Saffar Sumaal Kay(Episode33)

(hukhan, karachi)

Hum Darakhtun Kay Saye Or Mushkil Raaston Say Hutay Sarkaaree Rest House Ki Janib Jaa Rahay Thay Pechlay 30 Minute Say Kashmir Ki Barf Posh Paharee Chotiaan Humaray Samnay Thein Thand Ka Ehsaas Musalsal Tracking Say Janay Laga Thaa Har Traf Haryaali Thee Hawa Mein Mast Kisam Ki Khushbu Thee Ubh Hum Neechay Dehlaan Mein Utar Rahay Thay Paron Mein Laga Hua Talcum Powder Kaam Aa Raha Tha Paon Bhut Araam Say Humara Bojh Utha Rahay Thay 9000 Feet Kay Altitude Ki Waja Say Saans Phoolnay Laghty Tu Hum Thora Araam Karnay Baith Jatay Thandiani Mein Kici Cheese Ki Kami Na Thee Mosam ,Manzar,Haryaali Sab Apni Jagah Par Kamaal Thay Abbotabad Say Serf 30km Douree Naa Hunay Kay Barabar Thee Humein Pehlay Ilm Nahi Tha Kay Yahan Ye Sab Kuch Milay Ga Werna Hum Apna Samaan Bee Sath Latay Or Ajh Ki Raat Thandiani Mein Hee Guzaartay .Sarkaaare Rest House Bhut Khubsurat Tha Uss Ka Lawn Flowering Sab Kuch Kamaal Tha Kuch Kamray Ounchay Kar Kay Bnaye Gaye Thay Lawn Ko Mehnat Say Araasta Kia Gia Tha Lawn Kay Huray Bhuray Mahool Mein Lohay Ki Safaied Chairs Bhut Achi Lagh Rahee Thee .Hum Iss Kay Lawn Mn Baith Gaye Or Kabi Kabi Mukhra Dekhnay Wala Sorajh Ubh Acha Lagh Raha Tha Jasay Jasay Din Agay Bar Kar Shaam Ko Galau Laganay Wala Tha Thandiani Ka Tempreture Bee Mazeed Gerta Jaa Raha Tha Hum Kuch Deir Mein Uth Kar Bazaar Area Ki Traf Chal Paray Wapsii Par Ounchaiee Par Charnay Ki Waja Say Thakan Ka Ehsaas Bee Barnay Laga .Bazaar Area Mein Wesay Hee Ronaq Laghee Hui Thee Har Koi Thandiani Ki Muhabat Mein Sar Shaar Tha Hum Nay Jis Say Bee Thandiani Kay Baray Mein Pocha Uss Nay Thandiani Ki Khubh Tareef Ki Magar Thandiani Fer Bee Sharmaye Bina Sab Ko Agay Bar Bar Kay Khusamdeed Keh Rhaee Thee Navid Bola Khan Saab Wapsee Kay Liye Koi Or Sarak Nahi Hum Bolay Bahi Asa Kuch Nahi Sarak Itnay Jaldee Nahi Badlee Jaa Sakty Sohail Bola Bahi Fer Garee Hee Badal Lo Hum Nay Dour Nechay Dekha Bhut See Garian Aa Jaa Rahein Thee ,,,,Humara Driver Badsha Apnay Plane Ko Uranay Kay Liye Tyaar Tha Jasay Garee Apni Garjhdaar Awaaz Kay Sath Urnay Ko Tyaar Hui Sab Logh Heraan Hu Kar Humaree Garee Ko Dekhnay Lagay Kalim Bola Chlo Kici Banay Loghun Ny Hum Par Nigah Tu Daali.Hum Co Piolt Ki Seat Par Baith Gaye Garee Ek Jhtkay Say Chal Pari Hum Duaien Parna Shuro Hu Gaye Humaray Hiltay Labh Dekh Kar Navid Nay Ameen Kaha Hum Muskara Diye Hum Sab Ki Halat Ek Jesee Thee(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1238709 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.