SAFFAR SUMAAL KAY(EPISODE32)

(hukhan, karachi)

Baita Yhan Pani Ka Koi Acha Bandobast Nahi,Sarak Bhut Tangh Or Totyphoty Hay,Sarak Ko Sahi Tara Say Banya Nahi Gia,,Barsaaty Naalon Kay Oper Bnaye Gaye Bridge Bhut Kamzor Hein ,Braafbaari Mein Rastay Band Hu Jatay ..Loghun Ko Sardion Kay Mosam Mein Ghar Baar Chor Kar Nechay Jana Par Jata Jis Sy Bhut Pareshani Hu Jaty Hay...Hotel Walay Manzoor Baba Nay Apnay Dukh Biaan Karna Shuro Kar Diye Ek Sey Bar Kay Ek Mushkil Thee Garee Walay Bhut Kraya Manghtay Hein Koi Beemaar Par Jaye Tu Mareez Ko Abbotabad Lay Jana Par Jata Hay Taleem Kay Liye Koi Acha School Nahi Manzoor Baba Nay Chai Ki Chuskee Laitay Huay Intehaie Mauyssee Sey Kaha Manzoor Baba Iss Sab Mushkilaat Say Lartay Huay Uss Nay Apni Life Kay 72 Saal Guzzaar Diye Thay Ubh Wo Iss Ki Behterii Say Bilkul Na Umeed Hu Gia Tha Hum Charon Qudrat Ki Iss Shahkaar Valley Kay Ek Hotel Mein Chai Kay Mazay Laitay Huay Manzoor Baba Say Gup Shup Kar Rahay Thay .Navid Nay Kaha Yaar Abbotabad Sey 31 Km Dour Iss Valley Ko Tu Dulhan Ki Tra Sajaya Ja Sakta Hay Ye Dosraa Muree Ban Sakta Hay Yhan Ka Mosam ,Haryaali,,Wild Life Sab Kuch Qudrat Kaa Anmol Thufa Hay Yhan Kici Bee Cheese Ki Kami Nahi Serf Siahat Se Is Valley Ki Taqdeer Badli Jaa Sakty Hay Manzoor Baba Nay Btya Kay Kuch Arsa Pehlay Koi Canadian Company Iss Area Ko Develope Karna Chah Rahee Thee Jis Say Iss Valley Ko Bhut Faidaa Huna Tha Wo Yahan Roads ,Hotels Or Chair Lift Par Kaam Karna Chah Rahay Thay Magar Pata Nahi Kia Hua Sab Kuch Baton Say Agay Naa Bar Paya Kalim Jhat Bola Wo Commission Nhi Dey Rhaein Hun Gay Fer Bhulla Kon Un Ko Yahan Kaam Karnay Deta Na Khud Kuch Kro Naa Kici Or Ko Karnay Du Itni Haseen Valley Uss Par Qatilana Mosam Kia Kia Nahi Hay Yaha Sab Kuch Tu Hay Itni Mushkilaat Kay Bawajood Yahan Loghun Ka Hajoom Hay Ju Iss Shehzadi Kay Darbaar Mein Hazree Denay Ayein Hein.Chai Iss Mosam Mein Bhut Mazaa Dey Rahe Thee Hotels Mn Har Cheese Mojudh Thee Kia Pakoray Cholay Chat Chinese Rice Ki Dishes Tika Boty Ek Sy Bar Kar Cold Drink Coffee Kashmiri Chai Sab Kuch Thaa(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1255127 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.