ghar Sey Bahar Tashreef Laey Tau Us Shakhs Ne Apni Gharz Bayan Ki Jisey Sun Ker Aap (R.S.) Wapas Ghar Mein Tashreef Ley Gaey Aur Uss Shakhs Ko Ashrafion Ki Ek Theli Laker Dii. Wohh Shakhs Barra Hairaan Huwa Aur Shukriah Ada Kerke Janey Sey Pehley Uss Ne Dertey Dertey Aap (R.A.) Sey Kaha Keh Agar Bura Na Manein Tau Ek Baat Poochoon? Aap (R.A.) Ne Farmaya Pucho? Tau Us Shakhs Ne Pura Maajra Bataya Keh Us Ney Aapki Aur Aapki Ehlia Ki Guftugoo Suni Aur Jo Natijah Akhaz Kia Aur Phir Aap (R.A.) Ne Mujhey Itni Khateer Raqam Dedi Jabkeh Aap Mujhey Jantey Bhi Nahi? Aur Jo Aapki Ehlia Hein Unhein Sarzanish Ki? Tau Aap (R.A.) Ne Jawab Dia Keh Jo Tail Ziadah Jal Gaya Woh Zayeh Hogaya…Uska Mujhey Koi Reward (Badla) Nahi Miley Ga Balkeh Hosakta Hey Keh ALLAH Tabarak Wa Ta'ala Ke Darbaar Mein Meri Pakarr Hojaey Keh Jab Kam Tail Sey Kaam Chal Sakta Thaa Tau Ziadah Tail Kion Istmaal Kia? Aur Yeh Joh Asharfiyon Ki Thelli Mein Ney Tumhein Dii Hey…Yeh Zayeh Nahi Hoi Balkeh Ek Hadees Ke Mutabiq Yeh Sadqah Hey Aur Jo Shakhs ALLAH Ki Raah Mein Jo Cheez Sadqah Kerta Hey Tau ALLAH Ta'ala Wohi Cheez Us Shakhs Ko 10 Guna Barhaker Isi Dunya Mein Dedeta Hey Aur 70 Guna Akhirat Mein Dega Aur Iss Per Koi Pakarr Bhi Nahi. Iss Liye Mein Apni Ehlia Per Naraaz Horaha Thaa Keh Kahein Ham Dono Ki Pakarr Na Hojaey.

Yeh Karnamey Hein Hamarey Aslaaf Ke..Aur Hamarey Karnamey Kia Hein…Kisi Sey Kuchh Kehne Ki Zuroorat Nahi Sirf Apney Hi Girebaan Mein Mein Jhankney Kii Zuroorat Hey??? ALLAH Ta'ala Hamein Bhi Samajh Atta Farmaey. Aameen.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 199956 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.