(Chiraghdeen, Karachi)
Hazrat Umar-E-Farooq (R.A.) Ki Adaalat Mein Ek Khatoon Tashreef Laein Aur Umre Farooq (R.A.) Se Arz Kia Keh Mera Shohar Raat Bher Naflein Parhta Hey Aur Din Mein Roza Rakhta Hey…Hazrat Umr-E-Farooq (R.A.) Ne Farmaya "Masha ALLAH", Phir Wo Khatoon Chali Gaein. Ek Sahabi Jo Us Waqt Wahan Mojood They Unhon Ne Hazrat Umr-E-Farooq (R.A.) Se Puchha Keh Iss Baat Ka Kia Matlab Huwa Tau Amir-Ul-Momineen Ney Farmaya Keh Wo Aurat Apne Shohar Ki Tareef Kerney Aaee Thi. Un Sahabi Ne Kaha Keh Us Aurat Ko Kia Zururat Thi Keh Wo Adalat Mein Apne Ghar Se Chal Kar Aaee Aur Mehez Apne Shohar Ki Tareef Ker Ke Chali Jaey. Phir Hazrat Farooq-E-Azam Ne Un Sahib Se Kaha Keh Aap Batadein Keh Yeh Aurat Kion Aaei Thi. Tau Un Sahib Ne Jawab Dia Keh Yeh Aurat Apney Shohar Ki Shikayet Kerney Aapki Adalat Mein Aaee Thi,,,Keh Mera Shohar Apne Rabb Ki Tau Puri Farman Bardari Aur Ebadat Kerta Hey Magar Meri Aur Mere Bachchon Ki Khabargiri Nahi Kerta Na Hi Hamarey Huqooq Ada Kerta Hey? Yeh Jawab Sunker Hazrat Umar (R.A.) Bohot Khush Huwe Aur Farmaya Keh Ab Iss Muqadme Ka Faisla Bhi Aap Hi Suna'eye…Chunacha Ek Roz Un Dono Mian Bivi Ko Adaalat Mein Bulwaya Gaya Aur Us Shakhs Sey Kaha Keh Aap ALLAH Ki Tau Ibadat Kertey Hein Magar Apney Biwi Bachchon Ke Huqooq Ada Nahi Kertey Jo Keh Aapke Zimmey Hein Aur Aapko Kal Roz-E-Qiamat Inke Barey Mein Bhi Jawab Dena Hoga Chunacha Adaalat Ka Faisla Hey Keh Aap 3 Din Lagataar Din Mein Rozey Rakhein Aur Raat Ko Ibadat Karain Magar Chothey Roz (Din Aur Raat) 24 Hours, Yeh Pura Time Aap Apney Gharwalon Ko Dein. Yeh Faisla Sunker Unki Puri Family Khush Hogai. Un Ke Janey K Baad Hazrat Umar (R.A.) Ne Un Sahib Sey Puchha Keh Faisla Tau Achha Hey Magar Yeh Tum Ney Lia Kahan Sey Tau Unhon Ne Farmaya Keh Quran Sey, Hazrat Umar (R.A.) Ne Puchha Kaisey Tau Unhon Ne Farmaya Keh, Quran Mein 4 Shadion Ki Ijazat Hey…Jab Kisi Shakhs Ki 4 Wives Hongi Tau Pehli Wife Ka Number 3 Din Baad Aayega,,,,Iss Se Mein Ney Yeh Masla Nikala Hey…Iss Jawab Ko Sunker Janab Umar Farooq (R.A.) Aur Bhi Ziadah Khush Howe Aur Farmaya Keh Tum Hi Iske Mustahiq Ho Keh Qazi Banaey Jao Chunacha Unko Islami Hukoomat Ke Supreme Court Ka Chief Justice Bana Dia.